Page 8 of 9

"te"

Posted: Tue Jun 07, 2005 10:00 am
by Abdullah Nazir



tujh ko maiN apnaa samajh baiThaa khudaa jaane kiyuN

khaagaieN dhoukah tire piyaar kii khoogar aankheN.



Nazir.


Posted: Tue Jun 07, 2005 6:25 pm
by najma
tera pehluu, tire dil ki tarah aabaad rahay
tujh pe guzre na qayaamat sahb-e-tanhaaee kii
p.shakir

Posted: Wed Jun 08, 2005 8:49 am
by najma
tire pyaar ka aasra chahtaa hooN
wafa kar rahaa hooN, wafa chaahtaa hooN

"te"

Posted: Thu Jun 09, 2005 1:05 am
by Abdullah Nazir



tujhe kyaa khabar hei, maiN kyaa chaahtaa hooN

muHabbat meiN teri wafaa chaahtaa hooN.



Nazir.


Posted: Thu Jun 09, 2005 1:27 am
by najma
teri mehfil bhi gaee, chahne waale bhii gaey
shab ki aahieN bhii gaeiN, sub,h ke naale bhii gaey

Posted: Sat Jan 07, 2006 7:28 pm
by ummassad
tumhari anjuman se uthke deewane kahan jaate
jo wabasta huye tumse vo afsaane kahan jaate

Posted: Tue Jan 10, 2006 8:57 pm
by ummassad
tammana hai ki roshan ho teri dunya teri mahfil
ujala milseke tumko tuu hum ghar bhi jaladainje

Posted: Tue Jan 10, 2006 9:01 pm
by ummassad
tere shishe main may baqi nahi hai .bata kya tuu mera saqi nahi hai
samander se mile pyse ko shabnum .bakheli hai yh razaqi nahi hai

Posted: Fri Feb 10, 2006 2:30 pm
by Daanish
tere sajdoN meiN nahiN shaan-e-mohabbat Zaahid!
sar ko khaak-e-dar-e-jaanaana banaya hota--Faani

Posted: Sun Feb 12, 2006 2:07 am
by ummassad
tazkera jb wafa ka hota hy
main tumhari misaal deta houn

Posted: Sun Feb 12, 2006 11:17 am
by Daanish
tujhe tau waada-e-deedaar ham se karna thha
yeh kya kiya ke jahaaN ko ummeedwaar kiya--Daagh

Posted: Mon Feb 13, 2006 9:27 pm
by ummassad
tumhari berukhi ne laaj rakahli baadakhane ki
jo aankhoon se piladete tu pymaane kahaan jate

Posted: Wed Feb 15, 2006 1:54 am
by Daanish
tu ne tauba tau kar lii magar ai Khumaar
tujh ko rehmat pe shayad bharosa nahiN

Posted: Wed Feb 15, 2006 1:58 am
by Daanish
tujh se tau kuchh kalaam nahiN, lekin, ai nadeem!
mera salaam kahiyo, agar naamabar milay
tum ko bhi hum dikhaaye ke majnooN ne kya kiya
fursat kashaakash-e-gham-e-pinhaaN se gar milay--Ghalib

Posted: Sat Feb 18, 2006 6:51 am
by ummassad
tujhe kiy batoun nashe jo faraq hy mujh main tujh main
meri zindagi talatum teri zindagi kinara