Ghazal: MaahoN ke ba'd deta hai mauqa' jo deed kaa

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Munawwar
-
-
Posts: 62
Joined: Fri Mar 03, 2006 7:26 pm

Ghazal: MaahoN ke ba'd deta hai mauqa' jo deed kaa

Post by Munawwar »

Dosto

Is koshish meN lagaataar rahtaa huN ke mauqa' milte hi kuchh fikr-o-mashq karooN, aur kuchh TooTee phooTee see ban jaaye to bazm meN pesh kar dooN. Isee koshish kaa nateejah hai ke ek ghazal banee hai jo shaayad yahaaN pesh karne ke laayaq hai. Aap hameshah kee taraH meree is ma'moolee see koshish par apne khayaalaat bayaan kareNge to baRee mehrbaanee hogee.

Ghazal pesh hai:

maahoN ke ba'd deta hai mauqa' jo deed kaa

maahoN ke ba'd deta hai mauqa' jo deed kaa
ham-chashm hai wo maah-jabeeN maah-e-'eed kaa!

shikwah na samjho aah ko jaur-e-shadeed kaa
aahoN meN iltimaas hai lutf-e-mazeed kaa

ham yooN bhi dil meN rakhte haiN shauq-e-sukhanwaree
samjho na keh bahaanah hai guft-o-shaneed kaa.

jaataa kahaaN hai yaar, tu pursaaN kiye baghair?
kaafee naheeN 'ilaaj ko ahsaan deed kaa

badle meN ik nigaah ke eemaan-o-jaan-o-dil!
saudaa hai khoob, 'azm karo gar khareed kaa

saude meN dil ke, dost mire, faaidah na dekh,
'aashiq naheeN hai naam kisee mustafeed kaa

karne lagaa huN qatl gah-e-yaar meN gilaa:
bismil ko kyuN nah deejiye rutbah shaheed kaa!

tadbeer kyaa karega "Munawwar" tu, ba'd-e-marg
saayah na jaaye gar gham-e-'umr-e-madeed kaa?

-----------------------------------------------------------------------------------------

Izhaar-e-khayaalaat farmaakar is adnaa see ghazal kee raunaq baRhaayeN. MaiN aap sabkee raaye kaa muntazir rahuNgaa.

Aapkaa dost
Bhaswar Dasgupta "Munawwar"
Bhaswar Dasgupta "Munawwar"
------------------------------------
Kabhii khursheed kii raunaq pe chhaayaa thaa nashaa yaaroN
Sunaa hai ke usii din ko "Munawwar" jee huyeN paidaa!
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Munawwar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki mandarja-e-zeil ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

maahoN ke ba'd deta hai mauqa' jo deed kaa

maahoN ke ba'd deta hai mauqa' jo deed kaa
ham-chashm hai wo maah-jabeeN maah-e-'eed kaa!

shikwah na samjho aah ko jaur-e-shadeed kaa
aahoN meN iltimaas hai lutf-e-mazeed kaa

ham yooN bhi dil meN rakhte haiN shauq-e-sukhanwaree
samjho na keh bahaanah hai guft-o-shaneed kaa.

jaataa kahaaN hai yaar, tu pursaaN kiye baghair?
kaafee naheeN 'ilaaj ko ahsaan deed kaa

badle meN ik nigaah ke eemaan-o-jaan-o-dil!
saudaa hai khoob, 'azm karo gar khareed kaa

saude meN dil ke, dost mire, faaidah na dekh,
'aashiq naheeN hai naam kisee mustafeed kaa

karne lagaa huN qatl gah-e-yaar meN gilaa:
bismil ko kyuN nah deejiye rutbah shaheed kaa!

tadbeer kyaa karega "Munawwar" tu, ba'd-e-marg
saayah na jaaye gar gham-e-'umr-e-madeed kaa? [/u[

Aapka MukhliS,
WEBMASTER,
Image
Munawwar
-
-
Posts: 62
Joined: Fri Mar 03, 2006 7:26 pm

Post by Munawwar »

Janaab Abdullah Naazir SaaHab,

Aadaab aur saal-e-nau mubaarak!
Aapkee 'inaayat kaa shukr adaa karne meN kuchh der ho gayee jiske liye maiN mu'azrat khwaah huN. Aapne ghazal paRhee aur meree hauSlah afzaaee kee jiske liye maiN aapkaa beHad mamnoon huN. Ummeed hai ke isee andaaz meN aap mustaqbil meN bhee mujhpar karam farmaayeNge.

Aapkaa mamnnoon,
Munawwar
Bhaswar Dasgupta "Munawwar"
------------------------------------
Kabhii khursheed kii raunaq pe chhaayaa thaa nashaa yaaroN
Sunaa hai ke usii din ko "Munawwar" jee huyeN paidaa!
Post Reply