Guzarish 30

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Guzarish 30

Post by Sohail Malik »

Azeezan e bazm aadab!

masrufiat ki wajah say guzashta mah aap ki khidmet maiN kcuh ashaar pesh nah ker saka is liay is mah shru maiN hi is zimmah dari say ohdah bra hota huN. umeed hay aap sab aur khasusen muzaffer saaheb issay qabul fermayeN kiunkeh un say maiN nay guzishtah mah bhi koshish ka waada kia tha.

is ghazal maiN meiN nay tazmeen say ijtinaab kia hay aur us ki wajah yeh hay keh lafz 'aastaN' ghair ullah kay liay aam tour per mustemel hay aur aqeedah-e-touheed ser jhukanay kay muaamelay meiN kissi shek ki gunjaesh nahiN daita.

aap ki duaoN ka talib aur aara ka muntazir.

wassalam

sohail malik

[align=center]

یقیں محکم شعورِ لامکاں سے
یقیں افضل بہرعنواں گماں سے

فروغِ نقطہءِ لا سے جہاں ہے
بنے گا کیا فروغِ آسماں سے

نہ چنگیزی نہ نمرودی دوامی
سبق یہ سیکھ ان کی داستاں سے

ہمارا رہبرِ کامل ﷺ ہے تُو ہی
ہمیں رستہ ملا تیرے نشاں سے

ذرا اُس تیر کو تُو تول جو کہ
ابھی نکلا نہیں تیری کماں سے

دمادم یہ صدائے کن فکاں سن
محبت کر بھلے تو اس جہاں سے

مکاں سے تو نمٹنا سیکھ پہلے
نہ الجھا کر ابھی تُو لامکاں سے

[/align]

Attachments
yaqeeN mohkem.gif
yaqeeN mohkem.gif (18.06 KiB) Viewed 627 times
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Doctor SaHeb

aik shakhS se us ke baitay ne poochaa ke abbaa jaan jin logoN ke quran e paak ke samajh naheeN aati to woh quran paak paRh kar ya sun kar lutf kaise uthaate haiN. ? us ne kahaa baitaa aap ka sawaal achchha hai laikin is ka jawaab shayed meN abhi aap ko na day paaooN haaN phir kabhi zaroor dooN ga.

oar phir aik din us ne apne baitay se kahaa ke jis tokri meN koilay rakhe huwaay haiN us meN paani laao. baitaa heeran huwaa bolaa. abba jaan us meN to bohat soraakh haiN bhalaa us meN kyaa paani aa-aye ga. woh shakhs bolaa baitaa aap laao to sahi. baitaa bay chaaraa gyaa oar us meN paani laanay ki koshish ki laikin bhalaa sorokhoN ki mojoodgi meN paani kahaa thehrtaa. jub woh baap ke pass pohanchaa to tokri khaali thi. us shakhs ne baite ko do chaar baar phir bhaijaa. baitaa har baar khaali tokri ke saath wahaaN pohanchtaa. kuch dair ke baad baap ne kahaa. baitaa daikhoo, aap ne tokri meN paani laane ki koshish ki laikin tokri meN paani na ther sakaa laikin har baar ki koshish se tokri ki kaalak oar mail kuchail kam hoti gayee hai. aor ab aap ko tokri saaf nazar aa rahi hai. issi taraH bohat se log quran e paak samajh to naheeN saktaa laikin phir issay paRhte rehnay se aor suntay rehne se dil ki kacaafteN door ho jaati haiN.

aap ke bhi kuch ashaar mujhe samajh to naheeN aate laikin acar zaroor karte haiN.

mojood ghazal ke pehlay 'ashaar issi zimray meN aate haiN.

