[align=center]yaaraan-e-bazm: aadaab!
ek Ghazal pesh kar rahaa hooN. kuchh dostoN ne is ko Urdu Anjuman meN dekhaa ho gaa. sochaa keh kuchh aise bhee hoN ge jin kee naz^ar se yeh nah guzree ho. so yahaaN bhee chaspaaN kar rahaa hooN. aap kee raaYe kaa intiz^aar rahe gaa.
Sarwar A. Raz :Sarwar:
========================
GHAZAL
Husn baaqee, shabaab baaqee hai
a'ashiqee kaa niSaab baaqee hai!
roz jeetaa hooN roz martaa hooN
zindagee kaa Hisaab baaqee hai!
th`ak gaYe paa,ooN, paR gaYe ch`aale
HasratoN kaa saraab baaqee hai!
dil sar-e-shaam se bujh`aa saa hai
ik shab-e-iZ^t^iraab baaqee hai!
paRh` chuke ham bohat kitaab-e-zeest
aaKhiree ek baab baaqee hai!
aazmaayish see aazmaayish hai?
mar gaye ham, Hisaab baaqee hai!
dekh`iYe kyaa ho i'shq kaa anjaam
vaqt kaa iHtisaab baaqee hai!
raah kyoN tak rahe ho ab :Sarwar:?
kyaa koyee aur Khwaab baaqee hai?[/align]
Husn baaqee shabaab baaqee hai!
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
Husn baaqee shabaab baaqee hai!
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
MoHtarmee wa mokarramee Sarwar Raz SaaHab
aadaab.o.tasleemaat
arSa.e daraz ke bAAd aap ki Ghazal dekhi. maiN doosri chaupaloN meN ziyadah ja nahiN pata aur aap ne Urdu-bandhan ki Taraf aana shayad kum kar diya hai isee liye mulaqaat nahiN ho pati hai.
Ghazal beHud Haseen aur murassah hai. ChoTee zameen men itnee dilkush ghazal bohat din bAAd paRhne ko milee. mera tou dil chaah raha tha main bhi is zameeN meN kuch monH chuRaaooN magar maiN ne agar aisee jisaarat kee to qawafee yaqeenan badal dooNga takeh ittefaaqn kisee Takraao ka imkan nah rahe.
meri janib se is Ghazal pe daad aur mubarakbaad qubool farmaaiye.
Nacheez,
Jawaid Badauni
aadaab.o.tasleemaat
arSa.e daraz ke bAAd aap ki Ghazal dekhi. maiN doosri chaupaloN meN ziyadah ja nahiN pata aur aap ne Urdu-bandhan ki Taraf aana shayad kum kar diya hai isee liye mulaqaat nahiN ho pati hai.
Ghazal beHud Haseen aur murassah hai. ChoTee zameen men itnee dilkush ghazal bohat din bAAd paRhne ko milee. mera tou dil chaah raha tha main bhi is zameeN meN kuch monH chuRaaooN magar maiN ne agar aisee jisaarat kee to qawafee yaqeenan badal dooNga takeh ittefaaqn kisee Takraao ka imkan nah rahe.
meri janib se is Ghazal pe daad aur mubarakbaad qubool farmaaiye.
Nacheez,
Jawaid Badauni
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
qiblah Jawaid SaaHeb: aadaab!jawaid badauni wrote:MoHtarmee wa mokarramee Sarwar Raz SaaHab
aadaab.o.tasleemaat
arSa.e daraz ke bAAd aap ki Ghazal dekhi. maiN doosri chaupaloN meN ziyadah ja nahiN pata aur aap ne Urdu-bandhan ki Taraf aana shayad kum kar diya hai isee liye mulaqaat nahiN ho pati hai.
Ghazal beHud Haseen aur murassah hai. ChoTee zameen men itnee dilkush ghazal bohat din bAAd paRhne ko milee. mera tou dil chaah raha tha main bhi is zameeN meN kuch monH chuRaaooN magar maiN ne agar aisee jisaarat kee to qawafee yaqeenan badal dooNga takeh ittefaaqn kisee Takraao ka imkan nah rahe.
meri janib se is Ghazal pe daad aur mubarakbaad qubool farmaaiye.
