Page 8 of 9

Posted: Sat Apr 30, 2005 12:31 pm
by Hashmat Usmani
meraa ek pal aaj kal ek sadii hai
kahaaN vo mausam suhaane_suhaane


Ibraaheem "Ashk"

Posted: Sat Apr 30, 2005 12:50 pm
by Hashmat Usmani
ham rahe bhii to badalate hue mausam kii tarah
terii aa.Nkho.n me.n ko_ii aks na Thaharaa apanaa


Musavvir Sabzwarii

Posted: Sat Apr 30, 2005 1:13 pm
by Hashmat Usmani
salaam dosto,

mera Khayaal hai ki ab lafz-e-"MAUSAM" par ash'aar raqam karne kaa waqt aa pahoNchaa hai...aapkii kiaa raaye hai?

Bilal Armaan saaHib aap tashreef laaiye aur is masale par Ghaur o fikr kijiiye. shukria.

Posted: Sat Apr 30, 2005 2:06 pm
by najma
pehle ye soch lena mausim hay barishoN ka
bahar qadam na rakhna tum is andherii shab meiN
khawar qureshi

Posted: Sat Apr 30, 2005 3:29 pm
by Hashmat Usmani
ham rahe bhii to badalte huye mausam kii taraH
terii aaNkhoN meN koii 'aks na Thahraa apnaa


Musavvir Sabzwarii

Posted: Sat Apr 30, 2005 5:14 pm
by najma
kis raah me hay mausim-e-gul, dhoond ke laaao
zakhmoN se mire hogii mudaaraat kahaaN tak
najma

Posted: Sat Apr 30, 2005 7:04 pm
by Hashmat Usmani
mausam kahaaN maantaa hai tahziib kii bandishoN ko
jismoN se baahar nikal ke aNgRaaiyaaN boltii haiN



Nidaa Faazlii

Posted: Sat Apr 30, 2005 7:16 pm
by najma
beeta deed ummeed ka mausim, Khaak uRti hai aaNkhoN meiN
kab bhejo ge dard ka baadal, kab barkha barsaao ge?

Posted: Sat Apr 30, 2005 7:27 pm
by Hashmat Usmani
ham vahii, tum bhii vahii, mausam vahii, manzar vahii
faaslaa baRh jaayegaa itnaa kabhii sochaa na thaa


Ameer Qazalbaash

Posted: Sat Apr 30, 2005 7:31 pm
by najma
mausim kahaaN maantaa hai tahaziib kii bandhishon ko
jismon se baahar nikal ke angaDaa_iyaaN boltii hain

Posted: Sun May 01, 2005 12:57 am
by Hashmat Usmani
jitne mausam haiN sab jaise kahiiN mil jaayeN
in dinoN kaise bataauuN jo fazaa hai mujh meN


Krishn Bihaarii "Noor"

Posted: Sun May 01, 2005 1:02 am
by najma
kis raah me hay mausim-e-gul, dhoond ke laaao
zakhmoN se mire hogii mudaaraat kahaaN tak
najma

Posted: Sun May 01, 2005 2:21 am
by Hashmat Usmani
ab ke to Khizaa.N aisii Thaharii vo saare zamaane bhuul gaye
jab
mausam -e-gul har phere me.n aa aa ke dubaaraa guzare thaa


Faiz AHmad "Faiz"

Posted: Sun May 01, 2005 2:23 am
by najma
pehle ye soch lena mausim hay barishoN ka
bahar qadam na rakhna tum is andherii shab meiN
khawar qureshi

Posted: Sun May 01, 2005 2:27 am
by Hashmat Usmani
'ajab taraH kaa hai mausam k Khaak uRtii hai
vo din bhii the k khile the gulaab aaNkhoN meN


IftiKhaar 'Aarif