Khumaar-e-baadah-e-Sad-soz-o-saaz kyaa jaaneN?

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Khumaar-e-baadah-e-Sad-soz-o-saaz kyaa jaaneN?

Post by Sarwar A. Raz »

dosto: aadaab!

maiN aaj kaafee dinoN ke ba'd HaaZ^ir ho rahaa hooN. kuchh Gham-e-dauraaN, kuchh Gham-e-:jaanaaN:! ya'nee jo sab ke saath hotaa hai us se maiN kis t^araH bach saktaa hooN?

meHfil kee raunaq dekh kar Khushee huyee. bohat se achhe dost jama' ho gaYe haiN. sab ko meree t^araf se daad aur aadaab!

ek Ghazal pesh hai. mushkil alfaaz^ ke ma'nee likh diYe haiN. shaayad kisee ke kaam aa jaaYeN! apnee be-laag raaYe likh kar mamnoon keejiYe.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
--------------------------------

Ghazal:

Khumaar-e-baadah-e-Sad-soz-o-saaz kyaa jaaneN?
yeh naaz waale maqaam-e-niyaaz kyaa jaaneN?

inheN to apnee hee chaarah-garee naheeN aatee
miraa i'laaj mire chaarah-saaz kyaa jaaneN?

hameN yeh mai-kadah-e-a'ashiqee hee kaafee hai
ham aur koyee dar-e-kaarsaaz kyaa jaaneN?

nah in kee dostee achh`ee nah dushmanee achh`ee
Hisaab-e-dil bh`alaa ahl-e-namaaz kyaa jaaneN?

jo apne dil pah guZartee hai kyaa kaheN in se?
sab ahl-e-dehr haiN, soz-o-gudaaz kyaa jaaneN?

azal se log jo naa-aashnaa-e-weHshat haiN
rah-e-wafaa ke nasheb-o-faraaz kyaa jaaneN?

woh lut^f-o-shauq jo Khud-aagahee se miltaa hai
fareb-Khurdah-e-Husn-e-majaaz kyaa jaaneN?

mile hai lut^f a'jab bandagee meN :Sarwar: ko
magar yeh aap se bandah-nawaaz kyaa jaaneN!
===============

Khumaar = halkaa nashah
baadah = sharaab
Sad = sau (100)
soz = jalan
saaz = mauseeqee
niyaaz = bandagee, a'ajizee
chaarah-garee = i'laaj karnaa
chaarah-saaz = i'laaj karne waalaa
mai-kadah-e-a'ashiqee = jahaaN muHabbat kaa nashah mil sake
dar-e-kaarsaaz = aisee jagah jahaaN mushkil Hal ho sake
ahl-e-namaaz = bohat maZhabee log
ahl-e-dehr = dunyaa-daar
soz-o-gudaaz = dil kee jalan aur taRap
azal = hameshah
naa-aashnaa = jis ko i'lm nah ho
weHshat = deewaanagee = i'shq
nasheb = neech
faraaz = ooNch
Khud-aagahee = Khud ko pehchaan lenaa
fareb-Khurdah = jo dhokaa khaa chukaa ho
Husn-e-majaaz = z^aahiree Khoob-Sooratee = dunyaa kaa Husn
bandah-nawaaz = paalanhaar, maalik
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

Mohataram Janab Sarwar Sahib,
:salaam:
Meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
سالم احمد باشوار
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

sbashwar wrote:Mohataram Janab Sarwar Sahib,
:salaam:
Meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
mushfiqee Salem SaaHeb: salaam!

kyaa :chup-shaah: kaa rozah rakhaa huwaa hai keh ek jumlah likh kar hee reh gaYe! :-)

likhaa thaa to achhaa-buraa kuchh to likhte! waise :shukriyah:!!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

