is HAFTE kaa lafz hai ... "RAAT yaa SHAB" par ash'

Muntakhab shayari-Baitbaazi-Lafz par Ashaar
ummassad
-
-
Posts: 695
Joined: Tue Nov 08, 2005 3:24 pm

Post by ummassad »

raat bher deeda e namnak main lehratey rahey .
saans ki terha se aap aatey rehy jaatey rahey.
alwaysalone
nau-waarid
Posts: 15
Joined: Tue Dec 19, 2006 4:00 pm
Location: Karachi, Pakistan
Contact:

Post by alwaysalone »

Udaas ShaamoN Ko Kiya Dekh Dekh Rotay Ho
Abhi To AayeNgi RaateN, Lahoo Ugalnay Ki..
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

rat jagooN meN bhee hamdam aek kaef hotaa hai
raae'gaaN naheeN jatee koee raat hijraaN kee!
(Muzaffar A Muzaffar)
ummassad
-
-
Posts: 695
Joined: Tue Nov 08, 2005 3:24 pm

Post by ummassad »

ab chand se cherey pe na youn zulf bikhero.
lehra ke kahin raat na hojaye jawan aor.
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Post by hassan_bashir »

ai shama'a tujh pe raat yeh bhaarii hai jis tarah,
maiN ne tamaam umr guzaarii hai is tarah!!
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
ummassad
-
-
Posts: 695
Joined: Tue Nov 08, 2005 3:24 pm

Post by ummassad »

naam badnaam hey nahaq shab e tanhai ka.
wo bhi aik ruk hey teri anjuman aarai ka.
ummassad
-
-
Posts: 695
Joined: Tue Nov 08, 2005 3:24 pm

Post by ummassad »

raat bhur jalti hey , merti hey, ghuli jati hey.
naam ko shama hey , andaaz hey perwaney ka.
Post Reply