3. bohat khoob sabaq ye seekh in ki daastaaN se------- sabaq seekhaa hai in ki daastaN se kar daikhiaye.
4. jazak Allah
5. tay ki takraar bhali hai ya buri, is par ra-aye to shayed shakhS ba shakhS mukhlif ho gi. mujhe "too tol" ne mutacir naheeN kiyaa.
6. damaa dam ? kyaa damaa dam mast qalandar waalaa dama dam hai?
7. bohat khoob janab . laikin aap bhi to sh'aoor e laa makaaN ko yaqeeN moHkam qaraar day rahaiN haiN ;-)

khush rahiaye,

mukhliS,
Muhammad K. .Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Post by Sohail Malik »

muhammad_19k wrote: Doctor SaHeb

Quran e majeed to khaliq e aala ka kalam hay aur us kay kia kia aijaazat haiN un ka ziker kernay kay liay yeh munh bohat chhoTa hay, albata itna hay keh her shakhs jo khalus e niet say istifaada haSil kerna chahay to kalam Allah maiN her shakhs ki zehni istedaad kay mutabiq bohat kuch mojud hay. yeni wahaN mutlaq jahil kay liay bhi saaman e hidayet o rahet e jaaN hay jabkeh baRay say baRay aalim kay liay bhi hairet kay samunder destiaab haiN.

rehi meri baateN to koshish hoti hay keh ager kuch roshni mujh tek pohanchi hay to ussay aagay pohancha duN, aur Aleem to ussi ki zaat hay.

mojood ghazal ke pehlay 'ashaar issi zimray meN aate haiN.

is ghazal kay pehlay 2 ashaar or aakhri sher aik hi silsilay ki kaRi haiN

yeh teenoN ashaar insaan ka khaliq say mukalima haiN( aur yahaN jawab bhi saathi hi hay)

pehlay sher maiN derkhwast hay husne dua kay saath

dusray maiN derkhwast hay istejaab kay saath istejaab hay

aakhri maiN jawab hay

zera pehlay sher ko yuN dekhiay keh beTa baap say baat ker raha hay
'1. aba insaan ko aala taleem zarur haSil kerni chahihay, aur oxford university maiN bohat achi taleem milti hay'(yeh hua husne dua yeni khwash yeh hay keh oxford university maiN dakhila mil jaey)
2. aba hamaray mulk maiN bhi bohat say achhay taleemi idaray haiN laikin terraqi yafta mumalik maiN in say beRh ker bhi to hasul e taleem kay idaray hoN gay(wohi khwahish laikin istejaab kay saath)'

baap jawab daita hay

3. 'beTa Theek keh rehay ho laikiN abhi pehlay yahaN kay taleemi idaaroN maiN apna taleemi silsila mukamel ker lo phir us kay baad bairun e mulk taleem kay baaray maiN sochna.'
3. bohat khoob sabaq ye seekh in ki daastaaN se------- sabaq seekhaa hai in ki daastaN se kar daikhiaye.
aap ki tajweez bhi achi hay laikin us suret maiN sher say nasihaana reng nikel ker takmeel e zaat ki koshish tek mehdud ho jaey ga.

4. jazak Allah
jazaak Allah

5. tay ki takraar bhali hai ya buri, is par ra-aye to shayed shakhS ba shakhS mukhlif ho gi. mujhe "too tol" ne mutacir naheeN kiyaa.
aap ko 'tol' per aiteraaz hay laikin tol kay baghir khayal hi nahiN rehta

kiunkeh 'baat' bolnay say pehlay toli jaati hay aur ager baat ki teraf koi ishara nah ho to phir sher ka khayal mehz teer kaman tek hi mehdud ho ker reh jaata hay.

6. damaa dam ? kyaa damaa dam mast qalandar waalaa dama dam hai?
''yeh kainaat abhi natamaam hay shaed
keh aa rehi hay dama dem sadaye kun fa yakuN ''(iqbal)

is sher maiN maiN nay allama kay sher kay khayal ko aagay beRhaya hay keh donoN hi teraf nazer rekho. yeni is duniya maiN bhi jo silsilay haiN unhaiN diljamai say nibhatay reho aur jo takhleeqay kainaat kay aala maqasid aur madarij haiN un per bhi nazer rekho.
7. bohat khoob janab . laikin aap bhi to sh'aoor e laa makaaN ko yaqeeN moHkam qaraar day rahaiN haiN ;-)
is ka ziker uper ker chuka huN. yeh insaan ka apni baat ko jhuTlana nahiN hay balkeh yeh us ki baat ka jawaab hay jis maiN inkaar nahiN balkeh sabr ki talqeen hay.

