Ghazal - Humne Us Se Bhi Dosti Kii Hai........

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Ghazal - Humne Us Se Bhi Dosti Kii Hai........

Post by munir-armaan-nasimi »

Pyare Adab-nawaz Saathio,

Salam-o-Rehmat..!! Aisa lagta hai meri previous post main ghazal sahi post nahin hoyi..... magar kisi ne bhi mujhe bataya nahin..... aaj kayi baar main ne khud usko open karne ki koshish ki magar........... khuli nahin.

Anyway, main ek aur Ghazal aap sab ki anjuman main pesh karta hoon, InshaAllah Pasand aayegi. Apne qeemati aara' se nawaz kar shukriya ada karne ka mauqa dein.... nawazish hogi.

Khuda Hafiz!

aap ka apna,

Munir Armaan Nasimi
Attachments
Ghazal-Dosti-Ki-Hai.gif
Ghazal-Dosti-Ki-Hai.gif (5.37 KiB) Viewed 81 times
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Muneer Arman SaaHib aadaab!

Aap kee woh Ghazal jo is se qabl aap ne "Post" kee thee dekh lee thee. mumkin hai ba'd meN kisee fannee kharabee kaa shikaar ho gaee ho. khaer ab yeh Ghazal dekhee hai. jo dil-o-dimaaGh ko raHat de gaee. kiyaa kehne bohot khubSuratee se aap ne dil kee baat keh dee hai. mujhe ummeed hai keh aap isee t^arH apne aa'laa takhleeqaat se mustafeed hone kaa maoqa' faraham karte raheeN ge. aap ko in adabee meHafil meN dekh kar jee baRaa khush hotaa hai. aor himmat afzaee bhee hotee hai. tashreef late rahiye.

is khubSurat Ghazal par meree daad aor mubarak baad qubool keejiye!
khush raheeN
wassalam
Muzaffar A Muzaffar
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Muneer SaHeb,

is meN kuch shak naheeN ke aap ki tarHi ghazal paRh mujhe eHsaa ho rahaa hai ke aap ne is par unti meHnat naheeN ki jitni doosri ghazloN par karte haiN. laikin chooNke shairy aap meN rachi basi hai is leeaye achchay sh'er to aap yaqeenun sotay meN bhi keh sakte haiN :-).


meN pighal jaa-ooN sab ka ji behlay,
shama ki TarH zindgi ki hai


bohat Khoob janab.

maire purkhay to meer ghalib haiN
bus unhoN ne hi shaairi ki hai


waah.

bohat khoob janab. aik shaandaar koshish par mubaarakbaad qubool kijiaye.

aor haaN aap ne aik sher meN lafz ghalti istemaal kiyaa hai. sirf tabadalaa khyaal ke leeaye 'arz kar rahaa hooN ke is ka saHeeH tallufuz ghalati laam par zabar hai. waise aam bol chaal meN laam saakin yani ghalti bhi paRhaa jaataa hai. laikin ye shaairi meN kis Had tak qaabil e qubool hai. ye to koi urdu daan hi bataa saktaa hai.

Regards,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Bahut Bahut Shukriyaa....

Post by munir-armaan-nasimi »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Muneer Arman SaaHib aadaab!

Aap kee woh Ghazal jo is se qabl aap ne "Post" kee thee dekh lee thee. mumkin hai ba'd meN kisee fannee kharabee kaa shikaar ho gaee ho. khaer ab yeh Ghazal dekhee hai. jo dil-o-dimaaGh ko raHat de gaee. kiyaa kehne bohot khubSuratee se aap ne dil kee baat keh dee hai. mujhe ummeed hai keh aap isee t^arH apne aa'laa takhleeqaat se mustafeed hone kaa maoqa' faraham karte raheeN ge. aap ko in adabee meHafil meN dekh kar jee baRaa khush hotaa hai. aor himmat afzaee bhee hotee hai. tashreef late rahiye.

is khubSurat Ghazal par meree daad aor mubarak baad qubool keejiye!
khush raheeN
wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Beradaram Muzaffar Saheb,

Zah-e-Naseeb ke aap ko meri dono ghazal pasand aayein. Aap ke daad ke phool itne khushboodar hain ke meri rooh tak mahak uthee hai. Main bhi insaan hoon apni taarif sun ke khush ho jaata hoon. Hausla afzayi karte rahein nawazish hogi. Agli baar insha'Allah aur achchi ghazal kehne ki koshish karoonga.

Regards,

MAN
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Post by munir-armaan-nasimi »

muhammad_19k wrote:Muneer SaHeb,

is meN kuch shak naheeN ke aap ki tarHi ghazal paRh mujhe eHsaa ho rahaa hai ke aap ne is par unti meHnat naheeN ki jitni doosri ghazloN par karte haiN. laikin chooNke shairy aap meN rachi basi hai is leeaye achchay sh'er to aap yaqeenun sotay meN bhi keh sakte haiN :-).

Bhai Muhammad Khawar Saheb...... Pahla jumla to aap ne mere dil ki keh di hai..... yaqeenan main ne jiyada mehnat kya.. bilkul bhi mehnat nahin ki hai....... bas computer pe baitha aur jo "AAMAD" hoa... type kar diya..... aur aap ka doosra jumla.... jumla hai ke 'Humla' (?)... main achchay sher sotay men bhi keh sakta hoon....... aap se kis ne kaha ki main neend main badbadata hoon???? Lagta hai aap ne koyi Jaasoos chhod rakhkhe hain meri naqal o harkat pe nazar rakhne ke liye.... Ab to mujhe apni Nisf-behtar pe bhi shak hone laga hai.............


meN pighal jaa-ooN sab ka ji behlay,
shama ki TarH zindgi ki hai


bohat Khoob janab.

BAHUT BAHUT SHUKRIYA...... Gehraayi main jaayein to pata chalega ke ghar main sabse bada hona (Bada Beta, Bada Bhai...) kitni badi baat hai. Everyone expect you to 'sacrifice' for them......... ye meri aap biti bhi hai aur jag-biti bhi........ jo main ne sher main kah di hai.

maire purkhay to meer ghalib haiN
bus unhoN ne hi shaairi ki hai


waah.

SAHI KAHA NA....??? AAP KO PASAND AAYA YE SHER.... BEHAD SHUKRIYA.

bohat khoob janab. aik shaandaar koshish par mubaarakbaad qubool kijiaye.

aor haaN aap ne aik sher meN lafz ghalti istemaal kiyaa hai. sirf tabadalaa khyaal ke leeaye 'arz kar rahaa hooN ke is ka saHeeH tallufuz ghalati laam par zabar hai. waise aam bol chaal meN laam saakin yani ghalti bhi paRhaa jaataa hai. laikin ye shaairi meN kis Had tak qaabil e qubool hai. ye to koi urdu daan hi bataa saktaa hai.

AAP SAHEEH KAH RAHE HAIN.... ghalti nahin ghalati hona chahiye. Islaah karte rahein...... kya karoon Urdu meri maadri-zaban nahin hai... abhi seekh raha hoon.


Regards,
Muhammad K. Siddiqui.
AAP KO GHAZAL PASAND AAYI... YAHI MERE LIYE BAHUT HAI... INSHA'ALLAH AAINDAH BHI APNI GHAZLON KE SAATH AATA RAHOONGA. APNI AARA SE NAWAZTE RAHEIN.

aap ka apna,

Munir Armaan
Post Reply