Page 8 of 10

Posted: Sun Sep 17, 2006 12:39 pm
by Mayank
dil se teree nigaah jigar tak utar gayee
donoN ko ik adaa meiN razaamand kar gayee
-Ghaalib

Posted: Mon Sep 18, 2006 2:36 am
by Daanish
'dil'


kadurat se dil apna paak rakh ai Shaad! peeri meiN
ke jis ko muNh dikhaana hai, yeh aaina usi ka hai--Shaad Azeemabadi

dil

Posted: Tue Sep 19, 2006 12:57 am
by Abdullah Nazir
b]


jaan letaa hooN lab o lehjeh se dil kee Haalat

meri dunyaa se zamaane kee shinaasaayi hei.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.

[/b]

Posted: Tue Sep 19, 2006 1:15 pm
by Daanish


beKhudi meiN chheD dijiye, naGhma_haa-e-saaz-e-dil
phir unhiiN maujoN pe Khud hi raqs-e-paiham kijiye
--Jigar

dil

Posted: Wed Sep 20, 2006 2:40 am
by Abdullah Nazir



HeiN aarzooaoN ke diye raushan dil-e-barbaad meiN

jis din se chaahaa hei tujhe maiN ne mukarrar dekhnaa.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.


Posted: Thu Nov 23, 2006 11:51 am
by praise
har javaa.N dil mere afasaane ko doharaataa rahe
hashr tak Khatm na ho aisii kahaanii de de

Posted: Wed Dec 06, 2006 10:06 am
by hassan_bashir
ab kyaa bataauN maiN tere milane se kyaa milaa?
irfaan-e-Gham huaa mujhe
dil kaa pataa milaa!!

dil

Posted: Fri Dec 15, 2006 12:35 pm
by Abdullah Nazir
b]


TooT jaaye her zaraa see baat per wo dil nahiN

dekh lenaa maiN nahiN yaa saAiy-e-laaHaaSil nahiN.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.

[/b]

Posted: Thu Dec 21, 2006 8:24 am
by hassan_bashir
us ki hasrat hai jise dil se miTaa bhii naa sakoooooN
dhuNDane us ko chalaa hooN jise paa bhi na sakooN

Posted: Mon Dec 25, 2006 10:50 am
by balvinder
''aazaad'' saaz-e-dil pe hain raksaa'n vo zam-zame
khud sun sakoo'n magar na kisee ko sunaa sakoo'n

jagannaath ''aazaad''

dil

Posted: Wed Jan 24, 2007 1:04 am
by Abdullah Nazir



haaye oos mehrukh kaa bedardee se zaanoo peeTnaa

aur chillaanaa ke meraa dil hei bismil dekhiye.


Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Fri Feb 09, 2007 9:56 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
dil hee to hai nah sang-o-khisht dard se bh~ar nah aae kiyooN
roeeN ge ham hazaar bar koee hameeN rulae kiyooN?

Mirza Ghalib

Posted: Wed Feb 14, 2007 5:04 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Jigar meN dard ho to aaNkh~ se aaNsu Tapakte haiN
labalab bh~arne wale jaam hee akcar ch~alakte haiN.

Kaocar Ja'afari marHoom!

Posted: Tue Jul 24, 2007 2:48 am
by ummassad
dil diya aaitibar ki hud thi.
jaan dedi yeh paiyer ki hud thi.

Posted: Thu Jul 26, 2007 2:37 pm
by balvinder
haay ! kyaa hasrat-kadaa thaa dil hamaara ai ''jaliil''
ho gayaa do roz meN aabaad bhii barbaad bhii


''jaliil'' manikpuri