wassalam

Sohail Malik
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Sohail SaHeb,

wazaaHat ka bohat bohat shukriyaa.

aap ki shaairi aik sher meN hi naheeN balke baishter ashaar meN Iqbaal ka hi Hakeemanaa andaaza rakhti hai. agar kabhi ho sake to apni ko nazm bhi share ki jiiaye ga.

dua'go,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Sohail Malik SaaHib aadaab!

kiyaa kehne bohot khubSurat aor Hakeemanh andaaZ-e-bayaan ko "taSarruf" kee chaashnee aor Halawat se do aatishah kar diyaa hai. kalam ko dekh kar Dr, Sir A'llamah Iqbal se aap kee ruHanee a'qeedat aor lagawaT kaa pataa bhee miltaa hai.

is andaaZ ko bohot hee kam inshapardaZooN ne apnayaa hai. wajah Ghaleba" yahee hai keh yeh daqeeq fikree u'qdah kushaaee ke i'lawah SadiyooN ke talkh aor mahiranah tajrube kaa muttaqaZ^ee hai. aor maZ^ameen ke intekhaab ke silsilah meN bhee daae'rah-e-intekhaab tanG hee dikhaee detaa hai. aor u'muma" Ghazal ke murawwijah fusurda aor rawayatee usloob-o-peraaeY se daman bachate huwe daryaa-e-ma'anee kaa rukh Afaqiyat, khuddaaree, anaa, wat^an parastee, aor khuSuSa" khudee ke sanG laakh reGZarooN kee janib mooRna paRtaa hai.

mujhe khushee hai keh aap ne Ghazal ke sabhee uSoolooN ko baRee kamyabee se nibhate huwe aek mushkil lekin kaamyaab tajrubah kiyaa hai. is maoqa' par maiN aap ko dilee mubaarak baad aor Gul haa-e-daad pesh kartaa hooN.
khush raheeN!

Wassalam
Muz^affar Ahmad Muz^affar
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Post by Sohail Malik »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Sohail Malik SaaHib aadaab!

kiyaa kehne bohot khubSurat aor Hakeemanh andaaZ-e-bayaan ko "taSarruf" kee chaashnee aor Halawat se do aatishah kar diyaa hai. kalam ko dekh kar Dr, Sir A'llamah Iqbal se aap kee ruHanee a'qeedat aor lagawaT kaa pataa bhee miltaa hai.

is andaaZ ko bohot hee kam inshapardaZooN ne apnayaa hai. wajah Ghaleba" yahee hai keh yeh daqeeq fikree u'qdah kushaaee ke i'lawah SadiyooN ke talkh aor mahiranah tajrube kaa muttaqaZ^ee hai. aor maZ^ameen ke intekhaab ke silsilah meN bhee daae'rah-e-intekhaab tanG hee dikhaee detaa hai. aor u'muma" Ghazal ke murawwijah fusurda aor rawayatee usloob-o-peraaeY se daman bachate huwe daryaa-e-ma'anee kaa rukh Afaqiyat, khuddaaree, anaa, wat^an parastee, aor khuSuSa" khudee ke sanG laakh reGZarooN kee janib mooRna paRtaa hai.

mujhe khushee hai keh aap ne Ghazal ke sabhee uSoolooN ko baRee kamyabee se nibhate huwe aek mushkil lekin kaamyaab tajrubah kiyaa hai. is maoqa' par maiN aap ko dilee mubaarak baad aor Gul haa-e-daad pesh kartaa hooN.
khush raheeN!

Wassalam
Muz^affar Ahmad Muz^affar

[align=right]جناب مظفر صاحب پسندیدگی کا بہت شکریہ

اردو شاعری کی دنیا میں میرے نزدیک علامہ اقبال اور دیگر شاعروں کی نسبت سورج اور چراغوں کی ہے

