Tarah #38 pa ek kaawish pesh khidmat hai

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Khurshidul Hasan Naiyer
-
-
Posts: 96
Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am

Tarah #38 pa ek kaawish pesh khidmat hai

Post by Khurshidul Hasan Naiyer »

haiN aabaad sab quaid khaane tere
yeh aaNkheN teri zulfo shaane tere

huye riNdo saaquee deewaane tere
"sharabeN teree baadah khaane tere"

yeh Aushwa yeh ghamza yen naazo adaa
loobhane ke haiN sab bahaane tere

bichhe jaate haiN Taere Ishque khood
KhaTa kaise hote nishaane tere

Ghazal maiN paDhooNga to yaad aayeNge
jawaani keh sapne suhaane tere

nah hotaa mere Gham kaa gar taZkirah
nah mashoor hote fasaane tere

wahee snag saari meN shamil huye
jo apne the Naiyer begaane tere

Khurshidul Hasan Naiyer

Back to top
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]moHtaram Khurshidul Hasan Naiyer SaaHib tasleemaat! :rose

keseY mizaaj haiN. meHfil-e-Urduadab meN aap kee shumuliyat ham sab ke liye khushee aor masarrat kaa peGhaam hai. aap aese sukhanwaaraan ke dam se yeh meHfil pur raonaq hai. kiyaa hee achchaa ho keh agar aap qaahe qaahe tashreef laa kar mamnoon farmateY rahaa kareeN.

Aap kee Ghazal do teen roz pehle dekh lee thee. kheyaal thaa keh pehleY deegar dost az^haar kheyaal kar leeN to maiN ba'd meN kuch likhooN gaa. lekin taaHaal kisee dost ne is jaanib kheyaal naheeN kiyaa to maiN ne khat^ likhne kaa qaSad kar liyaa.

kaha jataa hai keh shaae'ree dilee jazbaat ke iz^haar kaa naam hai. aap ke kalam meN jazbah-o-eHsaas kee kaarfarmaiyaaN haiN. ham jaante haiN keh tanawwoa' tajrubah kee infaaradiyat se pedah hotaa hai. aap ne apne tajrubeY ko apnee takhleeqee shakhSiyat kaa HiSSah bana liyaa hai. aap kee shaae'ree rasmee naheeN balkeh aek sachcheY dard mand a'aashiq kee dil halaa dene walee aawaaz hai. aap ne apne tajrubeY ko apneY khun meN khapaa rakhaa hai. aawaaZ meN Sadaqat aor khud aa'temaadee kee goonj hai. aor teHreer meN sachchaaee ke acbaat kaa wazan hai.


haiN aabaad sab quaid khaane tere
yeh aaNkheN teri zulfo shaane tere

Waah!

huye riNdo saaquee deewaane tere
"sharabeN teree baadah khaane tere"

Bohot khoob! Waah Waah!

yeh Aushwa yeh ghamza yen naazo adaa
loobhane ke haiN sab bahaane tere

Waah Waah!

bichhe jaate haiN Taere Ishque khood
KhaTa kaise hote nishaane tere

Waah Kiya kehneY!

Ghazal maiN paDhooNga to yaad aayeNge
jawaani keh sapne suhaane tere

Waah!

nah hotaa mere Gham kaa gar taZkirah
nah mashoor hote fasaane tere

Bohot khoob Waah Waah!

wahee snag saari meN shamil huye
jo apne the Naiyer begaane tere

Waah Waah!

meree jaanib se is khubSurat Ghazal par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

tashreef laate rahiye gaa.
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar



[/align]
Khurshidul Hasan Naiyer
-
-
Posts: 96
Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am

Post by Khurshidul Hasan Naiyer »

muHtaram janaab Muzaffar sahib
addab baja lata hooN

aap ki paziraayee, muHabbat, Hoslaa afzaayee or queemti raaye ka maiN tahe dil se mamnoon wa mashkoor hooN. aap ko meri kawish pasaNd aayee jis se khooshee hoyee . Allah aap ko achha rakhe. ghazal kee baHar hee aisee thee ke is TaraH ke ashAaar hogaye. maiN aap ke daad dili jazbat ke saath quabool kartahooN. apnee see kawish lekar Hazir hota rahooNga.

aap ki pazirayee ka bahoot bahoot shukriya
is ek sheAr ke saath ijazal looNga keh

ShaaAree ho naheeN saktee Naiyer
jab koyee mahware khayaal na ho

Allha Hafiz
Post Reply