GuZarish#36 pesh-e-khidmat hai.

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

GuZarish#36 pesh-e-khidmat hai.

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]A'ZeeZaan-e-meHfil-e-Urdubandhan aadaab-o-tasleemaat!

GuZarish#36 ke liye apne chand she'er pesh-e-khidmat haiN. mujhe ummeed hai keh aap apnee ray'e se mustafeed farmaeeN ge. mulaHiZ^ah farmaiye.

Ghazal

Mujh ko apnee basar aoqaat* peh roona aayaa
"roone wale tujhe kis baat peh roona aayaa"


kar geyaa dasht-e-t^alab khud se mujhe beGanah
i'shQ kee kohnah* rawayaat peh roona aayaa!


teeragee Hashr talak apna muqaddar Tehree
shab GaZeedah ko munajaat* peh roona aaya!


khush bayaaN ho gaa woh aorooN ke liye mujh ko to
us ke har lafz^ har ek baat peh roona aaya!


jal chukaa Ghar to huee TooT ke baarish shab bhar
baat aesee thee keh barsaat peh roona aaya!


ZindaGee kaese kaTee raah-e-junooN meN apnee?
aaj sochaa hai to is baat peh roona aayaa!


Ajnabee ban ke Muz^affar woh milaa thaa mujh ko
sach kahooN aesee mulaqaat peh roona aaya!


*basar aoqaat=rehen sehen, waqt GuZaarna, Guzar basar.
*munaajaat=dua'aa, iltijaa, darkhuwaast
*kohnah=puraanee/puraana/qadeeb

Muzaffar A Muzaffar
[/align]
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: GuZarish#36 pesh-e-khidmat hai.

Post by haamidbaaqri »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]A'ZeeZaan-e-meHfil-e-Urdubandhan aadaab-o-tasleemaat!

GuZarish#36 ke liye apne chand she'er pesh-e-khidmat haiN. mujhe ummeed hai keh aap apnee ray'e se mustafeed farmaeeN ge. mulaHiZ^ah farmaiye.

Ghazal

Mujh ko apnee basar aoqaat* peh roona aayaa
"roone wale tujhe kis baat peh roona aayaa"


kar geyaa dasht-e-t^alab khud se mujhe beGanah
i'shQ kee kohnah* rawayaat peh roona aayaa!


teeragee Hashr talak apna muqaddar Tehree
shab GaZeedah ko munajaat* peh roona aaya!


khush bayaaN ho gaa woh aorooN ke liye mujh ko to
us ke har lafz^ har ek baat peh roona aaya!


jal chukaa Ghar to huee TooT ke baarish shab bhar
baat aesee thee keh barsaat peh roona aaya!


ZindaGee kaese kaTee raah-e-junooN meN apnee?
aaj sochaa hai to is baat peh roona aayaa!


Ajnabee ban ke Muz^affar woh milaa thaa mujh ko
sach kahooN aesee mulaqaat peh roona aaya!


*basar aoqaat=rehen sehen, waqt GuZaarna, Guzar basar.
*munaajaat=dua'aa, iltijaa, darkhuwaast
*kohnah=puraanee/puraana/qadeeb

Muzaffar A Muzaffar
[/align]
Assalaam o alaikum
muzaffar bhai saahib

maahay rawaaN kay micray per aapki peshkardah ghazal bahut pyaari hai

hameN bahut pasand aayee.

hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah

aapka apna
haamidbaaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Tamam dostoN ke salam,

kaafi 'arsaa ke b'aad yahaaN se guzar huwaa to sohcaa chalte chalte mushairay se hotaa jaa-ooN.

waah janab muzaffar SaHeb, kyaa khoob ghazal kahi hai aek baar phir. kyaa aap mujhe ijaazat deN ge ke is khoobSoorat ghazal meN bhi kuch keeRay nikaal looN?

1. "basar auqaat" to mujhe bilkul zabardast ka lag rahaa hai. ye baat bilkul seedhay andaaz meN bhi kahi jaa sakti hai.

mujh ko to ap ne hi Haalaat pe ronaa aayaa.
rone walay tujhe.........................................


