guzarish # 32 aapkay hawaalay

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

guzarish # 32 aapkay hawaalay

Post by haamidbaaqri »

:salaam2:
dosto :rose :rose :rose

maahay rawaaN kay micray per hamaari adna kaavish peshe khidmat hai

gar qubool uftad zahay..........


arz kiya hai..........


buraayee say ladna sada chaahta hooN
bhalaa aadmi hooN bhalaa chaahta hooN

shariyat pe islaam ki chal kay logo
mohammed(s) say karna wafa chaahta hooN

shahaadat hai meeraac khairul bashar(s) kee
khuda pe maiN hona fida chaahta hooN

maiN apnaakay insaaniyat ko jahaaN meiN
khudaa say khuda kee raza chaahta hooN

dua ka saleeqa sikhaaya hai rab nay
dua meiN bhi uski sanaa chaahta hooN

fanaa honay waali hai duniya yeh saari
maiN baaqi say apni baqaa chaahta hooN

musalmaan hoN muttahid mere maalik
"miree saadagee dekh kyaa chaahta hooN"

miree naykiyaaN kam sahi phir bhi moula
maiN haamid hooN tujh say jaza chaahta hooN

nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah


BAAQI: SUSTAINER OF THE UNIVERSE (ALLAH(SBHNWT)
SHARIYAT:ISLAMIC CODE OF LIFE
SHAHAADAT:GIVING ONE'S LIFE TO SAVE HUMANITY
MEERAAC:INHERITANCE
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]moHtaram Biradaram haamid baaqari SaaHib assalam alikum! :-)

mushaae'rah meN aap kee shumuliyat kaa hameshah hee mutamannee rehtaa hooN. is kee aek wajah to yeh bhee hai keh aap kee tashreef aawaree aek t^araf agar khush aae'ind hai to dusree t^araf HaoSlah afzaa bhee hai. aor teesaree aor sab se aham baat yeh hai keh isee bahane tazkiyah-e-nafs kaa maoqa' bhee haath aajataa hai. warnah is hangaamah-e-daar-o-Geer meN insaan khud apnee zaat se bhee Ghafil ho jataa hai.

khat^ likhne meN taakheer hoee is ke liye mua'zrat khuwah hooN. daraSl maiN ne is se qabl aek lambaa chaoRaa maktoob aap ke naam likhaa aor kisee wajah se "Post" karte huwe Z^aaeia' ho geyaa. aor phir do aek rooz tak wohee maZ^moon meree zehen meN meHfooz^ raha lekin phir Hawadic-e-zamanh kee nazr ho geyaa. khaer!

meree janib se is eemaan afrooz kalam par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye. mujhe ummeed hai keh aap yeh raabit^ah ustawaar rakheeN ge.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
[/align]
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Mohtaram Janab Haamid SaHeb

aap ki ye ghazal bhi mozoo'aat ke 'aitbaar se shaandaar aor taghuzal ke 'aitbaar se behtareen hai. har sher apne ma'aani meN saaf aor bunat bhi mazboo^t lag rahaa hai. kayee baar is baat ka zikr ho chukaa hai ke jo mazaamen aap nikaalte heN un meN aisay achhchay sher kehnaa bohat mushkil kaam hai. aor khaaS t^or par giraah ka marHalaa jo aap ne khoob nibhayaa hai.

mairi t^araf se daad qubool kijiaye.

aor haaN. maqta' kuch qaabil e ghor hai. agar naikiyaaN kam heN aor shaair jaza chaahtaa hai to phir to mushkil ho jaa-aye gi. mairaa khyaal hai ke ham gunahgaar us ki 'ataa ke khaastgaar heN. laikin ye mairaa khyaal hai. aap ne yaqeenun kuch soch kar hi aisaa likhaa ho ga.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]moHtaram Biradaram haamid baaqari SaaHib assalam alikum! :-)
:walikum:
mohtaram muzaffar bhai saahib

mushaae'rah meN aap kee shumuliyat kaa hameshah hee mutamannee rehtaa hooN.


yeh aapki belaus mohabbat hai.jis ki hum bahut qadr karte haiN.

is kee aek wajah to yeh bhee hai keh aap kee tashreef aawaree aek t^araf agar khush aae'ind hai to dusree t^araf HaoSlah afzaa bhee hai. aor teesaree aor sab se aham baat yeh hai keh isee bahane tazkiyah-e-nafs kaa maoqa' bhee haath aajataa hai.

