:: shauq ko chaand, tamannaa ko sitaaraa karne ::

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

:: shauq ko chaand, tamannaa ko sitaaraa karne ::

Post by Star Mind »

Yaaran-e-anjuman aadaab !

meHfil-e-suKhan ke miSra'-e-taraH par yeh Ghazal to bahut pehle likh rakkhii thii magar qudrat ne paish karne ka moqa' naheeN diyaa , aaj aap ki Khidmat meiN paish kar rahaa hooN ! ummeed hai k is ki tavaalat ka liHaaz na karte hov'e apnii qeemati aaraa se navaazeN ge ! itnii lambii Gher Haaziree ke baa'd itnaa to Haq bantaa hai k 14 ash'aar ki Ghazal paish karooN ?

shukriya

:: Urdu Version ::
Image
:: Roman Version ::

1.

shauq ko chaand, tamanna ko sitaaraa karne !
dil tiree bazm meiN aayaa hai ujaalaa karne !

2.

may-kasho ! jaam uThaa'o k ghaTaa chhaa'ii hai
yaad-e-saaqii ka nashaa aur ziyaada karne !

3.

dosto ! jashn manaa'o k bahaar aa'ii hai !
baada-o-mutrib-o-gulzaar muhayyaa karne !

4.

muddatoN baa'd khulaa hai dar-e-mai-Khaana, chalo !
jaan-o-dil , narz-e-ruKh-e-saaqi-e-zeebaa karne

5.

saaGhar-e-dil meiN liye baada-e-gul-raNg-e-jigar
rind aaye haiN tire, jaan ka Sadqaa karne !

6.
muZda aye dil ! k rah-e-yaar se aa'ii hai Sabaa
tere har bujhte hove daaGh ko taaza karne !

7.

GhuNche GhuNche ka jigar cheer ke aa'ii hai bahaar
naqsh seene pe tiree Soorat-e-ra'naa karne !

8.

chaaNdnii raat ka lutf aur baRhaane ke liye
tiri yaad aa'i hai , vaa, dil ka dareecha karne !

9.

aek muddat se hai maHroom-e-Ghazal bazm-e-jahaaN
kaash tuu aaye mujhe zamzama-pairaa karne !

10.

Gham-e-dauraaN ki kaRii dhoop meiN dil jal bhii gayaa !
aap aaye hi naheeN zulf ka saayaa karne !

11.

mere qaatil ! gul--o-Khushboo se sajaa raahoN ko
sar-e-maqtal voh bhi aayeN ge nazaaraa karne !

12.

ham ne har Haal meiN jeene ki qasam khaa'ii hai
maut meiN dam hai to aa jaaye taqaaZa karne !

13.

dil meiN jab dekhiye maHshar sa bapaa rehtaa hai
kaun aataa hai yahaaN roz tamaashaa karne?

14.

dosto ! Gham na karo aane hi vaalaa hai Zia
bazm meiN shu'la-navaa'ii se ujaalaa karne !

.......................................................................................................

shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

sara_j wrote:

Zia salaam,

dair aaye durust aaye aur saath bohat hi umda ghazal se mehfil raushan bhi kardiye :-)

bohat khoob janaab..... aapki ghazal ka lehja aur khushnuma jazbaat dil ko bhaaye.

khaas matla aur maqta tou lajawaab hain.....dhairoN daad qubool keejiye.

sara
Saara behnaa, w/salaam !

kaisii haiN aap ?

nehaayat mamnoon hooN ! aap hamesha HauSla-afzaa'ii farmaatii haiN ! aap kaa tah-e-dil se mamnoon hooN ! shukriya :)

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Biradaram Z^iya SaaHib aadaab!

Allah kaa baRaa eHsaan hai keh aap aek muddat ba'd hee sahee meHfil meN jalwah afrooz huwe haiN. mujhe to baRee tashweesh rahee keh Allah khaer kare keh aap kheriyat se bhee haiN yaa naheeN. agar aap kaa Phone No hotaa to maiN Pakistan aap se Z^aroor rabit^ah paedah karne kee kosh kartaa. khaer aap kee aamad par dil khush hai. aor aap kee Ghazal dekh kar to musarrat do chand ho gaee hai. kiyaa kehne mashAllah bohot muraSSa' aor baRee talaash se she'er keh kar aap ne hamaree she'eree peyaas bujhaee hai.

