guz.25 per meri ghazal. Irfan barabankwi.

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
irfan barabankwi
-
-
Posts: 69
Joined: Sun Jan 02, 2005 6:25 pm
Location: jeddah
Contact:

guz.25 per meri ghazal. Irfan barabankwi.

Post by irfan barabankwi »


Urdubandhan ke saathiyo,

Tasleemaat,

Abdullah Nazir Sabib ke iSraar per aek ArSah baAd apni TaraHi ghazal lekar HaaZir houaa hooN jo unke hee computer se bhej rahaa hooN. Ummeed ke apni giraaNqadr aaraa se navaazkar mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

Roman meiN:

Koii maatam, koii kartaa hei charaaghaaN kyaa kyaa
Haadice dekhtaa hei deeda-e-HairaaN kyaa kyaa

Aaj dunyaa meiN nahiN dushman-e-eemaaN kyaa kyaa
Dil kee takfeer ke paidaa houe imkaaN kyaa kyaa

Tark, naadaan ne aslaaf kee qadreN kardeeN
Aur ruswaa houaa dunyaa meiN musalmaaN kyaa kyaa

Yeh alag baat hei poore who nahiN hou paate
Warnah insaan ke houte nahiN armaaN kyay kyaa

Aek rouTi ke nivaale kee bahut hei waqAat
Iski targheeb peh kartaa nahiN insaaN kyaa kyaa

Zindagaani kaa nahiN koii Thikaanah yaaro
Phir bhee karte rahe iske liye saamaaN kyaa kyaa

khwaahisheN teri kisi Taur nahiN kam houteeN
teri khaaTir maiN karooN aie dil-e-naadaaN kyaa kyaa

aakhirash hougayeeN naakaam sabhi tadbeereN
DhoonD kar laaye maseeHaa mire darmaaN kyaa kyaa

imtiHaaN meri wafaa'oN kaa liyaa hei jab bhee
usko hounaa paRaa, poocho nah, pashemaaN kyaa kyaa

itnaa purnoor thaa, dilkash thaa saraapaa uskaa
aayenah, dekh kar usko houaa HairaaN kyaa kyaa

de ke di ko mire eemaan o baSeerat :IrfaN:
"mere allah ne mujh per kiye iHsaaN kyaa kyaa"
=====

Khair andesh,
Irfan Baarahbankawi,
Attachments
irfan_ub_25_f.jpg
irfan_ub_25_f.jpg (127.99 KiB) Viewed 648 times
iHtisab apne naqaayis ka mujhe aataa hei
Saare Aalam ki maiN taqseer kahaN tak dekhuN
Irfan Barabankwi.
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Irfan Barabankawi SaHib aadaab! :-)

Ghzarish 25 ke liYe aap kee Ghazal dekh~ne ka maoqa' mila. mashAllah bohot u'mdah asha'aar kahe haiN. zameen nihayat dushwaar hone ke bawajood is rawanee aor barjastagee se Ghazal kehna. kam logooN ke HiSSah meN aataa hai.

mujh~e qawee ummeed hai. keh aap aae,indah bh~ee baqae,idagee se mushae,irah meN shareek ho kar nah Sirf meHfil kee raonaq meN aZ^afah ka bae,ic baneeN ge balkeh hameeN kuch~ seekh~ne ka maoqa' bh~ee faraham kareeN ge.


Koii maatam, koii kartaa hei charaaghaaN kyaa kyaa
Haadice dekhtaa hei deeda-e-HairaaN kyaa kyaa

kiYa kehne! waah!

Aaj dunyaa meiN nahiN dushman-e-eemaaN kyaa kyaa
Dil kee takfeer ke paidaa houe imkaaN kyaa kyaa

waah!

Tark, naadaan ne aslaaf kee qadreN kardeeN
Aur ruswaa houaa dunyaa meiN musalmaaN kyaa kyaa

kiYa kehne! waah! waah!

Yeh alag baat hei poore who nahiN hou paate
Warnah insaan ke houte nahiN armaaN kyay kyaa

bohot koob! bohot achch~a kheyaal hai. waah!

