aap kee Zarrah-nawaazee aur Ghazal kee pazeeraayee kaa mamnoon hooN. maiN ne Faraz kee is zameen meN pooree Ghazal naheeN dekhee hai. sach to yeh hai keh maiN ne un kaa bohat hee kam kalaam dekhaa hai. so kisee mauqe' se yahaaN yaa kaheeN aur un kee yeh Ghazal i'naayat kar deejiYe gaa. shukriyah!
Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
mere paas Faraz marHoom kee yeh Ghazal maojood hai .so aap bhee dekh leejiye. yeh un kee kitaan :janaaN janaaN: se naqal kar raha hooN.is ke kul cheh she'er haiN.
Ghazal
har dawaa dard ko baRhaa hee de!
ab to ae dil use bhulaa hee de!
luTne wale se yooN GureeZ nah kar
kiyaa khabar woh tujhe dua'aa hee de!
jin ke chehre peh meree aaNkheeN haiN
woh mujhe t^a'an-e-kam nigaahee de!
yeh bhee ek shewah-e-rafaaqat hai
jaane waalooN ko raastaa hee de!
jaaN kanee ke a'zaab se niklooN
Aakhree teer bhee chalaa hee de!
Ab to jaese :Faraz: baad-e-muraad
Zindagee kaa diyaa bujhaa hee de!
qabil-e-ehtiraam aitebaar-e-adab
janaab sarwer a.raaz sahib!
assala'mu alai'kum wa rahma tullah
allah aapki umr daraaz karay aor aapka saaya ahbaab-e-urdu ban'dhan per hamaisha qaim-o-daim rakkhay
[aameen]
janab ki ghazal nazar say guzri aik aik she'r ko baar baar paRha dil khush ho gaya
khayaal-o-fikr ki chaashni naseeb huii
ghazal ki taa;reef kay liye lafzoN ki kami zaroor hay khuloos ki kami nahiN lihaaza mairi jaanib say bohut bohut daad-o-tehseen qubool kiji'ye