[align=center]yaaraan-e-bazm: tasleemaat!
Urduanjuman ke t^araHee mushaa,i'rah #9 ke liYe apnee Ghazal pesh kar rahaa hooN. a'am t^aur se maiN Ghazal meN 8 she'r hee kehtaa hooN, lekin is baar kuchh ziyaadah hee keh gayaa! ma'Zirat!
wahaaN mere dost Sohail Malik SaaHeb ne Hukm diyaa thaa keh maiN bee t^araH meN kahaa karooN. so kuchh himmat kee aur jo bhee ho sakaa le kar HaaZ^ir ho gayaa. aap kee raaYe kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah!
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-----------------------------
Ghazal
("kahaaN umeed keh phir aa,ooN kooYe-qaatil meN": "Amir" Minai)
nah soz aah meN apnee, nah saaz hee dil meN
maiN laa,ooN kaun see sauGhaat teree meHfil meN?
maiN aa,inah hooN keh aa,eenah-roo, naheeN ma'loom!
yeh waqt aayaa hai is a'ashiqee kee manzil meN!
Khudee kahooN keh ise beKhudee, bataa,o tum?
maiN apne aap chalaa aayaa kooYe-qaatil meN!
hamaare Z^abt^ ne rakkhaa bharam Khudaayee kaa
zabaaN peh aa hee gayee thee jo baat thee dil meN!
nah apne dil kee kaho tum, nah doosroN kee suno
a'jeeb raNg yeh dekhaa tumhaaree meHfil meN!
Haram keh yeh haiN shanaasaa, nah dair se waaqif!
rakhaa hai kyaa bhalaa in muftiyaan-e-kaamil meN?
yaqeeN gumaan meN badlaa, gumaaN a'qeedeh meN!
hameN to bas yeh milaa tere Khaanah-e-gil meN!
faraaz-e-i'shq ne is martabe ko poNhchaayaa
rahaa nah farq koyee raah aur manzil meN!
Kharosh-e-maujha-e-t^oofaaN ne laakh da'wat dee
ulajh ke reh gayaa lekin fareb-e-saaHil meN!
abhee milaa bhee nah thaa HasratoN se chhuTkaaraa
umeed Daal gayee aa ke aur mushkil meN!
koyee yahaaN mujhe :Sarwar: kahe nah deewaanaa
shumaar mujh ko karo a'ashiqaan-e-kaamil meN!
======================
soz = jalan, tapish
aa,eenah-roo = aa,eeneh ke saamne baiThaa huwaa
kooYe-qaatil = qaatil (meHboobah) kee galee
Haram = Ka'bah, jis kee t^araf muNh kar ke musalmaan namaaz paRhte haiN
dair = mandir
muftee = maZhabee :leader:
muftiyaan-e-kaamil : maane huwe maZhabee :leaders:
a'qeedah = :belief:
gil = miTTee
Khaanah-e-gil = yeh dunyaa (miTTee kaa ghar)
faraaz = ooNchaayee
martabah = jagah, :position:
Kharosh = josh, tezee
maujah = mauj, lehr
Kharosh-e-maujah-e-t^oofaaN = t^oofaan kee maujoN kee tezee
=============================
Sarwar A. Raz :Sarwar:[/align]
nah soz aah meN meree!
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
nah soz aah meN meree!
- Attachments
-
- gg-nahsozaahmen(jpg).jpg (90.89 KiB) Viewed 429 times
Last edited by Sarwar A. Raz on Sat Feb 09, 2008 7:04 pm, edited 1 time in total.
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: nah soz aah meN meree!
Sarwar Raz wrote:[align=center]yaaraan-e-bazm: tasleemaat!
Urduanjuman ke t^araHee mushaa,i'rah #9 ke liYe apnee Ghazal pesh kar rahaa hooN. a'am t^aur se maiN Ghazal meN 8 she'r hee kehtaa hooN, lekin is baar kuchh ziyaadah hee keh gayaa! ma'Zirat!
wahaaN mere dost Sohail Malik SaaHeb ne Hukm diyaa thaa keh maiN bee t^araH meN kahaa karooN. so kuchh himmat kee aur jo bhee ho sakaa le kar HaaZ^ir ho gayaa. aap kee raaYe kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah!
