Page 9 of 10

Posted: Thu Jul 26, 2007 2:52 pm
by balvinder
bekasii meN bhii guzar ho jaayegii
dil ko maiN aour dil mujhe samjhaa gayaa


aarazoo luchnavi

Posted: Sat Jul 28, 2007 12:12 am
by rukhsar
voh meray seenay pay sir rakh kar abhi soyaa hay DIL
chand lamhoN kay liay to bhi dhaRknaa choR day
............
rukhsar

Posted: Wed Aug 01, 2007 1:59 am
by rukhsar
kal jahan par , DIL , likha thaa vo jaghah kamzor thee
hum nay dil kataa wahan say aur pathther likh diyaa
.................

Posted: Sun Aug 05, 2007 10:57 pm
by hassan_bashir
raushnii k liye dil jalaana paRa,
aisii zulmat paRi tere jaane k baad! :?

Posted: Tue Aug 07, 2007 10:35 am
by balvinder
dil hi se hai vaabastaa yah haNgaama-e-hastii
Dooba ye safiina to yah toofaaN na rahegaa

Posted: Wed Aug 08, 2007 11:15 am
by hassan_bashir
basa hai kaun tire dil meiN gul-badan hai "Dard"
k boo gulaab kii aa'ii tire paseene se !!!!!!!!!!!!!! :rose

Posted: Thu Aug 09, 2007 10:26 am
by balvinder
jigar sulge, lahoo uble badan meN
magar aaye na maathe par pasiina


''sa'eed'' aKhtar

Posted: Sat Aug 11, 2007 4:09 am
by ummassad
dil ka khoon ban ban ker zindagi ke daman per.
ab tu ak aik khatra aasoun ka dhalta hey.

Posted: Thu Aug 16, 2007 12:11 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Jigar meN dard ho to aaNkh se aansu tapakte haiN
magar u'shshaaq beher-e-a'aashaqee bardasht karte haiN
(Muzaffar A Muzaffar)

Posted: Sun Aug 19, 2007 2:23 am
by ummassad
youn tarup ke dil ne terpaiya ser e mahfil mujhey.
usko qatil kahneywaley keh uthey qatil mujhey.

Posted: Sun Aug 19, 2007 8:54 pm
by hassan_bashir
na hogaa dil hii seene meiN kahaaN par tiir aayeN ge,
na hogaa mezabaaN phir naaz-e-mehmaaN kaun dekhe ga!

Posted: Sat Sep 01, 2007 6:12 pm
by ummassad
DIL main tanhai ke zakhmoun ke kanwal khiltey rahey.
khushk lamhaat tu patoon ki terha urtey rahey.

Posted: Tue Sep 04, 2007 9:30 pm
by ummassad
asar paband e betabi nahin tu zabt bhi kyun ho .
bala se haal e dil kuch bhi sahi naguftagi kyun ho.

Posted: Fri Sep 07, 2007 9:23 pm
by ummassad
jo dil ko kisi humdam o humraaz ki zarurat ho.
shajer hajer se kahoo aadmi se kuch na kaho.

Posted: Tue Dec 04, 2007 4:47 pm
by zmufti
jo bhee daroon-e-dil hai vo baahir na aaye ga
ab aagahi ka zahr zabaaN par na aaye ga