Mohtaram Janab Sarwar Sahib,
:salaam:
Kash mere qalam mein itna dam houta ke aapke har sheir par kuch likh sakhoon. Aapne himmat dilai hai to itna zuroor kahonga ke har sheir apni jage aik mukammal paigham ya yun kehyie ke aapke tajrube ka nichor hai.
Aapki har post ki hui ghazal ke alawah aapki dewan ke bohat se ghazlein bhi paine parhi hain. Allah aapko sehat o afiat ke saath umar daraaz karein. :ameen:
Talib Dua
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

mohtaram Sarwar A'alam raz Sarwar SaHib aadaab! :-)

"woh jo u'shshaaq kee meHfil se alag rehta hai
kaash dekh~e kabh~ee manz^ar meree tanhaee ka"
(Usuf A'jiz)

aek muddat ba'd aap kee Ghazal se mustafeed hone ka maoqa' mila hai. kiya kehne baRee u'mdah aor dil saoz asha'aar kahe haiN. Ghazal chunkeh musalsal andaaz kee hai. is liye muddaa'-o-ma'nee Saaf aor waaZ^eH haiN. mat^la' ke mut^ale'h se hee aap ka makhSooS asloob-e-bayaan aor aek u'mr kee she'eree musafat ka pata milta hai.

Ghazal ka rojHaan be mehree-e-zamanah aor murdah parast rawayat ke bh~eyanak chehre se naqaab kushaaee kar raha hai.

aap khud bh~ee aek a'aaqibat andech aadamee haiN. aor zamanah ke badalte huwe rujHaan se khub aagah haiN is liye aap ke haaN is naoi,yat kee Ghazleeyaat kee aek khaaS ta'daad maojood hai. daraSl yahee Haqiqat-e-yaaraaN aor darpardah Haqaaiq haiN. aap ne baRee hunar mandee se Surat-e-aHwaal kee manz^ar kashee kee hai. Ghazal ke sabh~ee asha'aar aap kee qadir-ul-kalamee ka muNh bolta caboot haiN.

mujh~e aap kee Ghazal dil-o-jaan se pasand aaee hai. dad qubool kijiye!

Khumaar-e-baadah-e-Sad-soz-o-saaz kyaa jaaneN?
yeh naaz waale maqaam-e-niyaaz kyaa jaaneN?

bohot khoob,waah, waah, kiya kehne, lajawab mat^la' hai,

inheN to apnee hee chaarah-garee naheeN aatee
miraa i'laaj mire chaarah-saaz kyaa jaaneN?

kiya kehne, waah, waah,waah,

hameN yeh mai-kadah-e-a'ashiqee hee kaafee hai
ham aur koyee dar-e-kaarsaaz kyaa jaaneN?

bohot khoob, waah,waah,

nah in kee dostee achh`ee nah dushmanee achh`ee
Hisaab-e-dil bh`alaa ahl-e-namaaz kyaa jaaneN?

bohot khoob, waah waah,

jo apne dil pah guZartee hai kyaa kaheN in se?
sab ahl-e-dehr haiN, soz-o-gudaaz kyaa jaaneN?

kiya kehne, waah Sarwar SaHib,,,waah

azal se log jo naa-aashnaa-e-weHshat haiN
rah-e-wafaa ke nasheb-o-faraaz kyaa jaaneN?

bohot khoob, waah,waah,

woh lut^f-o-shauq jo Khud-aagahee se miltaa hai
fareb-Khurdah-e-Husn-e-majaaz kyaa jaaneN?

waah, waah, jawab naheeN waah,waah,

mile hai lut^f a'jab bandagee meN :Sarwar: ko
magar yeh aap se bandah-nawaaz kyaa jaaneN!

bohot khoob, waah waah,

Wassalam
khadim
Muz^affar AHmad Muz^affar
Ibn-e-siddique
-
-
Posts: 219
Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
Location: Doha Qatar
Contact:

Post by Ibn-e-siddique »

moHtaram Sarwar saHib

salaam arz hai

aap ki ye ghazal to kaafi din pehle hi paRh li thi, magar daad dene Haazir na ho sakaa. bil.umoom poori ghazal aur bil.khusoos darj-e-zail ash'aar pasand aaye :

inheN to apnee hee chaarah-garee naheeN aatee
miraa i'laaj mire chaarah-saaz kyaa jaaneN?

hameN yeh mai-kadah-e-a'ashiqee hee kaafee hai
ham aur koyee dar-e-kaarsaaz kyaa jaaneN?

jo apne dil pah guZartee hai kyaa kaheN in se?
sab ahl-e-dehr haiN, soz-o-gudaaz kyaa jaaneN?

azal se log jo naa-aashnaa-e-weHshat haiN
rah-e-wafaa ke nasheb-o-faraaz kyaa jaaneN?

mile hai lut^f a'jab bandagee meN :Sarwar: ko
magar yeh aap se bandah-nawaaz kyaa jaaneN!

is umda ghazal per meri jaanib se muraqqa-e-daad-o-teHseen qubool farmaaiN

Amjad
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Ibn-e-siddique wrote:moHtaram Sarwar saHib

salaam arz hai

aap ki ye ghazal to kaafi din pehle hi paRh li thi, magar daad dene Haazir na ho sakaa. bil.umoom poori ghazal aur bil.khusoos darj-e-zail ash'aar pasand aaye :

inheN to apnee hee chaarah-garee naheeN aatee
miraa i'laaj mire chaarah-saaz kyaa jaaneN?

hameN yeh mai-kadah-e-a'ashiqee hee kaafee hai
ham aur koyee dar-e-kaarsaaz kyaa jaaneN?

jo apne dil pah guZartee hai kyaa kaheN in se?
sab ahl-e-dehr haiN, soz-o-gudaaz kyaa jaaneN?

azal se log jo naa-aashnaa-e-weHshat haiN
rah-e-wafaa ke nasheb-o-faraaz kyaa jaaneN?

mile hai lut^f a'jab bandagee meN :Sarwar: ko
magar yeh aap se bandah-nawaaz kyaa jaaneN!

is umda ghazal per meri jaanib se muraqqa-e-daad-o-teHseen qubool farmaaiN

Amjad
muHibbee Amjad SaaHeb: aadaab!

aap se niyaaz kam hee HaaSil hotaa hai aur yeh saraasar meree kotaahee hai. idhar uljhaneN kuchh ziyaadah hee daaman-geer raheeN. ab sahoolat kee shakl naz^ar aayee hai. Allah kaa shukr hai!

Ghazal kee paZeeraayee ke liYe mamnoon hooN. aaj kal she'r-goyee :ba-qadr-e-baadaam: ho kar reh gayee hai. jo kuchh likhaa thaa us kaa hee anjaam :raddee kee "Tokree: naz^ar aataa hai to ab aur kyaa likhooN!

jaantaa hooN cawaab-e-t^aa,a't-o-zuhd
par t^abee,a't idhar naheeN aatee! (Ghalib)

ba-har-Haal, :zindagee hai to KhizaaN ke behe guzar jaaYeN ge din!:

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:mohtaram Sarwar A'alam raz Sarwar SaHib aadaab! :-)

"woh jo u'shshaaq kee meHfil se alag rehta hai
kaash dekh~e kabh~ee manz^ar meree tanhaee ka"
(Usuf A'jiz)

aek muddat ba'd aap kee Ghazal se mustafeed hone ka maoqa' mila hai. kiya kehne baRee u'mdah aor dil saoz asha'aar kahe haiN. Ghazal chunkeh musalsal andaaz kee hai. is liye muddaa'-o-ma'nee Saaf aor waaZ^eH haiN. mat^la' ke mut^ale'h se hee aap ka makhSooS asloob-e-bayaan aor aek u'mr kee she'eree musafat ka pata milta hai.