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-----------------------------
Ghazal
("kahaaN umeed keh phir aa,ooN kooYe-qaatil meN": "Amir" Minai)
nah soz aah meN apnee, nah saaz hee dil meN
maiN laa,ooN kaun see sauGhaat teree meHfil meN?
maiN aa,inah hooN keh aa,eenah-roo, naheeN ma'loom!
yeh waqt aayaa hai is a'ashiqee kee manzil meN!
Khudee kahooN keh ise beKhudee, bataa,o tum?
maiN apne aap chalaa aayaa kooYe-qaatil meN!
hamaare Z^abt^ ne rakkhaa bharam Khudaayee kaa
zabaaN peh aa hee gayee thee jo baat thee dil meN!
nah apne dil kee kaho tum, nah doosroN kee suno
a'jeeb raNg yeh dekhaa tumhaaree meHfil meN!
Haram keh yeh haiN shanaasaa, nah dair se waaqif!
rakhaa hai kyaa bhalaa in mutiyaan-e-kaamil meN?
yaqeeN gumaan meN badlaa, gumaaN a'qeedeh meN!
hameN to bas yeh milaa tere Khaanah-e-gil meN!
faraaz-e-i'shq ne is martabe ko poNhchaayaa
rahaa nah farq koyee raah aur manzil meN!
Kharosh-e-maujha-e-t^oofaaN ne laakh da'wat dee
ulajh ke reh gayaa lekin fareb-e-saaHil meN!
abhee milaa bhee nah thaa HasratoN se chhuTkaaraa
umeed Daal gayee aa ke aur mushkil meN!
koyee yahaaN mujhe :Sarwar: kahe nah deewaanaa
shumaar mujh ko karo a'ashiqaan-e-kaamil meN!
======================
soz = jalan, tapish
aa,eenah-roo = aa,eeneh ke saamne baiThaa huwaa
kooYe-qaatil = qaatil (meHboobah) kee galee
Haram = Ka'bah, jis kee t^araf muNh kar ke musalmaan namaaz paRhte haiN
dair = mandir
muftee = maZhabee :leader:
muftiyaan-e-kaamil : maane huwe maZhabee :leaders:
a'qeedah = :belief:
gil = miTTee
Khaanah-e-gil = yeh dunyaa (miTTee kaa ghar)
faraaz = ooNchaayee
martabah = jagah, :position:
Kharosh = josh, tezee
maujah = mauj, lehr
Kharosh-e-maujah-e-t^oofaaN = t^oofaan kee maujoN kee tezee
=============================
Sarwar A. Raz :Sarwar:[/align]
MoHtarmee Sarwar Raz SaaHab,
aadaab.o.tasleemaat
aap ki nihayat Haseen Tarahee ghazal dekhi aur ek baar phir bohat kuch seekhne ko mila. TaraHee mushairoN meN aap ki shirkat yaqeenan in mushairoN ki raunaq aur unke e'zaz meN izafah karti hai magar Amuman aise mushairoN meN ap ki ghazal kum hi dekhne ko miltee hai. ummid haai aaindah in mushairoN meN shirkat farmaker hameN apne kalam.e balGhat nizam se nawazeNge. Insha Allah.
aapke dou miSroN ke Hawaley se kuch Arz karna chaahta tha. maqsad e'traz nahiN apne Ilm meN izafah hai. maiN janta hoon buzurgoN pere e'traz adabee buddiyaanitee ki Alamat hai. ummid hai wazahat farmayeNge.

pahle miSrey meN apa ne kaha "Haram keh yeh haiN shanaasaa" lekin aisa kahne ki bajaye agar aap yuun farmate "Haram keh haiN yeh shanaasaa" tou lafz YEH ka istaimal aur ziyadah Haseen ho jata. aap mujh se behtar jaante haiN "yeh" aur "woh" alfaz ko bawazn FA' istaimal karne se kahiN behter hai keh sirf "Ye aur zabar" hi istaimal kiya jaye. yaqeenan' aap ki koii maSliHat hogee majbooree tou nahiN ho saktee ke aap ne is miSrey ko is tarah kaha ke Yeh bawzn FA istaimal ho raha hai. wazahat karke mere Ilm meN izafah farmaiiye.
doosre miSre meN aap ne lafz gumaN ko ek jagah e'laan.e noon ke saath doosree jagah e'laan.e noon ke baghair istaimal kiya hai. aap achchi tarah jaante hain Meer.o.Ghalib ne e'laan.e noon se ziyadah tar gurez kiya hai aur aap bhi baAsaani gurez farma sakte thEy, maslan "yaqeeN gumaN meN hai badla". Is tarah donoN jagah e'laane noon na hota. Aap ne jis tarah miSra kaha usmeN bhi koii maSliHat hogee. wazahat farma ke nacheez ke ilm meN izafah farmaiye ga.