2. kar geyaa dasht-e-t^alab khud se mujhe beGanah
i'shQ kee kohnah* rawayaat peh roona aayaa!


ahaa haa. wahaa SaHeb waah.

3. ye mairi samajh se baal tar hai.

4. khush bayaaN ho gaa woh aorooN ke liye mujh ko to
us ke har lafz^ har ek baat peh roona aaya!


ko ko [/b] magar kar ke daikhiaye

5. jal chukaa Ghar to huee TooT ke baarish shab bhar
baat aesee thee keh barsaat peh roona aaya!


wah wah. wah wah. bohat khoob. bohat hi khoob.

6. ZindaGee kaese kaTee raah-e-junooN meN apnee?
aaj sochaa hai to is baat peh roona aayaa!

bus theek hi lagaa.

7. maqt'aa bhi theek hi lagaa [:)]

bohat zydaad Had e adab!


Niazmand,

Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

muhammad_19k wrote:Tamam dostoN ke salam,

kaafi 'arsaa ke b'aad yahaaN se guzar huwaa to sohcaa chalte chalte mushairay se hotaa jaa-ooN.

waah janab muzaffar SaHeb, kyaa khoob ghazal kahi hai aek baar phir. kyaa aap mujhe ijaazat deN ge ke is khoobSoorat ghazal meN bhi kuch keeRay nikaal looN?

1. "basar auqaat" to mujhe bilkul zabardast ka lag rahaa hai. ye baat bilkul seedhay andaaz meN bhi kahi jaa sakti hai.

mujh ko to ap ne hi Haalaat pe ronaa aayaa.
rone walay tujhe.........................................


2. kar geyaa dasht-e-t^alab khud se mujhe beGanah
i'shQ kee kohnah* rawayaat peh roona aayaa!


ahaa haa. wahaa SaHeb waah.

3. ye mairi samajh se baal tar hai.

4. khush bayaaN ho gaa woh aorooN ke liye mujh ko to
us ke har lafz^ har ek baat peh roona aaya!


ko ko [/b] magar kar ke daikhiaye

5. jal chukaa Ghar to huee TooT ke baarish shab bhar
baat aesee thee keh barsaat peh roona aaya!


wah wah. wah wah. bohat khoob. bohat hi khoob.

6. ZindaGee kaese kaTee raah-e-junooN meN apnee?
aaj sochaa hai to is baat peh roona aayaa!

bus theek hi lagaa.

7. maqt'aa bhi theek hi lagaa [:)]

bohat zydaad Had e adab!


Niazmand,

Muhammad K. Siddiqui.

moHtaram M, Khawar tasleemaat! :-)

HuZ^oor-e-waalaa kahaN Gum ho kar reh gaeY haiN aap? kaese mizaaj haiN? ab ham se aap ke baGhaer weeraanee-e-meHfil naheeN dekhee jaatee. kiya hee achchaa ho keh agar aap pehle kee t^arH maHaafil meN tashreef laate raheeN. aor yooN hamaraa har rooZ rooZ-e-e'er ho. aap tashreef laeY aap kee nawaZish Chashm-e-maa raoshan dil-e-maa shaad!

Ghazal kee pasandeedagee aor paZeeraee ke liye dil-o-jaan se shukr Guzaar hooN. Allah aap ko khush rakheY. Aameen!
aap kee raeY hameshah qaabil-e-qadr hotee hai. is baar bhee aap ne apnee qeematee raeY se nawaZah hai. aap kaa mamnoon hooN.

ab is ummeed aor khuwahish ke saath ijaazut t^alab kar rahaa hooN keh aap aate raheeN ge. aor aek dost kee khuwahish kaa paas karte huwe isee bahaneY kheriyat bhee daryaaft karte raheeN geY.

DherooN dua'aooN ke saath!
Allah aap kaa Haafiz^-o-naaSir ho
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Post Reply