جس مقام پر علامہ تھے کویء اس کے پاسنگ بھی نہیں

یہی وجہ ہے کہ شاعری میں میں نے ہمیشہ انہی سے اکتسابِ فیض کیا ہے

ایک اور قابلِ غوربات یہ ہے کہ آج اگر کوئ اردو میں اعلیٰ موضوعات پر شاعری کرنا چاہے تو اسکو تراکیب اور الفاظ کے ذخیرے کے لیے علامہ ہی کی طرف دیکھنا پڑے گا کیونکہ جن خیلات کو آپ نے الفاظ اور ترکیب سے منسلک کر دیا ہے ان پر نےء سرے سے کام کرنے کے لیے زیرک علما اور شعرا کا ایک دبستان چاہیے

ہماری بدقسمتی ہے کہ ہم نے اپنے علمی ورثے سے ایسی غفلت اور لاپرواہی برتی کہ آج ہم اس کی اہمیت سمجھنے سے قاصر ہیں جبکہ ضرورت اس بات کی ہے کہ کام جہاں ہمارے بڑوں نے چھوڑا وہاں سے لے کر آگے بڑھیں
ایک اور بات جو میری نظر میں ایک اہم حقیقت ہے اور ہمیں قطعاً نظر انداز نہیں کرنی چاہیے وہ یہ ہے کہ کلاسیکل انداز کی شاعری کی پذیرایء اور اہمیت صرف شعرا کی بزم کا معاملہ ہے اور عوام اور خصوصاً آج کے عوام کے درمیان اسکی کویء زندگی نہیں اسلیے ہمیں ایسی بامقصد شاعری کی طرف توجہ دینی چاہیے جس کے ذریعے ہم اپنے آج کے مساءل پر بات کریں۔ عاوم کی گمراہی میں اضافہ کرنے کیبجاےء انکی حقیقی رہنمایء کا باعث بنیں۔ اپنے گمگشتہ علوم عصرِ حاضر کے علوم اور مستقبل کے علوم سبھی پر بات کریں۔ اور رواءتی خیالی دنیاسے باہر نکل آءیں۔
اوراس کام کو سنجیدگی سے آگے بڑھانا آپ جیسے شعرا پرخصوصاً فرض ہے جو حسنِ بیان کی خداداد صلاحیت کے حامل ہیں۔ وگرنہ ایک روز ہمیں اس بات پر ندامت ہو گی کہ کس صلاحیت کو ہم نے کس کام میں برباد کیا۔

خوش رہیے

والسلام

سہیل ملک
[/align]
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: Guzarish 30

Post by haamidbaaqri »

Sohail Malik wrote:Azeezan e bazm aadab!

masrufiat ki wajah say guzashta mah aap ki khidmet maiN kcuh ashaar pesh nah ker saka is liay is mah shru maiN hi is zimmah dari say ohdah bra hota huN. umeed hay aap sab aur khasusen muzaffer saaheb issay qabul fermayeN kiunkeh un say maiN nay guzishtah mah bhi koshish ka waada kia tha.

is ghazal maiN meiN nay tazmeen say ijtinaab kia hay aur us ki wajah yeh hay keh lafz 'aastaN' ghair ullah kay liay aam tour per mustemel hay aur aqeedah-e-touheed ser jhukanay kay muaamelay meiN kissi shek ki gunjaesh nahiN daita.

aap ki duaoN ka talib aur aara ka muntazir.

wassalam

sohail malik

[align=center]

یقیں محکم شعورِ لامکاں سے
یقیں افضل بہرعنواں گماں سے

فروغِ نقطہءِ لا سے جہاں ہے
بنے گا کیا فروغِ آسماں سے

نہ چنگیزی نہ نمرودی دوامی
سبق یہ سیکھ ان کی داستاں سے

ہمارا رہبرِ کامل ﷺ ہے تُو ہی
ہمیں رستہ ملا تیرے نشاں سے

ذرا اُس تیر کو تُو تول جو کہ
ابھی نکلا نہیں تیری کماں سے

دمادم یہ صدائے کن فکاں سن
محبت کر بھلے تو اس جہاں سے

مکاں سے تو نمٹنا سیکھ پہلے
نہ الجھا کر ابھی تُو لامکاں سے

[/align]

:salaam2:
suhail malik saahib

aapki peshkarda ghazal bahut khoob hai.

lehaaza dilee daad haazir hai qubool farmaayeN :clap01:

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah

mukhlis
haamidbaaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Post Reply