Ghazal t^ooweel hone ke bawajood apnee rehnaee-e-kheyaal aor buland kheyaalee kee jeetee jaagatee taSweer hai. aap ne apne munfarid aor dilkash usloob-e-she'er ho haath se nah jane diyaa. is kamyaab koshish par meree dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

1.

shauq ko chaand, tamanna ko sitaaraa karne !
dil tiree bazm meiN aayaa hai ujaalaa karne !

Kiyaa kehne!

2.

may-kasho ! jaam uThaa'o k ghaTaa chhaa'ii hai
yaad-e-saaqii ka nashaa aur ziyaada karne !

Waah!\Waah!

3.

dosto ! jashn manaa'o k bahaar aa'ii hai !
baada-o-mutrib-o-gulzaar muhayyaa karne !

Waah!

4.

muddatoN baa'd khulaa hai dar-e-mai-Khaana, chalo !
jaan-o-dil , narz-e-ruKh-e-saaqi-e-zeebaa karne

Waah!

5.

saaGhar-e-dil meiN liye baada-e-gul-raNg-e-jigar
rind aaye haiN tire, jaan ka Sadqaa karne !

Waah!

6.
muZda aye dil ! k rah-e-yaar se aa'ii hai Sabaa
tere har bujhte hove daaGh ko taaza karne !

7.

GhuNche GhuNche ka jigar cheer ke aa'ii hai bahaar
naqsh seene pe tiree Soorat-e-ra'naa karne !

Waah!

8.

chaaNdnii raat ka lutf aur baRhaane ke liye
tiri yaad aa'i hai , vaa, dil ka dareecha karne !

Kiyaa kehne!

9.

aek muddat se hai maHroom-e-Ghazal bazm-e-jahaaN
kaash tuu aaye mujhe zamzama-pairaa karne !

Kiyaa kehne!

10.

Gham-e-dauraaN ki kaRii dhoop meiN dil jal bhii gayaa !
aap aaye hi naheeN zulf ka saayaa karne !

Kiyaa kehne!

11.

mere qaatil ! gul--o-Khushboo se sajaa raahoN ko
sar-e-maqtal voh bhi aayeN ge nazaaraa karne !

Bohot khoob! Waah Waah!

12.

ham ne har Haal meiN jeene ki qasam khaa'ii hai
maut meiN dam hai to aa jaaye taqaaZa karne !

wah!

13.

dil meiN jab dekhiye maHshar sa bapaa rehtaa hai
kaun aataa hai yahaaN roz tamaashaa karne?

wah!

14.

dosto ! Gham na karo aane hi vaalaa hai Zia
bazm meiN shu'la-navaa'ii se ujaalaa karne !

Bohot khoob!

Wassalam
Muzaffar
Ibn-e-siddique
-
-
Posts: 219
Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
Location: Doha Qatar
Contact:

Post by Ibn-e-siddique »

zia saHib

salaam arz hai

janaab ghazal bahot umdah hai, zabaan-o-bayaan ka iste'maal baRay saleeqay se kia gayaa hai, shusta tarz-e-sukhan hai. is kaamiyaab kaawish ke liye meri daad Haazir hai. magar mazmoon aafreeni ki kami kuch kuch meHsoos hui. matla bahot acha hai, lutf aaya paRh ker, us ke baa'd ke chaar asha'ar ghoom phir ker maikhaane aur saaqi ki hi yaad taazah kar rahe haiN :)

lekin in sab ke baavujood ghazal ki lafziyaat aur "khumaariyaat" ne is ka majmui taacur bahot shagufta aur shaa'iraana rakhaa hai :)

Allaah kare zaur-e-qalam aur zyaadah , ye tafseeli tabsira nahiN hai, voh bavaqt-e-fursat, aur ba.shart-e-faraaghat udhaar rahaa ;)

amjad
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Biradaram Z^iya SaaHib aadaab!

