Page 9 of 17
sabaq-aamouz
Posted: Wed Jun 14, 2006 1:39 pm
by Abdullah Nazir
"nasheman phoonkne waale hamaari zindagi yeh hei
kabhi rouye, kabhi sajde kiyhe khaak-e-nasheman per."
Shaayer: Bekhud Mouhaani.
Nazir.
Posted: Mon Jun 19, 2006 9:27 pm
by ummassad
mujhey tuu unki ibadut ph rahem aata hey
jabeen ke saath jo sajdey main ser jhuka nh sakey
sabaqaamouz
Posted: Tue Jun 20, 2006 2:55 pm
by Abdullah Nazir
"thay tou aabaa wo tumhaare hee magar tum kyaa hou
haath per haath dhare muntazir-e-fardaa hou".
Shaayer: Allamah Iqbal
Nazir.
Posted: Fri Jun 30, 2006 1:32 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
wat^an kee fik kar nadaaN muSibat aane walee hai
tiree barbadiyoN ke mashware haiN aasmanooN meN.
iqbal.
sabqaamouz
Posted: Wed Jul 05, 2006 2:56 am
by Abdullah Nazir
"chashmak miri whHshat peh hei kyaa HaZrat-e-naaSeH
Tarz-e-nigah-e-chashm-e-fusooNsaaz tou dekho."
Shaayer: Mumin
Nazir.
Posted: Wed Jul 05, 2006 10:45 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
nah samjho ge miT jao ge ae hindostaaN walo
tumharee dastaaN bhee nah ho gee dastaaN meN.
shaer iqbal
Posted: Fri Jul 07, 2006 3:03 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Saef andaaz-e-bayaaN rang badal deta hai
warnah dunya meN koi bat naee bat naheeN
Saef Uddeen Saed
sabaq amouz
Posted: Sat Jul 08, 2006 5:21 am
by Abdullah Nazir
"taskheer faqaT aglaoN ne Aalam ko kiyaa thaa
aur tuu ne kiyaa hei dil-e-Aalam ko musakhkhar".
Shaayer: Haali
Nazir.
Posted: Sat Jul 08, 2006 2:24 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
dasht meN fikr-e-nasheman kee kashish baRhtee gaee
Dar raha hooN keh pata bhool nah jaooN ghar ka.
HaZ^rat Abdullah Nazir.
sabaq-aamouz
Posted: Sun Jul 09, 2006 5:08 am
by Abdullah Nazir
"qaid-e-Hayaat o band-e-gham aSl meiN dounoN aek heiN
Maut se pahle aadami gham se nijaat paaye kiyuN"
Shaayer: Ghalib
Nazir.
sabaqaamouz
Posted: Fri Jul 14, 2006 6:43 am
by Abdullah Nazir
"ham musaafir thay hamaaraa mustaqar koii nah thaa
raat jab aayi, jahaaN aayi, baseraa hougayaa".
Shaayer: seemaab akbaraabaadi
Nazir.
Posted: Sat Jul 15, 2006 3:06 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
ek rooz khuda ko munh dikhana hai Z^aroor
bande! kabhee ban paRe to nekee karna.
Josh
sabaqaamouz
Posted: Sun Jul 16, 2006 2:47 am
by Abdullah Nazir
"oski burish kare maliulmaut jab khayaal
be-ikhtiyaar houke pukaare keh al-amaaN".
Shaayer:Sauda
Nazir.
Posted: Mon Jul 31, 2006 1:27 pm
by hassan_bashir
aap bhii aaiiye ham ko bhii bulaate rahiYe
dostii jurm naheeN dost banaate rahiYe
sabaqaamouz
Posted: Tue Aug 01, 2006 4:39 am
by Abdullah Nazir
"barang-e-ashk-e-nadaamat giraa jo aankh se maiN
khudaa ke saamne rutbah miraa buland houwaa".
Shaayer: Ameer Meenaayi
Nazir.