:: baal-e-jibreel jal na jaaye kaheeN ::

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

:: baal-e-jibreel jal na jaaye kaheeN ::

Post by Star Mind »

Yaaran-e-anjuman, aadaab !

aaj aek a'rSa baa'd aap kii Khidmat meiN apnii aek taaza tareen Ghazal ke saath Haazir hooN, ummeed hai k apnii naaqidaana raaye se navaazeN ge!

shukriya

:: Urdu Version ::

Image

:: Roman Version ::

1.

zulf kii raat Dhal na jaaye kaheeN !
yeh balaa sar se Tal na jaaye kaheeN !

2.

i'shq ki rut badal na jaaye kaheeN !
Gham hi dil se nikal na jaaye kaheeN !

3.

dil ke jaNgal meiN subH hone tak
raat mujh ko nigal na jaaye kaheeN !

4.

aarzoo ke HaseeN khilonoN se
tifluk-e-dil behal na jaaye kaheeN !

5.

josh hai, jazba hai, javaanii hai
Husn ka jaado chal na jaaye kaheeN !

6.

kar to looN un se guftgoo laiken
dil zabaaN se phisal na jaaye kaheeN !

7.

kushtagaan-e-Gham-e-zamaana par
a'aashiqii haath mal na jaaye kaheeN !

8.

lab pe hai daastaan-e-i'shq :Zia:
baal-e-jibreel jal na jaaye kaheeN !

...........................................................

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
m.naeem.sameer
-
-
Posts: 52
Joined: Tue Sep 18, 2007 5:35 pm
Location: Keamari Karachi
Contact:

Re: :: baal-e-jibreel jal na jaaye kaheeN ::

Post by m.naeem.sameer »

Star Mind wrote: Yaaran-e-anjuman, aadaab !

aaj aek a'rSa baa'd aap kii Khidmat meiN apnii aek taaza tareen Ghazal ke saath Haazir hooN, ummeed hai k apnii naaqidaana raaye se navaazeN ge!

shukriya

:: Urdu Version ::

Image

:: Roman Version ::

1.

zulf kii raat Dhal na jaaye kaheeN !
yeh balaa sar se Tal na jaaye kaheeN !

2.

i'shq ki rut badal na jaaye kaheeN !
Gham hi dil se nikal na jaaye kaheeN !

3.

dil ke jaNgal meiN subH hone tak
raat mujh ko nigal na jaaye kaheeN !

4.

aarzoo ke HaseeN khilonoN se
tifluk-e-dil behal na jaaye kaheeN !

5.

josh hai, jazba hai, javaanii hai
Husn ka jaado chal na jaaye kaheeN !

6.

kar to looN un se guftgoo laiken
dil zabaaN se phisal na jaaye kaheeN !

7.

kushtagaan-e-Gham-e-zamaana par
a'aashiqii haath mal na jaaye kaheeN !

8.

lab pe hai daastaan-e-i'shq :Zia:
baal-e-jibreel jal na jaaye kaheeN !

...........................................................

Zia Baloch

aadaab Zia bhaii



bohat khoob Zia SaaHib bohat khoob. Khaaksaar ki jaanib se daad HaaZir hai qabool kijiye.





Sameer
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Biradaram Z^iya balaoch SaaHib :salaam2: ! :rose

Aap kee tazah Ghazal dekhee jo keh aap ke makhSooS andaaz aor jawaaN fikr sooch kee aae'inah daar hai. mujh~e akcar ta'ajub hotaa hai keh aap kee maadaree zabaan z^aahir hai keh :Balaochee: hee ho gee. aor ghar kaa maHool qabeelah ke rasm-o-riwaaj a'adaat-o-at^waar bhee yaqeena" apne khit^t^e ya'nee Balochistaan se muta'aliqah hee hooN gee. lekin is sab batooN ke bawajood urdu se raGhbat aor khuSuSa" urdu shae'eree se walehanah muhabbat aor a'qeedat kaa honaa bazaat-e-khud aek mu'jizah hai.

kalam khubSurat aor dilkash hai. meree dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

:fiamaan:
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Re: :: baal-e-jibreel jal na jaaye kaheeN ::

Post by Star Mind »

m.naeem.sameer wrote:
Star Mind wrote: Yaaran-e-anjuman, aadaab !

aaj aek a'rSa baa'd aap kii Khidmat meiN apnii aek taaza tareen Ghazal ke saath Haazir hooN, ummeed hai k apnii naaqidaana raaye se navaazeN ge!

shukriya

:: Urdu Version ::

Image

:: Roman Version ::

1.

zulf kii raat Dhal na jaaye kaheeN !
yeh balaa sar se Tal na jaaye kaheeN !

2.

i'shq ki rut badal na jaaye kaheeN !
Gham hi dil se nikal na jaaye kaheeN !

3.

dil ke jaNgal meiN subH hone tak
raat mujh ko nigal na jaaye kaheeN !

4.

aarzoo ke HaseeN khilonoN se
tifluk-e-dil behal na jaaye kaheeN !

5.

josh hai, jazba hai, javaanii hai
Husn ka jaado chal na jaaye kaheeN !

6.

kar to looN un se guftgoo laiken
dil zabaaN se phisal na jaaye kaheeN !

7.

kushtagaan-e-Gham-e-zamaana par
a'aashiqii haath mal na jaaye kaheeN !

8.

lab pe hai daastaan-e-i'shq :Zia:
baal-e-jibreel jal na jaaye kaheeN !

...........................................................

Zia Baloch

aadaab Zia bhaii



bohat khoob Zia SaaHib bohat khoob. Khaaksaar ki jaanib se daad HaaZir hai qabool kijiye.





Sameer
Sameer bhaa'ii, w/salaam :)

yeh aap ki maHabbat aur aap kaa Husn-e-nazar hai ! nehaayat mamnoon hooN ! shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Post Reply