Page 8 of 65
mere
Posted: Sat Mar 12, 2005 2:41 pm
by Abdullah Nazir
"mere"
Mere dil kaa thaa Ajab haal tiri furqat meiN
aise lagtaa thaa ke hei saans bhii lenaa mushkil
Nazir.
Posted: Sun Mar 13, 2005 6:57 am
by Ibn-e-siddique
aisaa aasaaN nahiN luhuu rona
dil meiN taaqat jigar meiN Haal kahaaN
dil / kahaaN
"dil"
Posted: Mon Mar 14, 2005 1:01 pm
by Abdullah Nazir
Dil kii Haalat khdaa hii jaane hei
Poochte kiyooN hou mujh se Haal apnaa
Nazir.
Posted: Tue Mar 22, 2005 4:41 am
by Ibn-e-siddique
poochte haiN wo ke ghalib kaun hai
koi batlaaye ke ham batlaaiN kia
koi / kia
"koi"
Posted: Tue Mar 22, 2005 6:05 am
by Abdullah Nazir
koii aisaa bhi hei jo Haalat-e-dil jaan sake?
Tum se ummeed thii, tum ne bhii daghaa kii muh se
(tum/se)
Nazir
Posted: Tue Mar 22, 2005 7:08 am
by Hashmat Usmani
TUM se bewjaa hai mujhe apnii tabaahii ka gilaa
IS meN kuchh shaaiba e Khoobii e taqdeer bhii THAA
is/thaa
Posted: Thu Mar 24, 2005 7:00 am
by Hashmat Usmani
yeh masaa'il-e-tasavvuf, yeh tira bayaan "Ghaalib"
tujhe ham walii samajhte, jo na baada_Khaar hotaa
tujhe/hotaa
Posted: Thu Mar 24, 2005 2:41 pm
by Hashmat Usmani
terii fursat ke muqaabil, ai 'umr
barq ko paa ba Hina baandhtee haiN
barq/haiN
maiN
Posted: Fri Mar 25, 2005 3:23 am
by Abdullah Nazir
MaiN uski phool sii aankahaoN ko choom letaa hooN
wo neend meiN bhii miraa naam leti rehti hei
(wo/hei)
Nazir.
Posted: Fri Mar 25, 2005 3:24 am
by Hashmat Usmani
hai bas_ki har ik unke ishaareN meN nishaaN aur
karte haiN moHabbat to guzartaa hai gumaaN aur
karte/aur
Posted: Fri Mar 25, 2005 3:37 am
by Hashmat Usmani
raat ko mai piye, saath raqeeb ko liye
aaye vo yaaN, Khuda kare!; par na kare ki yuuN!
aaye/yuuN
"mour"
Posted: Sat Mar 26, 2005 5:23 am
by Abdullah Nazir
Mour kii chaal bhii achchi nahiN lagti jaanaaN
naaz se aati hou jab tum miri jaanib chalkar
(naaz / chalkar)
Nazir.
Posted: Sat Mar 26, 2005 2:46 pm
by Hashmat Usmani
maiN shaa'ir huuN, mujhe fitrat ke nazzaaroN se ulfat hai
miraa dil dushman-e-nagHma_saraayi ho nahiiN saktaa
miraa/saktaa
Posted: Sat Mar 26, 2005 4:13 pm
by Hashmat Usmani
laakhoN haiN yahaaN dil_waale, aur pyaar nahiiN miltaa
aaNkhoN meN kisii kii vafaa kaa iqraar nahiiN miltaa
aaNkhoN/miltaa
"aankhaoN"
Posted: Sat Mar 26, 2005 7:51 pm
by Abdullah Nazir
AankhaoN meiN surkh doure aur lab pah muskuraahat
kehte hou kuch likhooN maiN, likhkhooN tou kyaa likhooN maiN
kehte / maiN
Nazir.