Insha Allah Khan :Insha: kee ek Ghazal

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Insha Allah Khan :Insha: kee ek Ghazal

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-meHfi: aadaab!

Insha Allah Khan "Insah" agle zamaaneh ke asaatiZah meN shumaar hote the. bohat Zaheen aur munfarid mizaaj rakhte the. un kee ek mash,hoor Ghazal pesh kar rahaa hooN. is ke kayee she'r har shaKhS kee zabaan par chaRhe huwe haiN. aap ko Ghazal yaqeena" pasand aaYe gee.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
========================

Ghazal

Insha Allah Khan :Insha:

kamar baaNdhe huwe chalne ko yaaN sab yaar baiThe haiN
bohat aage gaYe baaqee jo haiN tai,yyaar baiThe haiN!

nah chheR ai nakhat-e-baad-e-bahaaree raah lag apnee
tujhe aThkheliyaaN soojhee haiN ham bezaar baiThe haiN!

taSawwur a'rsh par hai aur sar hai paa-e-saaqee par
GharaZ^ kuchh aur dhun meN is ghaRee maiKhwaar baiThe haiN

basaan-e-naqsh-e-paa-e-rehrawaaN koo-e-tamannaa meN
naheeN uThne kee t^aaqat, kyaa kareN laachaar baiThe haiN

najeeboN kaa a'jab kuchh Haal hai is daur meN yaaro
jise poochho yehee kehtaa hai, ham bekaar baiThe haiN!

yeh apnee chaal hai uftaadagee se ab keh, pehroN tak
naz^ar aayaa jahaaN par saayah-e-deewaar, baiThe haiN!

bhalaa gardish falak kee chain detee hai kise :Insha:
Ghaneemat hai jo ham-Soorat yahaaN do-chaar baiThe haiN

===================================
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: Insha Allah Khan :Insha: kee ek Ghazal

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Sarwar A'alam Raz Sarwar SaaHib aadaab!

bilaashubah Insha kaa shumaar purane asaatizah meN hotaa hai aor un kaa apnaa aek munfarid andaaz-e-bayaan thaa. in kee is Ghazal ne bohot shuhrat paaee aor aaj bhee maqbool hai. balkeh jitnaa qubool-e-a'aam is Ghazal ko naSeeb huwaa hai utnaa kam Ghazaloon ke HiSSah meN aayaa hai. aor aap ko yaad ho gaa keh is par :Z^areefanah: GhazaleN bhee hueeN haiN.

Ise meHfil talak laane aor sajaane ke liye saraapaa sipaas hooN. Allah tabarak uta'alaa aap ko khush-o-aabaad rakhe Aameen!

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: Insha Allah Khan :Insha: kee ek Ghazal

Post by Sarwar A. Raz »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Sarwar A'alam Raz Sarwar SaaHib aadaab!

bilaashubah Insha kaa shumaar purane asaatizah meN hotaa hai aor un kaa apnaa aek munfarid andaaz-e-bayaan thaa. in kee is Ghazal ne bohot shuhrat paaee aor aaj bhee maqbool hai. balkeh jitnaa qubool-e-a'aam is Ghazal ko naSeeb huwaa hai utnaa kam Ghazaloon ke HiSSah meN aayaa hai. aor aap ko yaad ho gaa keh is par :Z^areefanah: GhazaleN bhee hueeN haiN.

Ise meHfil talak laane aor sajaane ke liye saraapaa sipaas hooN. Allah tabarak uta'alaa aap ko khush-o-aabaad rakhe Aameen!

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
bandah-parwar Muzaffar SaaHeb: aadaab!

mueZZin marHabaa! bar-waqt bolaa
tiree aawaaz Makke aur Madeene!

maiN to aap kee talaash meN hooN. kayee em likh chukaa aur jawaab se meHroom reh kar maayoos ho gayaa thaa keh aap yahaaN naz^ar aa gaYe. zahe naSeeb!

Insha kee Ghazal ke baare meN jo kuchh aap ne kahaa nihaayat durust kahaa. is ke kayee she'r zabaaN-zad-e-KhaaS-o-a'am haiN. afsos keh nayee nasl hamaare adabee sarmaayeh se bohat kuchh naa-waaqif hai. lekin is kaa koyee i'laaj naheeN siwaaYe is ke keh ham is daastaan-e-paareenah ko gaahe gaahe duhraate raheN.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Post Reply