Ghazal bohat achchee hai. meree daad qubool kihiye.
Aapka MuKhliS
Jawaid
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
Re: nah soz aah meN meree!
qiblah Jawaid Badauni SaaHeb: aadaab!jawaid badauni wrote:Sarwar Raz wrote:[align=center]yaaraan-e-bazm: tasleemaat!

Ghazal kee paZeeraayee ke liYe saraapaa sipaas hooN. daad kaa dilee shukriyah qubool keejiYe.
ab jab.k UrduAnjuman ke t^araHee mushaa,i'roN meN :muqaabileh: kee Soorat Khatm kar dee gayee hai, mere liYe shirkat nisbata" aasaan ho gayee hai. ba-shart^-e-furSat iraadah hai keh Ghazal kahooN.
adabee e'tiraaZ^ agar sanjeedah, shaa,istah, ta'meeree aur maZ^boot^ bunyaadoN par mabnee hai to har ek par ho saktaa hai. haaN agar woh bad-niyyatee yaa bad-tameezee kaa Haamil ho, yaa be-bunyaad ho (ya'nee e'tiraaZ^ baraaYe e'tiraaZ^!) to bhee woh bad-diyaanatee meN shaamil naheeN hai. tehZeeb, shaa,istagee, tameez aur cheez haiN aur bad-diyaanatee aur cheez. aap jab chaaheN jis par chaaheN sanjeedah, shaa,istah aur ta'meeree e'tiraaZ^ kar sakte haiN. yeh aap kaa hee naheeN ham sab kaa Haq hai!
aap ke sawaalaat kaa jawaab HaaZ^ir hai:
(1) :Haram keh yeh haiN shanaasaa, nah dair se waaqif!
apa ne kaha "Haram keh yeh haiN shanaasaa" lekin aisa kahne ki bajaye agar aap yuun farmate "Haram keh haiN yeh shanaasaa" tou lafz YEH ka istaimal aur ziyadah Haseen ho jata. aap mujh se behtar jaante haiN "yeh" aur "woh" alfaz ko bawazn FA' istaimal karne se kahiN behter hai keh sirf "Ye aur zabar" hi istaimal kiya jaye. yaqeenan' aap ki koii maSliHat hogee majbooree tou nahiN ho saktee ke aap ne is miSrey ko is tarah kaha ke Yeh bawzn FA istaimal ho raha hai. wazahat karke mere Ilm meN izafah farmaiiye.:
mujh ko is meN :waZ^aaHat: kee koyee wajh naz^ar naheeN aayee. donoN t^araH se miSra' SaHeeH hai. aap ko ek Soorat pasand hai aur mujh ko doosree. in meN se kisee ek kee :behtaree: kaa koyee uSool yaa jawaaz mujh ko naheeN ma'loom. yeh apnee apnee pasand hai aur is meN koyee :majbooree: yaa :maSliHat: naheeN hai. yeh to us waqt ho saktaa thaa jab maiN kisee uSool se gurez kartaa yaa koyee faash Khaamee daanistah dar aane detaa. so aisee to koyee baat naheeN hai.
(2) :yaqeeN gumaan meN badlaa, gumaaN a'qeedeh meN!
aap ne lafz gumaN ko ek jagah e'laan.e noon ke saath doosree jagah e'laan.e noon ke baghair istaimal kiya hai. aap achchi tarah jaante hain Meer.o.Ghalib ne e'laan.e noon se ziyadah tar gurez kiya hai aur aap bhi baAsaani gurez farma sakte thEy, maslan "yaqeeN gumaN meN hai badla". Is tarah donoN jagah e'laane noon na hota. Aap ne jis tarah miSra kaha usmeN bhi koii maSliHat hogee. wazahat farma ke nacheez ke ilm meN izafah farmaiye ga.:
yahaaN bhee kisee :waZ^aaHat: kee Z^aroorat naheeN hai. Ghalib, Mir, Momin, Jigar sab ne hee :noon: ko donoN t^araH baaNdhaa hai. meree naz^ar meN koyee aisaa uSool naheeN hai jo aap ko paaband kare. yeh bandish, rawaanee, aur naGhmagee kaa mas,alah hai. aap ne jo Soorat tajweez farmaayee hai woh ba-yak naz^ar meree bandish se behtar naheeN hai. lafz^ :hai: kee bhartee ne miSre' kaa kaam tamaam kar diyaa hai.
