"dua say kaam letay hai.n"tarhi kalaam peshe khidm

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

"dua say kaam letay hai.n"tarhi kalaam peshe khidm

Post by haamidbaaqri »

salaamun alaikum
dosto

aapki khidmat mei.n taza tarhi kalaam pesh kar rahay hai.n

gar qubool uftad zahay....

arz kiya hai...

dua hathyaaray momin hai dua say kaam letay hai.n
shifa zikray khuda mei.n hai khuda ka naam letay hai.n.

jahaa.n mei.n hum qina'at say hamaysha kaam letay hai.n
khuda ka shukr kartay hai.n khuda ka naam letay hai.n

woh buzdil hai.n jau dartay hai.n yahaa.n hardam balaao.n say
bahaadur sabr ka aisay mei.n daaman thaam letay hai.n

jau momin hai.n woh chaltay hai.n mohammed(s.a.w.)ki shariat per
munaafiq naamay paighamber(s.a.w) baraaye naam letay hai.n

faraybee taajiro.n ki dausto yeh bhi nishaani hai
woh acchay maal kau bhi kaudiyo.n kay daam letay hai.n

baday chaalaak hai.n dekho hamaaray daur kay taajir
khuda ka naam lekar bhi dagha say kaam letay hai.n

yaqee.n humko hai haamid tum kabhie ma'ye pee nahi.n saktay
magar sab bazmay rindaa.n mei.n tumhaara naam letay hai.n

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houee. Aapke andaaz meiN kahe houe saare ashAar bahut khoob heiN. Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aapka MukhliS,

WEBMASTER.

Image
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: Bahut khoob, waah waah

Post by haamidbaaqri »

WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houee. Aapke andaaz meiN kahe houe saare ashAar bahut khoob heiN. Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aapka MukhliS,

WEBMASTER.

:salaam2:
mohtaram abdullah nazir saahib


aapki mohabbat, aapki musalsal hausalah afzaayee,purkhuloos daad aur mubaarakbaad kay hum behad mamnoono mashkoor hai.n.

jazakallah
mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Post Reply