Page 8 of 18
Posted: Mon Dec 04, 2006 7:32 am
by hassan_bashir
aaye kuChh abr kuChh sharaab aaye
us ke baad aaye jo azaaaaaaab aaye
Posted: Thu Dec 07, 2006 6:48 am
by hassan_bashir
na jaane, kab se chaaleN chal rahii thii dil-lagii terii
k ab to raat din hone lagii hai baNdagii terii!
"ye"
Posted: Thu Dec 07, 2006 12:56 pm
by Abdullah Nazir
yeh dunyaa imtiHaaN gaah0e0muHabbat hei jahaN ham se
nahiN maTloob hei kuch bhee siwaaye bandagi teri.
Shaayer: Abdullah Nazir.
"ye"
Nazir.
"meem"
Posted: Sun Dec 10, 2006 3:06 am
by Abdullah Nazir
miT jaate heiN sah ghaao baham daad-rasi se
niyyat nah hou achchi tou kadoorat nahiN jaati.
Shaayer: Abdullah Nazir.
"ye"
Nazir.
Posted: Sun Dec 10, 2006 7:04 am
by hassan_bashir
yeh kyaa k ik tiree Chashm-e-karam ko seh na sakaa
tire sitam to sahe the haNsiiiiiii-khushiiiiii maiN ne!!!!!
"ye"
Posted: Sun Dec 10, 2006 12:52 pm
by Abdullah Nazir
yeh chehrah yeh rang-e-Haya yeh tabassum
gulaoN mein bhee teri shabaahat nah hougi.
Shaayer: Abdullah Nazir.
"ye"
Nazir.
"ye"
Posted: Mon Dec 11, 2006 5:44 am
by Abdullah Nazir
yaadaoN ne teri dil ko hei rakhkhaa sanbhaalkar
moNh pherle jou tuu tou maiN zindah nah reh sakooN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Dec 11, 2006 8:00 am
by hassan_bashir
nazar milaa na sake us se us nigaah ke baad
vahii hai haal hamaaraa jo ho gunaah ke baad
"alif"
Posted: Mon Dec 11, 2006 4:15 pm
by Abdullah Nazir
aHbaab-e-Ahd-e-raftah kaa ab zikr kyaa karuN
is daur meiN khulooS-e-baham khaal khaal hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
"ye"
Nazir.
Posted: Mon Dec 11, 2006 4:18 pm
by hassan_bashir
yeh jo ham hijr meiN divaar-o-dar ko dekhte haiN
kabhi sabaa ko kabhi naamaabar ko dekhte haiN!
noon
Posted: Mon Dec 11, 2006 11:50 pm
by Abdullah Nazir
nazar nah aayegaa tuu chaand hei wo sharmeelaa
agar talaash karooN raat bhar charaagh liyei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
"ye"
Nazir.
gaaf
Posted: Wed Dec 13, 2006 4:24 am
by Abdullah Nazir
gayaa wou daur ke thaa iHtiraam apnaa bhee
badal gaye heiN wo jab se tou hougaye badnaam.
Shaayer: Abdullah Nazir.
"meem"
Nazir.
Posted: Thu Dec 14, 2006 6:23 am
by zmufti
ik kiran thaam ke maiN dhoop nagar tak puhNcha thaa
kon saa arsh hai jis ka koii zeena hi nahiN
Posted: Thu Dec 14, 2006 7:48 am
by hassan_bashir
-------------------------------------------------------------------------------------
naz'a kee aakhri hichakee ko zaraa Ghaur se suun
zindagii bhar ka khulaasa, usii aavaaz meiN hai!!!
--------------------------------------------------------------------------------------
"ye"
Posted: Fri Dec 15, 2006 2:07 am
by Abdullah Nazir
YuN hee baaqi jo rahaa mere junooN kaa Aalam
dil ke TukRe bhee bahar tar-e-girebaaN hounge..
Shaayer: Abdullah Nazir.
"ye"
Nazir.