aye khudaa...............yaqeen jaaniye hum khud har lamha apne nafs ko paak karne meiN lage hue haiN jo ik sabse bada jihaad hai.agar is raah meiN hum kisee kay kaam aasake tau yeh hamaari khushnaseebi hai.dua farmaayeN keh is nayk kaam ko allah(sbhnwt)maahay ramadhaan kay sadqe meiN qubool farmaaye.aameen.


warnah is hangaamah-e-daar-o-Geer meN insaan khud apnee zaat se bhee Ghafil ho jataa hai.

bilkul sahi farmaa rahay haiN aap.

khat^ likhne meN taakheer hoee is ke liye mua'zrat khuwah hooN.

koyee baat nahiN...hum jaante haiN keh aap bahut masroof hautay haiN.

daraSl maiN ne is se qabl aek lambaa chaoRaa maktoob aap ke naam likhaa aor kisee wajah se "Post" karte huwe Z^aaeia' ho geyaa. aor phir do aek rooz tak wohee maZ^moon meree zehen meN meHfooz^ raha lekin phir Hawadic-e-zamanh kee nazr ho geyaa. khaer!

hameN intezaar rahegaa aapkay maktoob ka.

meree janib se is eemaan afrooz kalam par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

aapki musalsal hausalah afzaayee kay liye hum aapkay behad mamnoono mashkoor haiN.

JAZAKALLAH


mujhe ummeed hai keh aap yeh raabit^ah ustawaar rakheeN ge.

insha allah zaroor.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
[/align]
aapka apna
haamidbaaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

muhammad_19k wrote:Mohtaram Janab Haamid SaHeb

jee farmaaiye mohtaram janaab mohammed khawar saahib

aap ki ye ghazal bhi mozoo'aat ke 'aitbaar se shaandaar aor taghuzal ke 'aitbaar se behtareen hai.

bahut bahut shukriya aapka.


har sher apne ma'aani meN saaf aor bunat bhi mazboo^t lag rahaa hai. kayee baar is baat ka zikr ho chukaa hai ke jo mazaamen aap nikaalte heN un meN aisay achhchay sher kehnaa bohat mushkil kaam hai.

hausalah afzaayee ka bahut bahut shukriya.



aor khaaS t^or par giraah ka marHalaa jo aap ne khoob nibhayaa hai.

shukriya.

mairi t^araf se daad qubool kijiaye.

aapki purkhuloos daad kay liye hum aapka tahe dil say shukriya ada karte haiN.


aor haaN. maqta' kuch qaabil e ghor hai.

WOH KAISAY......?

agar naikiyaaN kam heN aor shaair jaza chaahtaa hai to phir to mushkil ho jaa-aye gi.


kaisee mushkil?

mairaa khyaal hai ke ham gunahgaar us ki 'ataa ke khaastgaar heN.

is meiN koyee shak nahiN hai.

laikin ye mairaa khyaal hai.

accha khayaal hai.

aap ne yaqeenun kuch soch kar hi aisaa likhaa ho ga.

jee .....aur woh yeh hai keh qayaamat kay din hamaari nekiyON aur buraaiyON ko taulaa jaayegaa agar nekiyoN ka wazn buraaiyoN se kam hua tau hamaari bakhshish naamumkin hai.

maqte meiN humnay apnay naam say faaida uthaaya hai.hum jab mehmood kay haamid haiN tau insha allah woh apnay fazl say hamaari nekiyoN ko mohammed(sawaw)aur unki aal(as)kay sadqe meiN quboo farmaakar itna badhaadega keh woh buraaiyoN ko halka kardengee. aisee soorat meiN hamaari bakhshish yaqeenee hai.insha allah.

dua maangnay ka haq allah(sbhnwt) nay humko diya hai tau hum har lamha us say maangtay haiN.


mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
KHUSH RAHEn

mukhlis
haamidbaaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Post by Sohail Malik »

Hamid bhai Salam

mashaAllah aik aur aala aur pakeeza khayalat say muzayyen ghazal aap ki teraf say peRhnay ko milli.

meri janib say daad aur mubarikbaad qabul kijiay

faqet

sohail malik
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

Sohail Malik wrote:Hamid bhai Salam


wa alaikumussalaam wa rehmatullahi wa barakaatuhu
suhail bhai



mashaAllah aik aur aala aur pakeeza khayalat say muzayyen ghazal aap ki teraf say peRhnay ko milli.

yeh fazle ilaahi hai aur aapki belaus duaoN ka asar.

meri janib say daad aur mubarikbaad qabul kijiay

bahut bahut shukriya aapka.jazakallah

faqet

sohail malik


aapka apna
haamidbaaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Post Reply