Saghar Khayyami marHoom ko Khiraaj.e a'qeedat

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Saghar Khayyami marHoom ko Khiraaj.e a'qeedat

Post by jawaid badauni »



Tanz.o.mizaah sub ko haNsaate tou haiN magar
Khud aaj ro rahe the bohat phooT phooT kar

maiN ne kaha bataao mujhe runj ka sabab
tum aur mehv.e girya yeh tou ho gaya ghazab

ai tanz tere dum se tabassum hai barqaraar
is daur men wagarna harik dil hai sogwaar

yeh kya huuwa keh aane lagee tere lub pe aah
tou ne hi tou sikhaya tha haNsana hameN mizaah!

kyuuN baaYiS.e sukoon hi muztar hai ai Khuda !
HairaaN tha maiN keh aaj zarafat ko kya huuwa

aaKhir mizaah.o.tanz ne mujhko diya jawab
kya baaYiSe alam hai kaheN kis TaraH janab

Hum jis pe naaz karte the woh shaKhS mar gaya
Woh taajdaar tha jo jahaN se guzar gaya

Maila kafan huuwa nah “Dilawar Figar” ka
“Saghar” ka asra tha so ab woh bhi chal basa

Hum ne hamesha sub ko haNsaya hai kya KareN
“Saghar” ne aaj hum ko rulaya hai kya KareN

Dil aisa muztarib hai keh baqi nahiN Hawas
Qit’aat mehv-e girya haiN nazmeN haiN mehv-e yaas

Ik hum hi kya jahaan-e suKhan sogwaar hai
Urdu tou yuuN bhee roz GhamoN ka shikaar hai

Tanz.o.mizaah karne lage mujh se ilteja
Lillaah dil se kijiye ik baar yeh doa

M’aabbod unke sare gunahoN ko baKhsh dey
ChoTee BaRee tamam KhatoN ko baKh dey

Sardaar-e anbiya’* ki shafa’at naSeeb ho
“Saghar” ko ai Khuda tiree jannat naSeeb ho
----------------------------------------------------
* SAWW

Jawaid Badauni

User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: Saghar Khayyami marHoom ko Khiraaj.e a'qeedat

Post by sbashwar »

:salaam: Jawaid Sahib

Marhoom ke liye khiraj-e-aqeedat mein aapka kalaam pasand ayaa. Allah marhoom ke sare khatayeN maaf farmaye aur jannat mein aala'a moqaam se nawazein. Ameen.

M’aabbod unke sare gunahoN ko baKhsh dey
ChoTee BaRee tamam KhatoN ko baKh dey
:ameen:
سالم احمد باشوار
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Saghar Khayyami marHoom ko Khiraaj.e a'qeedat

Post by jawaid badauni »

sbashwar wrote::salaam: Jawaid Sahib

Marhoom ke liye khiraj-e-aqeedat mein aapka kalaam pasand ayaa. Allah marhoom ke sare khatayeN maaf farmaye aur jannat mein aala'a moqaam se nawazein. Ameen.

M’aabbod unke sare gunahoN ko baKhsh dey
ChoTee BaRee tamam KhatoN ko baKh dey
:ameen:

a'zeezi Bashwar SaaHab,
aadaab

yaad aawree ke liye shukriya. Saghar Saahab ke inteqaal se chund din qabl hi Lukcnow meN hi Tunz.o.mizaaH ke mash'hoor shayar Janab Adil Luknowee Saahab inteqaal farma gaye the. In dinoN mizaah ki duniya bohat sooni nazar aati hai.

Nazir SaaaHab se mera salam kah deejiyega.

Khair andesh,

Jawaid Badauni
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: Saghar Khayyami marHoom ko Khiraaj.e a'qeedat

Post by sbashwar »

Mohtaram Jawaid Sahib
:salaam:
Aapki tehreer se ilm hua ke Janab Adil Lukhnowee Sahib ka bhi inteqal hogaya. :inna:
Allah marhoom par reham farmaye aur jannat mein aala moqaam de. :ameen:

Shukria
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
Post Reply