Page 8 of 43
Posted: Thu Apr 28, 2005 8:26 pm
by najma
faryaad jo karte haiN to kaT,tii haiN zabaaneN
kis aas pe ham adl ki zanjeer hilaeiN
najma
Posted: Thu Apr 28, 2005 8:48 pm
by Hashmat Usmani
ek TuuTii huii zanjiir kii fariyaad haiN ham
aur duniyaa ye samajhtii hai k aazaad haiN ham
Me'raaj Faizabadi
Posted: Thu Apr 28, 2005 10:31 pm
by najma
zanjeer ba-paa kar ke sayyaad ne choRa hay
ye kesiiaseerii hay, ye kesii hay aazaadii
najma
javab
Posted: Thu Apr 28, 2005 11:22 pm
by Abdullah Nazir
paa ba-zanjeer sahii raqs tou karletaa hooN
khauf kis baat kaa sayyaad dilaataa hei mujhe.
Nazir. ..............................
Posted: Fri Apr 29, 2005 12:00 am
by najma
apne haathoN se nasheeman ko jala dete haiN
hausla seekhe koee khanmaaN-barbaadoN se
nafis ahmad siddiqui
Posted: Fri Apr 29, 2005 12:49 am
by Hashmat Usmani
jis ko dekho vohii zanjiir-ba-paa lagtaa hai
shahr kaa shahr huaa daaKhil-e-zindaaN jaanaaN
AHmad Faraaz
Posted: Fri Apr 29, 2005 12:54 am
by najma
us adalat ke kaTehre meiN khaRe haiN ham, jahaaN
nutq-e-goyaaee tarastaa hay bayanoN ke liye
Posted: Fri Apr 29, 2005 1:20 am
by Hashmat Usmani
nahiiN minnat_kash-e-daam-e-shuniidan daastaaN merii
Khamoshii guftugu hai, be_zubaanii hai zubaaN merii
'allaamah Iqbaal
Posted: Fri Apr 29, 2005 1:54 am
by najma
poocha kisi ne jab mirii barbaadiyoN ka haal
kya kya khayaal zehn se mere guzar gaey
nafis ahmad siddiqui
Posted: Fri Apr 29, 2005 2:00 am
by Hashmat Usmani
miT gayaa jab miTane_waalaa, phir salaam aayaa to kyaa!
dil kii barbaadii ke ba'd uNkaa payaam aayaa to kyaa
Dil Shaahjahaanpurii
Posted: Fri Apr 29, 2005 2:03 am
by najma
mit gaey ishq ki anaa ke liye
jaan dii ek be-wafa ke liye
nafis ahmad siddiqui
Posted: Fri Apr 29, 2005 1:26 pm
by Aanchal
sitaroun say agay jahaan or bhi hain
abhi ishq kay imtehan or bhi hain
Posted: Fri Apr 29, 2005 1:43 pm
by najma
aazmaaish ke liye saw jaan se haazir thii maiN
aap to bas mera dil hii aazmaa kar reh gaey
najma
Posted: Sun May 01, 2005 1:03 am
by Hashmat Usmani
yehii hai aazmaanaa to sataanaa kisko kahte haiN
'aduu ke ho liye jab tum to meraa imtiHaaN kyoN ho
chacha
Posted: Sun May 01, 2005 1:07 am
by najma
adoo ke taa,ne to sir pe uTha ke rakhte ho
hamari baat bhi tum pe giraaN guzartii hay
najma