Page 9 of 29

???

Posted: Sat Feb 11, 2006 1:55 pm
by Abdullah Nazir



kyaa kahooN raat kii tanhaayi meiN kyaa gham hei mujhe

poochnaa hei tou mire dushman-e-jaaN se poochou.


Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Feb 11, 2006 7:31 pm
by ummassad
aasiqi sebr taleb aor tamenna betaab
dil ka kya rang karoun khoon-e-jigar hone tk?

Posted: Sun Feb 12, 2006 4:55 am
by Daanish
bhulaata laakh huN, lekin baraabar yaad aate haiN
ilaahi! tark-e-ulfat par woh kyoN kar yaad aate haiN?--Hasrat Mohaani

Posted: Mon Feb 13, 2006 6:12 pm
by ummassad
huye mer ke hum jo ruswa huye kyun na garq-e-darya
na kabhi janaza uthta na kahin mazaar hota

???

Posted: Tue Feb 14, 2006 4:16 am
by Abdullah Nazir



tairnaa seekhnaa chaahooN bhi tou kaise seekhuN

kardiyaa maujaoN ne ToofaaN ke Havaale mujhko.


Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Tue Feb 14, 2006 12:29 pm
by Daanish
Na gor-e-Sikandar, na hai qabr-e-Daara
mitay naamiyoN ke nishaaN kaise kaise?-Hyder Ali Aatish

???

Posted: Tue Feb 14, 2006 2:03 pm
by Abdullah Nazir



kyaa sitam Dhaayaa tiraa girnaa miri aaghoush meiN

tujhko qaatil kehne waale keh paRe qaatil mujhe.


Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Tue Feb 14, 2006 4:38 pm
by Daanish
aah ka kis ne asar dekha hai?
hum bhi ik apni hawaa baandhte haiN--Ghalib

???

Posted: Tue Feb 14, 2006 11:27 pm
by Abdullah Nazir



waaye badbakhtiy-e-aawaaragiy-e-shaam o saHar

kyaa yehi ham yehi SeHraa o bayaabaaN hounge.


Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Wed Feb 15, 2006 2:16 am
by Daanish
jab woh jamal-e-dil_faroz, suurat-e-mehr-e-neem_roz
aap hi ho nazaara_soz, parde meiN muNh chhupaaye kyoN?--Ghalib

???

Posted: Wed Feb 15, 2006 2:56 am
by Abdullah Nazir



jeene de aur nah marne de Aahd-e-wafaa mujhe

tum ne yeh kis gunaah kii dii hei sazaa mujhe?


Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Wed Feb 15, 2006 5:29 pm
by ummassad
kisi ko deke dil koi nawaseng.e.figaan kyun ho
no ho jb dil hi seene main tu phir muh main zuban kyun ho

???

Posted: Thu Feb 16, 2006 2:49 am
by Abdullah Nazir



Shaakh-e-gul hei nah gulsitaaN apnaa

aashyaanah kahaaN banaayenge?


Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Feb 18, 2006 6:35 am
by ummassad
tha jalana hi agar doori.e.saaqi se mhjhey
tu chirag.e.der.e.maighana banaya hota

sawaaliah sheAr ???

Posted: Sat Feb 18, 2006 11:53 am
by Abdullah Nazir



Tum ko kyaa houaa aakhir door door rehte hou aasmaan ke maanind

manzil-e-muHabbat ke raaste meiN kyaa ab tak kuch ghubaar baaqi hei.


Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.