ye Ghazal ek muqaablay maiN bheji thi....kaiee din say chaah rahi thi ke urdu bandhan per post kar dooN...lekin kuch taleemi masroofiyat aisi thiN ke kisi kaam ka hosh nahiN tha....bahar kaif....Ghazal abb haazir hai.....

rashk ki zad meN har ik taair-e-aazaad aayaa
jis ko ik baar nazar bhi miraa sayyaad aayaa
tujhe maaNgooN maiN tiray jor ke kaffaaray meN
too jo haNgaamah-e-meHshar meN mujhe yaad aayaa
roz ki baat pe kiaa aah-o-fuGhaani keeje
kia hua aaj bhi qaasid miraa naashaad aayaa
ik lagaao hai ajab saa hamaiN veeraanoN say
raah lete haiN badal, sheher jo aabaad aayaa
hum wo Khuddaar haiN,Khud ko hi fanaa kar leNgay
bhool kar lab pe agar kalmaa-e-faryaad aayaa
haaye ye aadat-e-nisyaaN! ke Khafaa the us say
us nay hi yaad dilaaya, na hamaiN yaad aayaa
shaadi-e-marg na ho jaaye kahiN hum pe Nigaah
aaj un ko hai Khayaal-e-dil-e-barbaad aayaa
Nigaah