ulfat
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
ulfat
]
Last edited by tahira Masood on Sat Jun 11, 2005 5:53 pm, edited 3 times in total.
live and let live
-
- -
- Posts: 35
- Joined: Sun Feb 06, 2005 5:30 pm
- Location: Islamabad
- Contact:
aoa
tahira g adab
aap ki ghazal paRhi achi lagi. doo aik chhooTi chhooTii batooN par ghoor farma lain
teesray sher main lafz diwanay ki imla "ya" kay baghair hoo gi
us say aglay sher ka pehlay misray main aap nay " kah" koo doo rukni bandha hay joo beherhal darurst nahi go kah kafi loog aisa kar jatay hain. agar aap is suqam koo door kar lain too ziada munasib bat hoo gi
mukhlis
rizwan
aap ki ghazal paRhi achi lagi. doo aik chhooTi chhooTii batooN par ghoor farma lain
teesray sher main lafz diwanay ki imla "ya" kay baghair hoo gi
us say aglay sher ka pehlay misray main aap nay " kah" koo doo rukni bandha hay joo beherhal darurst nahi go kah kafi loog aisa kar jatay hain. agar aap is suqam koo door kar lain too ziada munasib bat hoo gi
mukhlis
rizwan
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
Re: aoa
moHteram Dawood ji :roseDawood_Rizwan wrote:tahira g adab
aap ki ghazal paRhi achi lagi. doo aik chhooTi chhooTii batooN par ghoor farma lain
teesray sher main lafz diwanay ki imla "ya" kay baghair hoo gi
us say aglay sher ka pehlay misray main aap nay " kah" koo doo rukni bandha hay joo beherhal darurst nahi go kah kafi loog aisa kar jatay hain. agar aap is suqam koo door kar lain too ziada munasib bat hoo gi
mukhlis
rizwan
salaam
ghazal pasand kerne ka bohat bohat shukeriyah
aur munaaasib tajaaveez dene k liay bhi mamnoon hoN.
khush rehiay.
wasalam
live and let live
-
- -
- Posts: 219
- Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
- Location: Doha Qatar
- Contact:
Tahira saHiba:
salaam arz hai
aap ki ghazal dekh ker khushi hui. ache mazaameen nikaale hain aap ne .
daagh jo dil per hai voh jaata nahiN
bin tire koii hameN bhaata nahiN
deevaane = divaane
amjad

matla acha hai, magar doosra misra beHr se kharij ho rahaa hai, aap yooN kar lijiye :teri ulfat ka yaqeen aata naheeN
daagh jo dil par laga hai jaata naheeN
daagh jo dil per hai voh jaata nahiN
khoob kahaa, bas aik aham baat ki taraf tavajjoh dilaana chaahooN ga ke , pehle mein "teri" aur doosre meiN "tum" shutur.gurbah paida kar rahaa hai. ye shaa'iree mein aib samjha jaata hai, is liye aap doosre misre ko yooN kar deN :teri chaahat rach gaii hai rooH meiN
koii bhi tum bin hameN bhata naheeN
bin tire koii hameN bhaata nahiN
khoob kahaa, acha she'r hai,raag ulfat ka baRa dil.soz hai
juz deewane ke koii gata naheeN
deevaane = divaane
ye dono ashaar bhi pasand aaye, meri jaanib se daad qubool kijiye, aur isi taraH apni ghazal hameN sunaati raheN :)ham to keh dete haiN seedhi baat hi
TeRhii baatoN ka hunar aata naheeN
dekh kar dasht-e-junooN ke daam bhi
paaoN ka shoq-e-safar jaata naheeN
amjad
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
-
- -
- Posts: 219
- Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
- Location: Doha Qatar
- Contact:
Re: aoa
mohtaram rizwan saHibDawood_Rizwan wrote:
us say aglay sher ka pehlay misray main aap nay " kah" koo doo rukni bandha hay joo beherhal darurst nahi go kah kafi loog aisa kar jatay hain. agar aap is suqam koo door kar lain too ziada munasib bat hoo gi
mukhlis
rizwan
salaam arz hai
taahira saHiba ne yooN to she'r edit kar diya hai, magar yahaaN jo "kah" unhoN ne iste'maal kia hai, wo 2 ke vazn per bhi durust hai, ye "kah" kehne se hai, aur is ka vazn aam taur per 2 ke vazn per hi baandha jaata hai.
agar maiN ghalat hooN to mujhe zaroor bataaiye