Yaaraan-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat!
taa Haal mushae'rah meN koee Ghazal naheeN e't^aa kee gaee. shiddat se intez^aar hai. dareeN acnaa' Apnee ma'amulee see koshish le kar HaaZ^ir huwaa chahataa hooN. mulaHiZ^ah keejiye. ummeed hai pasand farmaate huwe apnee apnee qeematee aara' se naa balad nah rkheeN ge.
Ghazal
1,
dil-e-dard aashnaa koee naheeN hai!
nigehbaaN juz khudaa koee naheeN hai!
2,
baRee weeraan hai bazm-e-tamannaa
yahaaN mereY siwaa koee naheeN hai!
3,
shikaayat kaatib-e-taqdeer se hai!
mujheY tum se gilah koee naheeN hai!
4,
andherooN se bohot maanoos hooN maiN
mereY ghar meN diyaa koee naheeN hai!
5,
bhaTak jaaooN nah SeHraa-e-junooN meN
CharaaGh-e-naqsh-e-paa koee naheeN hai!
6,
maraZ^ aesaa mujheY laaHiq huwaa hai!
keh jis dukh kee dawaa koee naheeN hai!
7,
woh raahee kaese manzil aashnaa ho
keh jis kaa rehnumaa koee naheeN hai!
8,
uge haiN khaar ab ke gulsitaaN meN
gul-e-rangeeN qabaa koee naheeN hai!
9,
kiyaa jab se gareebaaN chaak maiN neY
"mujheY pehchaantaa koee naheeN hai"
10,
uTheY to haiN t^alab ko haath naaSeH
magar lab par dua'aa koee naheeN hai!
11,
:Muzaffar: khiRkiyaaN weeraan kiyooN haiN?
yahaaN se jhaaNktaa koee naheeN hai!
Muzaffar A Muzaffar
taa Haal mushae'rah meN koee Ghazal naheeN e't^aa kee gaee. shiddat se intez^aar hai. dareeN acnaa' Apnee ma'amulee see koshish le kar HaaZ^ir huwaa chahataa hooN. mulaHiZ^ah keejiye. ummeed hai pasand farmaate huwe apnee apnee qeematee aara' se naa balad nah rkheeN ge.
Ghazal
1,
dil-e-dard aashnaa koee naheeN hai!
nigehbaaN juz khudaa koee naheeN hai!
2,
baRee weeraan hai bazm-e-tamannaa
yahaaN mereY siwaa koee naheeN hai!
3,
shikaayat kaatib-e-taqdeer se hai!
mujheY tum se gilah koee naheeN hai!
4,
andherooN se bohot maanoos hooN maiN
mereY ghar meN diyaa koee naheeN hai!
5,
bhaTak jaaooN nah SeHraa-e-junooN meN
CharaaGh-e-naqsh-e-paa koee naheeN hai!
6,
maraZ^ aesaa mujheY laaHiq huwaa hai!
keh jis dukh kee dawaa koee naheeN hai!
7,
woh raahee kaese manzil aashnaa ho
keh jis kaa rehnumaa koee naheeN hai!
8,
uge haiN khaar ab ke gulsitaaN meN
gul-e-rangeeN qabaa koee naheeN hai!
9,
kiyaa jab se gareebaaN chaak maiN neY
"mujheY pehchaantaa koee naheeN hai"
10,
uTheY to haiN t^alab ko haath naaSeH
magar lab par dua'aa koee naheeN hai!
11,
:Muzaffar: khiRkiyaaN weeraan kiyooN haiN?
yahaaN se jhaaNktaa koee naheeN hai!
Muzaffar A Muzaffar