Allah kaa baRaa eHsaan hai keh aap aek muddat ba'd hee sahee meHfil meN jalwah afrooz huwe haiN. mujhe to baRee tashweesh rahee keh Allah khaer kare keh aap kheriyat se bhee haiN yaa naheeN. agar aap kaa Phone No hotaa to maiN Pakistan aap se Z^aroor rabit^ah paedah karne kee kosh kartaa. khaer aap kee aamad par dil khush hai. aor aap kee Ghazal dekh kar to musarrat do chand ho gaee hai. kiyaa kehne mashAllah bohot muraSSa' aor baRee talaash se she'er keh kar aap ne hamaree she'eree peyaas bujhaee hai.

Ghazal t^ooweel hone ke bawajood apnee rehnaee-e-kheyaal aor buland kheyaalee kee jeetee jaagatee taSweer hai. aap ne apne munfarid aor dilkash usloob-e-she'er ho haath se nah jane diyaa. is kamyaab koshish par meree dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

1.

shauq ko chaand, tamanna ko sitaaraa karne !
dil tiree bazm meiN aayaa hai ujaalaa karne !

Kiyaa kehne!

2.

may-kasho ! jaam uThaa'o k ghaTaa chhaa'ii hai
yaad-e-saaqii ka nashaa aur ziyaada karne !

Waah!\Waah!

3.

dosto ! jashn manaa'o k bahaar aa'ii hai !
baada-o-mutrib-o-gulzaar muhayyaa karne !

Waah!

4.

muddatoN baa'd khulaa hai dar-e-mai-Khaana, chalo !
jaan-o-dil , narz-e-ruKh-e-saaqi-e-zeebaa karne

Waah!

5.

saaGhar-e-dil meiN liye baada-e-gul-raNg-e-jigar
rind aaye haiN tire, jaan ka Sadqaa karne !

Waah!

6.
muZda aye dil ! k rah-e-yaar se aa'ii hai Sabaa
tere har bujhte hove daaGh ko taaza karne !

7.

GhuNche GhuNche ka jigar cheer ke aa'ii hai bahaar
naqsh seene pe tiree Soorat-e-ra'naa karne !

Waah!

8.

chaaNdnii raat ka lutf aur baRhaane ke liye
tiri yaad aa'i hai , vaa, dil ka dareecha karne !

Kiyaa kehne!

9.

aek muddat se hai maHroom-e-Ghazal bazm-e-jahaaN
kaash tuu aaye mujhe zamzama-pairaa karne !

Kiyaa kehne!

10.

Gham-e-dauraaN ki kaRii dhoop meiN dil jal bhii gayaa !
aap aaye hi naheeN zulf ka saayaa karne !

Kiyaa kehne!

11.

mere qaatil ! gul--o-Khushboo se sajaa raahoN ko
sar-e-maqtal voh bhi aayeN ge nazaaraa karne !

Bohot khoob! Waah Waah!

12.

ham ne har Haal meiN jeene ki qasam khaa'ii hai
maut meiN dam hai to aa jaaye taqaaZa karne !

wah!

13.

dil meiN jab dekhiye maHshar sa bapaa rehtaa hai
kaun aataa hai yahaaN roz tamaashaa karne?

wah!

14.

dosto ! Gham na karo aane hi vaalaa hai Zia
bazm meiN shu'la-navaa'ii se ujaalaa karne !

Bohot khoob!

Wassalam
Muzaffar
Muzaffar bhaa'ii, aadaab !

janaab Ghayaab ki vajh yeh thii k maiN safar pe thaa ! Allah ka karam hai sab Theek Thaak hai ! aap sunaayeN ?
meri Khush-baKhtii hai k aap jaise ahl-e-suKhan ki nazar-e-karam mujhe mayassar hai ! :) aap hamesha is qadar fayyaazii se daad dete haiN k jee baaGh baaGh ho jaataa hai ! nehaayat mamnoon hooN ! shukriya