Ghazal: Jauhar Qalam Ka Apne Dikhate Raha Karo

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
aabarqi
-
-
Posts: 596
Joined: Tue Oct 07, 2008 11:09 am
Location: New Delhi
Contact:

Ghazal: Jauhar Qalam Ka Apne Dikhate Raha Karo

Post by aabarqi »

Ghazal: Jauhar Qalam Ka Apne Dikhate Raha Karo
Attachments
ghazal-karo.gif
ghazal-karo.gif (34.35 KiB) Viewed 75 times
http://www.drbarqiazmi.com
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Re: Ghazal: Jauhar Qalam Ka Apne Dikhate Raha Karo

Post by munir-armaan-nasimi »

Gaflat se Hum ko karte hain BedaaR Haadsat;
En HaadsoN ko Kaam main Laate Raha Karo

Waaa...h... Waah.. kya baat hai Barqii Saaheb... woh kya kehte hain na angrezi main... There is a silver-lining in every Cloud.... (mujhe theek se yaad nahin) yani keh har negative main kuch na kuch positive baat chhupi rehti hai.. hamein apne "failure" se bhi seekhna chaahiye...

Aapka sher hausla deta hooa nazar aa raha hai. =D>

Behtar nahin hai Husn-e-Amal se JahaaN main Kuchh
Jo apna Farz hai Usko Nibhaate Raha Karo !!

Masha'Allah bohat hi achcha sher hai... Daad qobool karein. Meri ek ghazal ka Matla' bhi aisa hi kuch hai.... shayad aapko achcha lage...

Farz Mera tha aur Main Nibhata Raha
Zakhm Khata Raha, Muskuraata Raha

Beech Darya main Usne Nazar Pher Lee
Main KinaaroN se Nazrein Milaata Raha

Puri Ghazal aapki makhsoos RANG main rangi hoyi hai... Thoda sa "Font Size" chota kar dein 16 ho to achcha hai aur..... agar mumkin ho to urdu ke neeche... Roman main bhi apni ghazal ko likh dein to un DostoN ke liye aasaani hogi jo Urdu padhna nahin jaante magar URdu ki mohabbat main sarshaar hain.

Ummeed hai aap meri baat pe ghaur karenge.

Aapka apna,

Munir Armaan
Post Reply