Ghalib kee ek micaal dekh leN. baaqee aap Khud hee talaash kar leN:
hazaaroN KhwaahisheN aisee keh har Khwaahish peh dam nikle
bohat nikle mire armaan lekin phir bhee kam nikle (Ghalib)
Ghalib is ko :bohat armaaN mire nikle walekin: keh kar miSre' kaa Khoon kar sakte the lekin shukr-e-Khudaa keh unhoN ne aisaa nah kiyaa!
Mir ko dekheN to wahaaN bhee aisee micaaleN miltee haiN. ek Ghazal to pooree aisee hai keh :noon: kaa e'laan bhee hai aur naheeN bhee hai. bal.k jahaaN taraakeeb meN e'laan-e-noon u'mooma" naheeN hotaa hai, Mir wahaaN bhee e'laan karte haiN!
Khoobroo sab kee jaan hote haiN
aarzoo-e-jahaan hote haiN
kabhoo aate haiN aap meN tujh bin
ghar meN ham mehmaan hote haiN
muKhtaSar yeh keh mere i'lm kee Had tak maiN ne shaa,i'ree ke kise uSool ko toRaa naheeN hai. yeh mumkin hai keh koyee bandish aap ko pasand naheeN hai so us meN koyee harj naheeN!
Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
MoHtarmee Sarwar Saahab, aadaab
pahle miSrey ke Hawaley se maiN aap ki wazahat se mutmaaiin nahiN hooN. Ya tou aap ne mere mauqif per tawajjo hi nahiN farmaii ya danista taur per usey nazar andaz farmaya hai. "YEH" lafz ka istaimal bawan FA' karna aib nahiN hai sheri majboori ke pesh.e nazar main ne bhi akSar kiya hai. Lekin aap jaise kohna mashq buzurg shayar se mujhe yeh ummid thee keh aap is lafz ka istaimal "YE+ZABAR" ke wazn per kareNge jaisa ke mere tajveez karda miSre men ho raha hai. jab ke aap ke samne koii sheree majboori bhi nahiN thee.
KYA AAP YEH KAHNA CHAAHTE HAIN KEH ALFAZ "YEH", "WOH" ko bawazn "FA'" istaimal karna bhi utna hi munasib hai jisna YE+ZABAR ya WAAO+ZABAR ke saath? us Surat meN yaqeenan maiN aap se muttafiq nahiN. meree bohat Taweel guftagoo Abdullah Nazir Saahab se ho chukee hai woh bhi yehee farmate they lafz YEH ko jahaN tak mumkin ho YE+ZABAR ke wazn per istaimal karna chaahiye.
agar ab bhi mera mauqif wazeh nahiN huuwa tou main aap se phone per guftagoo karke isey wazeh karooNga. baraye karam apna GSM nunber irsaal farmaiye ga. waise bhi bohat din se meri Khuwahish hai aap se phone per guftagoo ki jaye.
Khair Talab,

qiblah Jawaid SaaHeb: aadaab!jawaid badauni wrote:MoHtarmee Sarwar Saahab, aadaab

maiN aap kaa mauqif samajh gayaa thaa. is meN koyee iltibaas nah us waqt thaa aur nah ab hai. :ye/waw: par zer/zabar kee jo baat aap keh rahe haiN us kee koyee sanad bhee hai yaa Sirf aap kee raaYe hai? aap ke muttafiq hone yaa nah hone se koyee farq naheeN paRtaa. sanad laa,iYe aur caabit keejiYe to mujh ko apnee raaYe se rujoo' karne meN waqt naheeN lage gaa! is se aap kee tanqeeS yaa dil-aazaaree maqSood naheeN hai bal.k adabee beHc kaa faiSilah shaKhSee pasand yaa naa-pasand par mabnee naheeN hotaa hai bal.k asnaad par kiyaa jaataa hai.
asaatiZah ke yahaaN :yeh/woh: har t^araH miltaa hai. Molana Hasrat Mohani kee kitaab :Nikaat-e-Sukhan: meN bhee aap kee baat kaa nah koyee jawaaz hai nah taaweel. afsos keh maiN aap ke kehne se qaa,il naheeN ho saktaa. reh gaYe Nazir SaaHeb, so woh mere a'zeez aur muHtaram dost haiN lekin (gustaaKhee mu,a'af!) sanad woh, aap yaa maiN kisee cheez kee bhee naheeN haiN! ziyaadah Hadd-e-adab!
agar aap sanad naheeN de sakte haiN to beHc ko yaheeN Khatm kar denaa munaasib hai.
Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
moHtaram Sarwar A'alam Raz Sarwar SaaHib tasleemaat! :rose
Aek muddat ba'd hee sahee lekin yeh bhee Ghaneemat hai keh aap ke qalam se aek aor shaahkaar Ghazal ho gaee. aap ne apnee adabee shanaakht barqaraar rakhne ke liye GuZashtah niSf Sadee se zeyaadah kaa a'rSah baaGheechah-e-she'er-o-sukhan kee aabyaaree meN GuZaar diya. aor is muddat meN apne qalam kee rooshnaee se najaaneY kitne waraq siyaah kiye hooN geY. kitnee raateeN SubH kee hooN ge. GharZ^ kitne din fikr-e-sukhen meN kaTe hooN geY. koee shumaar naheeN......lekin is mashq-e-sukhan ne yaqeena" aap ke kalam ko be a'aebee aor acar aafreenee kee daolat se maala maal kar diya hai. aap aek khaaS moHtaat^ aor suljheY huwe andaaz meN she'er kehte haiN. kalam meN sheereen-e-sukhan kee ghulawaT aor taazah tareen khushbuooN kee ghulawaT meHsoos hotee hai. kheyaal kee mulaae'mee aor sheereenee azhaan ko taazah dam kar detee hai. is kaa cabab aap ke eHsaasaat kaa fikr-o-fan se muzaiyan honaa hai.
kalam meN shaae'ree kee saaree nazakateeN, lat^afateeN, aor balaGhateeN puree t^arH dar aaeeN haiN. Haqeeqat meN aap ne apnee ra'naee-e-kheyaal se khud qaaree ke dil-o-demaaGh ko she'er fehmee kaa sha'oor a't^aa kiya hai. mundarajah-e-baalaa Ghazal meN kheyaal aor jazbah kee mukammal ham aaNhanGee hai. yahee wajah hai keh aap ne jo kuch kaha hai. woh jazbah kee rao meN teHleel ho kar kaha hai. aap kaheeN kaheeN a'aam qaaree kee Hadd-e-sha'oor-o-idraak se melooN aage nikal kar she'er ko shishjihat se samajhne aor parakhne kee Salaa-e-a'aam dete dikhaee dete haiN.
Aap kaa kamaal-e-fan yeh hai keh daoraan-e-she'er gaoee aap ne apnee khudee aor khuddaaree ko barqaraar rakhte huwe aek sachcheY aor a'z^eem fit^ree shaae'ir hone ke cuboot baham mohaiyaa kiye haiN. fan se qalabee lagao aor puree lagan hone kee wajah se aap kaa lehjah aor usloob infaradiyat kaa maz^har ho geya hai. yahee wajah hai keh aap kee shaae'ree qalb-o-jigar meN GudaaZ paedah kartee hai. Ghazal meN mizaaj aor jazbaat kaa shadeed taacur aor balandee-e-fikr kee be panah aaweZish ne kalaam meN aek khaaS tawanaee bhar dee hai. pas yeh kehne darooGh nah ho gaa keh bafaZ^l-e-khuda aap kaa fan irtaqaa-e-she'eriyat kee tamaam manzileeN t^eY kartaa huwaa kamaal-e-fan kee seHar nagaree meN daakhil ho chukaa hai.
Zeyaadah Hadd-e-adab!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

biraadaram Muzaffar SaaHeb: aadaab!Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Sarwar A'alam Raz Sarwar SaaHib tasleemaat! :rose

aap ne to paanee paanee kar diyaa! bhalaa maiN in alfaaz^ kaa kahaaN mustaHiq thaa? sach to yeh hai keh maiN agar asaatiZah ke saamne hotaa to shaayad Ghazal pesh karne kee jur,at bhee nah kartaa! is meN nah koyee kasr-e-nafsee hai aur nah mubaaliGhah. 11-12 saal kee u'mr se she'r kehne kee koshish kar rahaa hooN aur ab 60 saal ke ba'd jab Ghazal keh chuktaa hooN to us meN be-dardee se :chhaTnee: kartaa hooN keh kaun saa she'r is qaabil hai keh rakhooN aur kis ko :daryaa-burd: karnaa behtar hai. yooN bhee hotaa hai keh pooree Ghazal hee phaiNk detaa hooN! so maiN kahaaN se shaa,i'r huwaa? lekin yeh aap kee muHabbat hai jo aisee raNgeen teHreer likhwaatee hai aur maiN aap kaa tah-e-dil se shukr-guZaar hooN!