Nacheez,
Jawaid Badauni
yaad-aawaree ke liYe mamnoon hooN. maiN sabhee meHfiloN meN gaahe gaahe jaataa rehtaa hooN. chooN.k maiN Khud teen :sites: chalaa rahaa hooN is liYe waqt kee kamee to hai. aur koyee baat naheeN.
Ghazal kee pazeeraayee aur daad ke liYe shukriyah qubool keejiYe.
Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
Re: Husn baaqee shabaab baaqee hai!
moHtaram Sarwar A'alam Raz Sarwar SaaHib tasleemaat!
Ummeed hai kheriyat se hooN ge. khaadim chand dinooN se naasaazee-e-t^ba' kaa shikaar hai. bafaZ^l-e-khuda ab roobah-e-SeHat hai.
ittefaaq dekhiye keh maiN bhee sooch raha thaa keh aap se kisee chooTee beHer kee Ghazal a't^aa karne kee khuwahish kaa iz^haar karooN. chaleeN yeh behtar huwaa keh aap ne khud hee yeh e'nayat farmaa dee. aor yooN aap kee yeh Ghazal firdoos-e-naz^ar ho gaee. nawaazish!
kalam kaef-o-mastee se labrez hai. aap ne apne tajrube ko apnee shakhSiyat kaa HiSSah banaate huwe jazbah-o-eHsaas ke iz^haar meN iz^haar ke is HaseeN maoZ^o' ya'nee Ghazal ko na'e aaor dilfareb paekar meN Dhaalne kee kamyaab koshish kee hai. yahee wajah hai keh kalam meN sachchaaee ke acbaat kaa wazan pedah ho geya hai. jo qaabil-e-daad hai.
GHAZAL
Husn baaqee, shabaab baaqee hai
a'ashiqee kaa niSaab baaqee hai!
Bohot khoob! Waah!
roz jeetaa hooN roz martaa hooN
zindagee kaa Hisaab baaqee hai!
Kiyaa kehne! Waah! Waah!
th`ak gaYe paa,ooN, paR gaYe ch`aale
HasratoN kaa saraab baaqee hai!
Kiyaa kehne! Waah!
dil sar-e-shaam se bujh`aa saa hai
ik shab-e-iZ^t^iraab baaqee hai!
Waah Waah! jawaab naheeN! uopar Urdu rasmul khat^ meN is she'er ke dusre miSra' meN :ik: ko :aek: likhaa geyaa hai. jis kee wajah se miSra' khaarij az beHer ma'loom ho rahaa hai. so yeh dekh leejiye gaa.
paRh` chuke ham bohat kitaab-e-zeest
aaKhiree ek baab baaqee hai!
Waah Waah!
aazmaayish see aazmaayish hai?
mar gaye ham, Hisaab baaqee hai!
Waah Waah!
dekh`iYe kyaa ho i'shq kaa anjaam
vaqt kaa iHtisaab baaqee hai!
Kiyaa kehne Waah!
raah kyoN tak rahe ho ab :Sarwar:?
kyaa koyee aur Khwaab baaqee hai?
Kiyaa kehne Waah Waah!
meree jaanib se is khubSurat aor dilkash kalam par dilee daad qubool keejiye. chand she'er isee t^arH meN mujh se ho gae haiN. jald hee khidmat-e-aqdas meN pesh kar dooN gaa.
Muzaffar A Muzaffar

miHibbee Muzaffar SaaHeb:aadaab!
aap kee a'laalat kaa sun kar fikr huyee. Khudaa kaa shukr keh ab aap achhe haiN.
Ghazal kee pazeeraayee aur daad-o-teHseen ke liYe dilee mamnoon-o-mutashakkir hooN. yeh Ghazal puraanee Z^aroor hai lekin mujh ko a'zeez hai! aap ko pasand aa jaanaa goyaa is kee qubooliyat kee daleel hai! shukriyah!
aap bohat tafSeel se tabSirah likhte haiN aur isee se andaazah hotaa hai keh aap ko zabaan-o-adab se kitnee muHabbat hai.
paidaa kahaaN haiN aise paraagandah-t^aba' log!