Aek rouTi ke nivaale kee bahut hei waqAat
Iski targheeb peh kartaa nahiN insaaN kyaa kyaa

kiYa kehne!

Zindagaani kaa nahiN koii Thikaanah yaaro
Phir bhee karte rahe iske liye saamaaN kyaa kyaa

waah!

khwaahisheN teri kisi Taur nahiN kam houteeN
teri khaaTir maiN karooN aie dil-e-naadaaN kyaa kyaa

bohot khoob!

aakhirash hougayeeN naakaam sabhi tadbeereN
DhoonD kar laaye maseeHaa mire darmaaN kyaa kyaa

waah!

imtiHaaN meri wafaa'oN kaa liyaa hei jab bhee
usko hounaa paRaa, poocho nah, pashemaaN kyaa kyaa

waah!

itnaa purnoor thaa, dilkash thaa saraapaa uskaa
aayenah, dekh kar usko houaa HairaaN kyaa kyaa

kiYa kehne!! waah!

de ke di ko mire eemaan o baSeerat :IrfaN:
"mere allah ne mujh per kiye iHsaaN kyaa kyaa"

bohot khob! baRee khubSurat girah lagaee hai. waah!


is khubSurat aor dilkash kalam par meree dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe!

Wassalam
dua'a gao!

Muz^affar AHmad muz^affar
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami,
Irfan Barahbankwi SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat, :-)

Aapki ghazal mere computer se bhejne se pahle hee nazar se guzar chuki hei jiske saare ashAar bahut dilkash heiN.

Is khoobSoorat takhleeq per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,

Nazir.

Image
User avatar
irfan barabankwi
-
-
Posts: 69
Joined: Sun Jan 02, 2005 6:25 pm
Location: jeddah
Contact:

Bahut bahut shukriyah

Post by irfan barabankwi »

mohtaramee
muzaffar saheb

salam-e-masnoon

aapka nawazish namah aaj nazar nawaz huwa. aapki hauslah afzai
ka bahu bahut shukriyah ke aapne apna qeemti waqt nikalker
mujhko hauslah diya.

koshish karoNga ke aayendah bhi aapki bazm aakar kuchh pesh
karooN. shukriyah


khair andaish

irfan barabankwi
iHtisab apne naqaayis ka mujhe aataa hei
Saare Aalam ki maiN taqseer kahaN tak dekhuN
Irfan Barabankwi.
User avatar
irfan barabankwi
-
-
Posts: 69
Joined: Sun Jan 02, 2005 6:25 pm
Location: jeddah
Contact:

Bahut bahut shukriyah

Post by irfan barabankwi »

mohtaramah

SARA SAHEBAH

tasleemat


mohtaram nazir saheb ke hukm per bahut dino ke baad aapki
bazm meiN aaney ka mauqaA mila . aapka zikr nazir saheb barabar
kartey rahte haiN.

Ghazal ki pasandeedgi ka bahut bahut shukriyah.

koshish karooNga ke ayendah bhi URDU BANDHAN meiN shirkat
hoti rahey. shukriyah

khair andaish

irfan barabankwi
iHtisab apne naqaayis ka mujhe aataa hei
Saare Aalam ki maiN taqseer kahaN tak dekhuN
Irfan Barabankwi.
User avatar
irfan barabankwi
-
-
Posts: 69
Joined: Sun Jan 02, 2005 6:25 pm
Location: jeddah
Contact:

Bahut bahut shukriyah

Post by irfan barabankwi »

mohtaramee

ustaz Nazir Saheb

ehtiram-o-aqeedat

aapka nawazish namah dekha. Ghazal ki hauslah afzai ka bahut
bahut shukriyah. dar asl yeh sab aapki taAleem ka natija hai.
mainay jo sikha hai wo sab aapse hi seekha hai.

ummeed hai ayendah bhi hauslah afzai farmaey raheinge.


talib-e-dua

irfan barabankwi
iHtisab apne naqaayis ka mujhe aataa hei
Saare Aalam ki maiN taqseer kahaN tak dekhuN
Irfan Barabankwi.
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Re: guz.25 per meri ghazal. Irfan barabankwi.

