yaaraan-e-bazm: aadaab!
ek t^araHee Ghazal pesh kar rahaa hooN. miSra'-e-t^araH Naubat Rai :Nazar: Lucknavi kaa hai:
Gham kabhee aisaa nah thaa, raaHat kabhee aisee nah thee!
dekhiYe, shaayad kisee qaabil ho.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
==========================
GHazal dil kabhee aisaa nah thaa, chaahat kabhee aisee nah thee
sozish-e-Gham, laZZat-e-furqat kabhee aisee nah thee
aarzoo aisee nah thee, Hasrat kabhee aisee nah thee
thee buree lekin miree Haalat kabhee aisee nah thee!
taNg-daamaanee ne meree raaz afshaa kar diyaa
sail-e-ashk-e-Gham! tiree shiddat kabhee aisee nah thee!
dekhtaa hooN Khud ko Hairat se maqaam-e-shauq meN
Khud-faraamoshee keh yeh a'adat kabhee aisee nah thee
i'shq kee mo'jiz-numaayee, al-amaan-o-al-Hafeez^!
:Gham kabhee aisaa nah thaa, raaHat kabahee aisee nah thee!:
kar gayee raNgeen meree daastaan-e-aarzoo
lab-kushaayee kee mujhe jur,at kabhee aisee nah thee
gardish-e-Haalaat ne taKhtah woh palTaa hai keh bas!
warnah barbaadee kee yeh Soorat kabhee aisee nah thee!
uNgliyaaN uThtee haiN "Sarwar" tujh peh ab to har ghaRee
koochah-e-ummeed meN shuhrat kabhee aisee nah thee!
[/size]ek t^araHee Ghazal pesh kar rahaa hooN. miSra'-e-t^araH Naubat Rai :Nazar: Lucknavi kaa hai: