**one emoticon..one sher**(naya silsila)
**one emoticon..one sher**(naya silsila)
Salam ahl-e-bazm..ek naye silsile ka aaGhaaz kar rahi hoon is ummeed ke saath ek aap sab is meiN baRhchaRh ke hissa lenge aur ise kaamyaab banaane meiN hamari madad karenge Is mein karna ye hai ki ek member koi emoticon dega(yahan se ya bahar se le sakta hai) aur uspe next member ko sher likhna hai aur phir ek naya emoticon post karna hai jis pe next member likhega sher...
for example:
:rose
ab is pe aap main ye sher kahungi..
naazuki uske lab ki kyaa kahiye
panKhaRi ik gulaab ki si hai
theek??
ab main deti hon next icon:
aap sab ke participation ka intizaar rahega!!!
shumaila
for example:
:rose
ab is pe aap main ye sher kahungi..
naazuki uske lab ki kyaa kahiye
panKhaRi ik gulaab ki si hai
theek??
ab main deti hon next icon:
aap sab ke participation ka intizaar rahega!!!
shumaila
Shumailaa SaHebaa
bohat hi dilchasp silsilay ka aaGhaaz kiya aap ne...lijiye aap ke peshkardah emoticon par shayr Haazir hai...
"mujhe deN na Ghaiz meiN dhhamkiyaaN, gireN laakh baar yeh bijliyaaN
miri sultanat yahi aashiyaaN, miri milkiyat yahi chaar par"
-Jigar Moradabadi[/b]

rau meiN hai raksh-e-umr kahaN dekhiye thhame
nay haath baag par hai na paa hai rikaab meiN--Ghalib
nay haath baag par hai na paa hai rikaab meiN--Ghalib
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
8)
barq o sharar ko maSliHat-e-waqt se thaa kaam
maiN apne aashiyaaN ko sajaane meiN reh gayaa.
:P
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Last edited by Abdullah Nazir on Tue Nov 07, 2006 6:31 am, edited 1 time in total.
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
- Nadir Sir'giroh
- nau-waarid
- Posts: 19
- Joined: Sun Apr 16, 2006 9:18 am
- Location: Bambai Meri JaaN.............
- Contact:
WoH aaye bazm meiN itna to Meer ne dekha
phir uske baad chiraaghoN meiN raushni na rahi
......Ye modern chiraagh hai........jiss ke taley aNdheraa nahi hota.............................................AN'DHER..hota hai.
phir uske baad chiraaghoN meiN raushni na rahi
......Ye modern chiraagh hai........jiss ke taley aNdheraa nahi hota.............................................AN'DHER..hota hai.
Nadir Khan Sir'giroh
http://forum.urdugulban.com/phpBB/
Hairat se yooN na dekhiye, zarraH huwaa toA kya huwaa.
Apni jagaH pe jaaneman, zarraH bhi aaftaab hai.
http://forum.urdugulban.com/phpBB/
Hairat se yooN na dekhiye, zarraH huwaa toA kya huwaa.
Apni jagaH pe jaaneman, zarraH bhi aaftaab hai.
- Nadir Sir'giroh
- nau-waarid
- Posts: 19
- Joined: Sun Apr 16, 2006 9:18 am
- Location: Bambai Meri JaaN.............
- Contact:
Har ek baat ka uss ko hisaab kya detey
sawaal saarey ghalat thhey jawaab kya detey
jo ek lafz kee khushboo na rakh saka meh'fooz
humm uss ke haathh meiN sara nisaab kya detey
Nadir Khan Sir'giroh
http://forum.urdugulban.com/phpBB/
Hairat se yooN na dekhiye, zarraH huwaa toA kya huwaa.
Apni jagaH pe jaaneman, zarraH bhi aaftaab hai.
http://forum.urdugulban.com/phpBB/
Hairat se yooN na dekhiye, zarraH huwaa toA kya huwaa.
Apni jagaH pe jaaneman, zarraH bhi aaftaab hai.
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
isi ummeed peh qaayim hei yeh dunyaa Nazir
wo idhar dekhne waale heiN idhar dekhenge.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Last edited by Abdullah Nazir on Tue Dec 26, 2006 2:22 am, edited 1 time in total.
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact: