Dard-e-tanhai

Kalaam jis per vazn kii qaid nahiN
Post Reply
Brijinder
-
-
Posts: 86
Joined: Mon Jul 04, 2005 9:02 pm
Contact:

Dard-e-tanhai

Post by Brijinder »

Dard-e-tanhai

NaghmaiN hazar dil main sunaauN kis ko
Haasil kay pursihar jalway dikhaauN kisko?

Nazae ki dhudh maiN hai tamaam basti
Hosh qaraar-e-jurm khuda bani hai pasti

Fitoor ka aalam har zehan pay bana hai
Naqash-e-pa kuhan kay aur un pay hi chalna hai

Jisay daykhiay kal main jee raha hai
Haazir ki suraahi say maazi ko pee raha hai
Aur
Bhatakta hooN main aawara
Umr ki galiyoN main dar-b-dar
AankhoN main tamnna dil maiN chaalay
Aur paaoN main junoon-e-safar

--
Post Reply