Page 8 of 8

Re: Lafz par Ashaar#11--"ISHQ "

Posted: Sun Jan 31, 2010 3:17 pm
by munir-armaan-nasimi
manzar alam wrote:asar-e-ishq hai peeri meN bhi itna baaqi
dekh leti hai HaseenoN ki Taraf door se aaNkh
Waah waah.. kya baat hai Manzar Alam Saheb... kya ghazab ka sher keh diya aapne. Kuch Ek "Dev Anand" esko padh kar dil hi dil main muskura rahe honge.

Main aapka shukr guzaar hoon keh aapne aatey hi ek bohat achcha kaam kiya hai..... jo forum barson se (2006) se I.C.U. main thee aapne usko "Zinda" kar diya hai...... Mujhe yaqeen hai keh hamare kuch aur Dost bhee ess taraf aayenge aur hamari "Anjuman" main roushni hi roushni hogi.

Taalib-e-dua,

munir armaan nasimi

Re: Lafz par Ashaar#11--"ISHQ "

Posted: Sun Jan 31, 2010 3:21 pm
by munir-armaan-nasimi
Ishq kee har Ada Niraalee Hai
Laat Ghunsa hai, Maar Gaali Hai


Hai na??!

Re: Lafz par Ashaar#11--"ISHQ "

Posted: Sun Jan 31, 2010 3:41 pm
by manzar alam
munir-armaan-nasimi wrote:Ishq kee har Ada Niraalee Hai
Laat Ghunsa hai, Maar Gaali Hai


Hai na??!
waah janaab kya bat hai
likhte waqt mera zehn us taraf bilkul hi nahiN gaya tha,
aap ne kaha tou mere hoNtoN par bhi muskurahat aagayi
bahut bahut shukriya,,,,,,,,,,,,,
vaise aap ne bhi kya baat kahi hai
bhai waah........
isi baat par ek sher aur ,,,,,, mulaahizah kareN

nahiN be waj'h ye abru se ishaare un ke
ishq bazoN ko batate haiN wo talwaar ke haath

Re: Lafz par Ashaar#11--"ISHQ "

Posted: Sun Jan 31, 2010 3:58 pm
by sbashwar
عشق میں جب عہد وفا کیجئے
پھولوں میں جینے کی دعا کیجئے
عبداللہ ناظرؔ

Re: Lafz par Ashaar#11--"ISHQ "

Posted: Sun Jan 31, 2010 6:13 pm
by manzar alam
maktab-e-ishq meN jo haiN wo falaatooN Hikmat
koi shaagird kisi ka nahiN ustaad haiN sab
=============================================
مکتب عشق میں جو ہیں وہ فلاطوں حکمت
کوئ شاگرد کسی کا نہیں استاد ہیں سب
[/color]

Re: Lafz par Ashaar#11--"ISHQ "

Posted: Tue Feb 02, 2010 2:39 pm
by sbashwar
عشق کی حقیقت کا کچھ پتہ نہیں چلتا * حسن کی اداؤں سے دل پہ چوٹ کھانے تک
عبداللہ ناظرؔ

Re: Lafz par Ashaar#11--"ISHQ "

Posted: Fri May 14, 2010 5:31 pm
by sbashwar


عشق سے طبيعت نے زيست كا مزا پايا

درد كي دوا پائي ، درد بے دوا پايا
غالب
[/color]