aap ne Zikr kiyaa hai keh maiN baraabar koshish kartaa rehtaa hooN keh kaam aage baRhe. so yeh durust hai aur is silsileh meN apnaa t^areeqah yahaaN likhtaa hooN. shaayad koyee aur bhee is par a'mal kare aur hamaaree Urdu kee peshraft baRhe!
maiN waqt Z^aaye' naheeN kartaa! agar TV par KhabreN bhee suntaa hooN to haath meN kitaab yaa qalam/kaaGhaz hote haiN. Sirf aham aur dilchasp KhabroN par kaan lagaataa hooN! is a'adat ko itnaa faroGh diyaa hai keh nawaasee ko us ke school se lene jaataa hooN to jitnee der car meN baiThaa school se baahar us kaa intizaar kartaa hooN, yaa to kuchh paRhtaa hooN, yaa kisee kee Ghazal par iSlaaH detaa hooN yaa Mizraab kaa kaam kartaa hooN!
itnee see baat hai! waqt bohat kam aur kaam ziyaadah hai. so jo waqt kisee achhe kaam meN lag jaaYe Ghaneemat hai. aap aazmaa dekheN! b.ilkul faa,idah kaa saudaa hai!
daad ke liYe phir shukriyah!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
=============================
Note: gustaaKhee mu,a'af! :ziyaadah Haad-e-adab: us waqt likhaa jaataa hai jab aap kisee par kuch nuktah-cheenee kar rahe hoN yaa kisee se shikaayat kar raheN hoN. is kaa mat^lab yeh hotaa hai keh :kuchh aur likhooN gaa to kaheeN be-adabee meN shumaar nah ho:! ta'reef kee Soorat meN is kaa ista'maal mere i'lm kee Had tak :durust: naheeN hai! yooN aap behtar jaante haiN!
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
Sarwar Raz wrote:biraadaram Muzaffar SaaHeb: aadaab!Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Sarwar A'alam Raz Sarwar SaaHib tasleemaat! :rose

moHtaram Sarwar A'alam Raz Sarwar SaaHib tasleemaat!
Aap kaa khat^ mila jis se aap ke ma'mulaat-e-kaar aor deegar adaabee-o-Ghaer adaabee sargarmiyooN kaa bhee pataa chaala. aap kaa khat^ bohot dilchasop hai. paRh kar jee khush ho geyaa. aap kaa mamnoon hooN.
meree muraad yeh naheeN hai jis kee t^araf aap ishaarah farma rahe haiN. :Zeyaadah Hadd-e-adab: mereY nazdeek aor jo keh a'aam t^aor par dastoor bhee hai keh khat^ yaa a'rZ^ee ke aakheer meN likh deteY haiN keh Zeyaadah e'baarat baRhaaneY meN ( zeyaadah tafSeel se likhneY meN) adab :maana': (mana' kartaa hai) hai. ya'nee yeh khilaaf-e-adab hai keh e'baarat yaa a'rZ^ee ko zeyaadah baRhaayaa jaeY ya'nee adab zeyaadah taSfeel se (Z^aroorat se zeyaadah) likhne par Had lagaataa hai. ya'nee zeyaadah ke liyeY adab Had lagaataa hai. pas yeh likh kar khat^ faora" khatam kar diya jaataa hai. aor maZ^moon ko qaaree kee aasaanee aor khat^ ko t^ool dene se bachaa liya jataa hai. keh aesaa karne par adab Had muqarrar kartaa hai.Note: gustaaKhee mu,a'af! :ziyaadah Haad-e-adab: us waqt likhaa jaataa hai jab aap kisee par kuch nuktah-cheenee kar rahe hoN yaa kisee se shikaayat kar raheN hoN. is kaa mat^lab yeh hotaa hai keh :kuchh aur likhooN gaa to kaheeN be-adabee meN shumaar nah ho:! ta'reef kee Soorat meN is kaa ista'maal mere i'lm kee Had tak :durust: naheeN hai! yooN aap behtar jaante haiN!
Zeyaadah Had-e-adab kaa kisee kee nuqtah cheenee yaa shikaayat se koee ta'liq naheeN. yeh mafrooZ^ah durust naheeN.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
_________________