Post by muhammad_19k »



Salam Mohtarmi,

pehli baar aap ke roo buroo paish ho rahaa hooN. kissi bhi qism ki naa laaiqui k liaye paishgi muazirat




Koii maatam, koii kartaa hei charaaghaaN kyaa kyaa
Haadice dekhtaa hei deeda-e-HairaaN kyaa kyaa



Bohat khoobsoorat matlA hai. purkashish aisaa ke aik dam se saari tawajja kheench laitaa hai.

Aaj dunyaa meiN nahiN dushman-e-eemaaN kyaa kyaa
Dil kee takfeer ke paidaa houe imkaaN kyaa kyaa


Tark, naadaan ne aslaaf kee qadreN kardeeN
Aur ruswaa houaa dunyaa meiN musalmaaN kyaa kyaa


bohat khoobsoorat ash'aar haiN. aor bohat kuchh sochne par majboor kar daitaiN haiN. aap ne ye mazameen bohat khoobsoorti se ghazal meiN dhaalaiN haiN.


Yeh alag baat hei poore who nahiN hou paate
Warnah insaan ke houte nahiN armaaN kyay kyaa

Aek rouTi ke nivaale kee bahut hei waqAat
Iski targheeb peh kartaa nahiN insaaN kyaa kyaa

Zindagaani kaa nahiN koii Thikaanah yaaro
Phir bhee karte rahe iske liye saamaaN kyaa kyaa




bohat khoob! bajaa farmataiN haiN aap. baat gao nayee naheeN laikin lehja bohat pur asar hai.



khwaahisheN teri kisi Taur nahiN kam houteeN
teri khaaTir maiN karooN aie dil-e-naadaaN kyaa kyaa


bohat achha sha'er hai oar doosre miSra ki be saakhtigi ne mutaSSir kia.

aakhirash hougayeeN naakaam sabhi tadbeereN
DhoonD kar laaye maseeHaa mire darmaaN kyaa kyaa


chooNke abhi dunyaa sha'er meiN nauwaarid hooN. Iss leeaye bohat si ashhaar ki khoobeeoN oar khaamiyoaN ka andaazaa naheeN hotaa. laikin iss sha'er par bhi wah wah aor bohat khoob keh kar bad dianti kaa murtakib naheeN ho saktaa. such baat ye hai ke iss sha'er ke mohassin mujh par poori taraH aashkaar naheeN ho sake. meiN iss kam ilmi ke leeaye muazirat chahtaa hooN. agar koi dost iss meiN mairi madad karay to meiN shukarguzar hooN ga.

imtiHaaN meri wafaa'oN kaa liyaa hei jab bhee
usko hounaa paRaa, poocho nah, pashemaaN kyaa kyaa


ye sha'er bhi achhchhaa lagaa.



itnaa purnoor thaa, dilkash thaa saraapaa uskaa
aayenah, dekh kar usko houaa HairaaN kyaa kyaa


bohat khoob janab. pehle misrA itnaa pur asar hai mujhe aisaa lagaa jaise mosoof par husn ki baarish ho rahi ho.

de ke di ko mire eemaan o baSeerat :IrfaN:
"mere allah ne mujh per kiye iHsaaN kyaa kyaa"
achhchhi giraah hai.

choonke TarHi ghazal meiN girah ke khaaS ahmiat hoti hai aor iss ke saath saath kissi bhi ghazal meiN ghazal ke matlA aor maqtaA ki. tao (mere khayaal meiN) agar TarHi misrA matlaa ya maqtA meiN istemaal kiyaa jaa-aye to woah zaroorat se kuch ziadaa hi purkashish honaa chahiaye. aor agar meiN aap ki (girah + maqtA) ko apne is khud saakhtaa ma'yaar par daikhooN toa ghazal ke doosre ash'aar daikhte huway issay iss say bhi dilkash hona chahiaye thaa :-) . aap yaqeenun samajh sakte haiN ke ye mairaa khud saakha ma'yaar hai. :grin:


Allah kare zor e qalam aor ziaada.

Duagao,
Muhammad Khawar.

=====
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Post Reply