yaaraan-e-Bandhan: aadaab!
ek muddat se koyee Ghazal naheeN huyee. zindagee kee maSrooriyaat itnee muhlat hee naheeN detee haiN! lekin :chor choree se jaataa hai, heraa-pheree se to naheeN jaataa:! :) so apnee kitaab :Durr-e-Shahwaar: se ek apnee pasand kee Ghazal pesh kar rahaa hooN. aap ke Khayaalaat kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
==============================================
GHAZAL:
Had se guZraa tiree furqat meN shab-e-taar kaa lut^f
us meN shaamil huwaa jab deedah-e-KhooNbaar kaa lut^f!
ho bayaaN kaise tiree shoKhee-e-guftaar kaa lut^f?
tere inkaar kee laZZat, tire iqraar kaa lutf!
vaqt ne Dh`aa diYe maaZ^ee ke sabh`ee baam-o-dar
Dh`ooNdte reh gaye ham saayah-e-deevaar kaa lut^f!
kaun samjh`aaYe, yeh samjh`aane kee baateN kab haiN?
deed say baRh` gayaa kyoN Hasrat-e-deedaar kaa lut^f!
ab nah pehlaa saa taGhaaful hai nah pehlaa saa Ghuroor
haaYe! jaataa rahaa voh roz ke aazaar kaa lut^f!
naa-shanaasaan-e-maqaamaat-e-Haram se pooch`o!
t^auf-e-Ka'bah se judaa kab huwaa zunnaar kaa lut^f?
kyoN kareN shikvah-e-be-mehree-e-yaaraan-e-vat^an?
ho gayaa is se sivaa pursish-e-aGhyaar kaa lut^f!
Zulf-e-ummeed-e-vafaa, kaakul-e-shabhaaYe-firaaq!
koyee pooch`e mire dil se rasan-o-daar kaa lut^f
kyaa hee purlut^f sunaayee hai yeh :Sarwar: ne Ghazal!
aa,iYe, leeji,Yye is gulshan-e-beKhaar kaa lut^f
===============================
Had se guZraa tiree furqat meN shab-e-taar kaa lu^f!
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
Had se guZraa tiree furqat meN shab-e-taar kaa lu^f!
- Attachments
-
- gg-HadSeGuzraaShab.jpg (62.29 KiB) Viewed 78 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:

- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
moHtaram Sarwar A'alam Raz Sarwar SaaHib tasleemaat! :rose
e'boodiyat ke maraHil tamaam t^e'Y kar ke
Jabeen-e-khaamah jhukee hai ba aastaan-e-Ghazal
Aap kee Ghazal bahisht-e-naz^ar huee. khaadim ne qabl is se yeh asha'aar nah dekhe theY. aor mujhe taa der is baat ka ta'ajub raha. azaaN ba'd jab Ghaor kiya to pataa chala keh bandah ne to aap kee beyaaZ^ :durr-e-shehwaar: dekhee hee naheeN aor yeh naadir asha'aar usee ganjeenah-e-Harf-o-Saot se makhooZ haiN.
DostooN ne marqoomah-e-baala Ghazal par dil khool kar daad-o-teHseen ke Gul nichawar kiye haiN. bilashubah yeh is Ghazal kaa Haq bhee hai. Allah jhooT nah bulwaeY maiN zeyaadah kiyaa likhooN mukhtaSar yeh kehna to mera Haq hai keh agar is daor meN :Mir Taqi Mir: zindah hote to woh kalam-e-hazah kee paZeeraee meN fart^-e-jazbaat se aap kaa mathaa choom lete. aor aap kee qaadir-ulkalamee kaa aa'teraaf sar-e-meHfil karte. nah Sirf yeh balkeh bilamubaalGhah woh in asha'aar par rashk bhee karte.
Had se guZraa tiree furqat meN shab-e-taar kaa lut^f
us meN shaamil huwaa jab deedah-e-KhooNbaar kaa lut^f!
