*~ MeriZindagi ~*

UstadaoN aur MuntaKhib ShoAraa ki shaayeri

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
khurram_shaikh
-
-
Posts: 136
Joined: Sun Dec 12, 2004 5:21 am

*~ MeriZindagi ~*

Post by khurram_shaikh »

Assalaam alekum,



Mujhey lagta hai aesa kabhi kabhi

Jaisy woh ajnabi larki

Mujh sey piyar karti hai

Mujhey chahti hai

Akser yunhi chup chup ker

Dekhti hai, janey kiya soch ker

Nazren chura jati hai

Kuch ghabra si jati hai

Apney aanchal ko hawaoon k zoor per lehrati hai

Mehsoos mujhey yeh hota hai k

Shaid mujhey woh bohat chahti hai

Mujhey aesa ehsas dilati hai jesay

Woh mujh sey kuch kehna chahti hai

Meray pochnay per kuch sharma si jati hai

Kuch ghabra si jati hai

"Suniyey" keh kar bhaag jati hai

Ajnabi larki shaid piyar karti hai mujh sey

Aesa mehsoos hota hai janey kiyon mujhey

Dil bhi kitna pagal hai

Kiya kiya sochta rehta hain

Kuch masoom sey jazbey hain

Kuch undekhey sapney hain

Mager woh nahin janti shaied...!!!

Meri Zindagi To wo hee hay.
RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

salaam Khurram saaHib,

aapkaa pesh kardah kalaam mujhe bhala laga. shukria share karne kaa...mujhe ummeed hai ki aap aayinda bhi aise hii umda aur aalaa kalaam se navaazte raheNge. shukria.

Hashmat
Image
waqar_masood
-
-
Posts: 134
Joined: Mon Dec 13, 2004 5:52 am
Location: khanewal
Contact:

Post by waqar_masood »

assalam o alaikum janab

buhut umdaa nazam share kee hay aap nay . parh ker accha laga. share kernay ka shukria...

waqar masood
hello
Post Reply