Page 9 of 44

Posted: Fri Jan 20, 2006 6:35 pm
by ummassad
udher mouh phair ker kyun zubha karte ho idher deekho
meri gardan pe khanjer ki rawani deekhte jao

pasandeedah

Posted: Sun Jan 22, 2006 2:47 am
by Abdullah Nazir



"kisi ke aate hii saaqi ke aise housh uRe

sharaab seekh pah Daali kabaab sheeshe meiN".




Nazir.


Posted: Sun Jan 22, 2006 6:07 am
by Mohib
haasil-e-Kun hai ye jahaan-e-Kharaab
ye hii mumkin thaa itnii ujlat meN

Jaun Elia

pasandeedah sheAr

Posted: Tue Jan 24, 2006 7:03 am
by Abdullah Nazir



"sanbhalne de mujhe ai naa-umeedi kyaa qiyaamat hei

keh daamaan-e-khayaal-e-yaar chooTaa jaaye hei mujh se."


Shayer: Ghalib.


Nazir.


Posted: Fri Jan 27, 2006 4:35 am
by ummassad
chupa ker aasteen main bijlian rahi hain gardoun ne
anadil baag ke gafil nh baithen aashiyanoon main

"pasandeedah"

Posted: Sun Jan 29, 2006 4:22 am
by Abdullah Nazir



"pilaa her aek ko her aek per navaazish kar

magar yeh sharT hei pahle mujhe pilaa ke pilaa".


Shaayer: Maikash Hyderabadi.


Nazir.


Posted: Mon Jan 30, 2006 6:31 pm
by ummassad
mujh tak kb unkin bazam main aata tha jam-e- may
saaqhi ne kuch mila na diya ho sharaab main

Posted: Tue Jan 31, 2006 3:55 am
by Hashmat Usmani
kahaaN kaa aanaa, kahaaN kaa jaanaa, vo jaante hii nahiiN yeh rasmeN
vahaaN hai va'de kii bhii yeh soorat, kabhii to karnaa kabhii na karna


DaaGh

Posted: Thu Feb 02, 2006 11:33 pm
by ummassad
rahmat pe teri mere gunahoon ko naaz hy
banda hoon jaanta ki tuu banda nawaaz hy

pasandeedah

Posted: Mon Feb 06, 2006 2:44 pm
by Abdullah Nazir



"pattah pattah booTa booTa Haal hamaaraa jaane hei

Jaane nah jaane gul hi nah jaane baagh tou saara jaane hei."


Shayer: Meer


Nazir.


Posted: Tue Feb 07, 2006 3:25 am
by ummassad
qafus main mujh se rudad-e-chman kahte na der hamdam
giri ho jis pe kal bijli vo mera aashiyan kyun ho

Posted: Tue Feb 07, 2006 4:29 am
by Hashmat Usmani
nazar ko Khaira kartii hai chamak tahzeeb-e-Haazir kii
yeh sannaa'ii magar jhooTe nagoN kii reza_kaarii hai


'allaamah Iqbaal

Posted: Thu Feb 09, 2006 2:18 am
by ummassad
dekha jo teer khake kameengha ki taruf
apne hi doostoun se mulaqaat hogai

Posted: Thu Feb 09, 2006 3:22 am
by Daanish
gul pheNke hai aalam ki taraf, balke samar bhi
ai khaana bar andaaz-e-chaman! kuch tau idhar bhi--Sauda

Posted: Thu Feb 09, 2006 6:40 am
by Daanish
khaak meiN woh tapish nahiN, khaar meiN woh khalish nahiN
kyoN na hameN zyaada ho? josh-e-junooN bahaar meiN--Momin