Bohot khoob Waah Waah Kiya kehne Waah Waah!
ho bayaaN kaise tiree shoKhee-e-guftaar kaa lut^f?
tere inkaar kee laZZat, tire iqraar kaa lutf!
Kiya kehne Waah Waah Waah! Bohot khoob!
vaqt ne Dh`aa diYe maaZ^ee ke sabh`ee baam-o-dar
Dh`ooNdte reh gaye ham saayah-e-deevaar kaa lut^f!
intehaa kardee hai aap ne kiya achchaa hai Waah Waah Waah Waah! Waah! Waah! Bohot khoob!
kaun samjh`aaYe, yeh samjh`aane kee baateN kab haiN?
deed say baRh` gayaa kyoN Hasrat-e-deedaar kaa lut^f!
Kiya kehne Waah Waah!
ab nah pehlaa saa taGhaaful hai nah pehlaa saa Ghuroor
haaYe! jaataa rahaa voh roz ke aazaar kaa lut^f!
Bohot hee khubSurat hai Waah Waah!
naa-shanaasaan-e-maqaamaat-e-Haram se pooch`o!
t^auf-e-Ka'bah se judaa kab huwaa zunnaar kaa lut^f?
Kiya kehne Waah Waah! Waah!
kyoN kareN shikvah-e-be-mehree-e-yaaraan-e-vat^an?
ho gayaa is se sivaa pursish-e-aGhyaar kaa lut^f!
Bohot khoob Waah Waah Waah Waah! kamal kaa she'er hai Waah!
Zulf-e-ummeed-e-vafaa, kaakul-e-shabhaaYe-firaaq!
koyee pooch`e mire dil se rasan-o-daar kaa lut^f
Kiya kehne Waah Waah! Waah!
kyaa hee purlut^f sunaayee hai yeh :Sarwar: ne Ghazal!
aa,iYe, leeji,Yye is gulshan-e-beKhaar kaa lut^f
be shak Waah Waah Waah! bohot hee u'mdah aor lajawaab maqt^a' hai Waah Waah!
Allah aap ko SeHat-o-salamatee se rakhe. maZeed kahiye aap kaa kalam urdu ke liye tawanaee bakhsh hai.
Zeyaadah Hadd-e-adab!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

a'zeezah Saara: salaam!
daad aur paZeeraayee ke liYe dilee shukriyah qubool keejiYe. jawaab meN taaKheer huyee. abhee India se aayaa hee hooN aur kaamoN kaa aNbaar lagaa huwaa hai!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
daad aur paZeeraayee ke liYe dilee shukriyah qubool keejiYe. jawaab meN taaKheer huyee. abhee India se aayaa hee hooN aur kaamoN kaa aNbaar lagaa huwaa hai!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
a'zeez-e-mukarram Muzaffar SaaHeb:aadaab!
aap ne to nacr meN shaa,i'ree kar Daalee. bhaayee! aap kee muHabbat kee maiN dil se qadr kartaa hooN aur aap kee daad kaa tah-e-dil se mamnoon-o-mutashakkir hooN. lekin itnaa to kahaooN gaa keh Khudaa-e-suKhan "Mir" ke saath aap ne meraa naam le kar mujh Haqeer-e-purtaqSeer ko paanee paanee kar diyaa. kahaaN maiN naacheez aur kahaaN woh aaftaab-e-a'alamtaab! cheh nisbat Khaak raa baa a'alam-e-paak! mujh ko aisaa koyee Husn-e-zan naheeN hai, alHamdulillah! meraa yeh she'r meree she'r-goyee kee tafseer kartaa hai aur yehee meraa mauqif bhee hai:
shaa,i'ree apnee baraaYe bait hai "Sarwar" keh maiN
Haashiyah-bardaar-e-Ghalib, Khoshahcheen-e-Mir hooN!
Allah bas, baaqee hawas!