Ghazal ka rojHaan be mehree-e-zamanah aor murdah parast rawayat ke bh~eyanak chehre se naqaab kushaaee kar raha hai.

aap khud bh~ee aek a'aaqibat andech aadamee haiN. aor zamanah ke badalte huwe rujHaan se khub aagah haiN is liye aap ke haaN is naoi,yat kee Ghazleeyaat kee aek khaaS ta'daad maojood hai. daraSl yahee Haqiqat-e-yaaraaN aor darpardah Haqaaiq haiN. aap ne baRee hunar mandee se Surat-e-aHwaal kee manz^ar kashee kee hai. Ghazal ke sabh~ee asha'aar aap kee qadir-ul-kalamee ka muNh bolta caboot haiN.

mujh~e aap kee Ghazal dil-o-jaan se pasand aaee hai. dad qubool kijiye!

Khumaar-e-baadah-e-Sad-soz-o-saaz kyaa jaaneN?
yeh naaz waale maqaam-e-niyaaz kyaa jaaneN?

bohot khoob,waah, waah, kiya kehne, lajawab mat^la' hai,

inheN to apnee hee chaarah-garee naheeN aatee
miraa i'laaj mire chaarah-saaz kyaa jaaneN?

kiya kehne, waah, waah,waah,

hameN yeh mai-kadah-e-a'ashiqee hee kaafee hai
ham aur koyee dar-e-kaarsaaz kyaa jaaneN?

bohot khoob, waah,waah,

nah in kee dostee achh`ee nah dushmanee achh`ee
Hisaab-e-dil bh`alaa ahl-e-namaaz kyaa jaaneN?

bohot khoob, waah waah,

jo apne dil pah guZartee hai kyaa kaheN in se?
sab ahl-e-dehr haiN, soz-o-gudaaz kyaa jaaneN?

kiya kehne, waah Sarwar SaHib,,,waah

azal se log jo naa-aashnaa-e-weHshat haiN
rah-e-wafaa ke nasheb-o-faraaz kyaa jaaneN?

bohot khoob, waah,waah,

woh lut^f-o-shauq jo Khud-aagahee se miltaa hai
fareb-Khurdah-e-Husn-e-majaaz kyaa jaaneN?

waah, waah, jawab naheeN waah,waah,

mile hai lut^f a'jab bandagee meN :Sarwar: ko
magar yeh aap se bandah-nawaaz kyaa jaaneN!

bohot khoob, waah waah,

Wassalam
khadim
Muz^affar AHmad Muz^affar
janaab-e-Muzaffar SaaHeb: aadaab!

aap kaa beHad shukriyah keh Hasb-e-ma'mool aap ne bohat meHnat aur tafSeel se Ghazal dekhee aur us par apnee giraaN-qadr Khayaalaat kaa iz^haar kiyaa. aap SaaHeb-e-naz^ar haiN aur aap se tabaadilah-e-Khayaal hameshah hee soodmand hotaa hai. shukriyah!

:aur raawee sab chain boltaa hai:!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

sbashwar wrote:Mohtaram Janab Sarwar Sahib,
:salaam:
Kash mere qalam mein itna dam houta ke aapke har sheir par kuch likh sakhoon. Aapne himmat dilai hai to itna zuroor kahonga ke har sheir apni jage aik mukammal paigham ya yun kehyie ke aapke tajrube ka nichor hai.
Aapki har post ki hui ghazal ke alawah aapki dewan ke bohat se ghazlein bhi paine parhi hain. Allah aapko sehat o afiat ke saath umar daraaz karein. :ameen:
Talib Dua
Salem Bashwar
janaab-e-Salem SaaHeb: salaam-e-masnoon!

du,a'a kaa shukriyah adaa karooN keh shikwah? :-)

aap ne naheeN sunaa keh Jigar Muradabadi kyaa keh gaYe?

muSeebat hai yeh lambee zindagaanee
buzurgoN kee du,a'a ne maar Daalaa!