Page 9 of 18
"ye"
Posted: Fri Dec 15, 2006 12:25 pm
by Abdullah Nazir
b]
yeh bhee kyaa aazaadiy-e-guftaar hei ai dousto
garmiy-e-souz-e-sukhan zaalim ki Tannazah nah hou.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
[/b]
"ye"
Posted: Sat Dec 16, 2006 5:05 am
by Abdullah Nazir
yeh kyaa mazaaq hei mujh se hee chup rahe hou tum
hazar pardaoN meiNH chupkar bhee chup naiN sakte..
Shaayer: Abdullah Nazir.
"ye"
Nazir.
Posted: Sat Dec 16, 2006 8:15 am
by hassan_bashir
yaa rab! Gham-e-hijraaN meiN itanaa to kiyaa hotaa
jo haaaaaath jigar pe hai vo dast-e-duaaaaaaa hotaa
"alif"
Posted: Sun Dec 17, 2006 6:13 am
by Abdullah Nazir
apne ashkaoN ke samundar ko kahaaN le jaaooN
jab nazar aayeN nah ghamkhwaar bhee ghamkhwaar mujhe.
Shaayer: Abdullah Nazir.
"ye"
Nazir.
"meem"
Posted: Mon Dec 18, 2006 3:28 am
by Abdullah Nazir
mushshaatagi0e0zulf meiN maSroof hou kab se
mushkil ko miri kis liye aasaaN nahiN karte.
Shaayer: Abdullah Nazir.
"ye"
Nazir.
"noon"
Posted: Mon Dec 18, 2006 7:53 pm
by Abdullah Nazir
naakhun-e-housh se Hal hou nah sakegi uljhan
mushkileN meri bigaR jaayengi aasaaN houkar.
Shaayer: Abdullah Nazir
"ray"
Nazir.
Posted: Mon Dec 18, 2006 7:58 pm
by hassan_bashir
raaz kee baateN likhiiN aur khat khula rehne diyaa
kyuuuN hameN rusvaaiiyoN ka silsil a sehne diyaa
:alif:
"alif"
Posted: Tue Dec 19, 2006 2:25 pm
by Abdullah Nazir
uske khud bedaar-e-shab-e-gham kab se heiN
chaand ko apne paas bulaakar dekhenge.
Shaayer: Abdullah Nazir.
"ye"
Nazir.
Posted: Wed Dec 20, 2006 7:21 pm
by zmufti
yeh jo deewaane se do chaar nazar aate haiN
in meN kuch saheb-e-israar nazar aate heN
Posted: Thu Dec 21, 2006 7:58 am
by hassan_bashir
na jaana aaj-tak kyaa shay khushii hai
hamaari zindagii bhii zindagii hai!!!!!!!!
Posted: Sun Dec 24, 2006 6:21 am
by hassan_bashir
eik Khurshiid se mansuuuuub haiN din raaaaaaat mere
dhuup huuN yaa koii saayaa huuN mujhe kyaa maaluum
Posted: Mon Dec 25, 2006 7:14 am
by balvinder
mujhe daraataa hai baaghbaa'n kyo'n too bijliyo'n kee chamak-damak se
jalegaa jalne de aashiyaa'n ko, chanan ko to raushanee milegee
Posted: Mon Dec 25, 2006 11:56 am
by hassan_bashir
yahii bahuut hai k dil us ko DhuuND laaya hai
kisii k saath sahii voh nazar to aayaaaa hai!!
Posted: Mon Dec 25, 2006 12:29 pm
by balvinder
yoo'n to vafaa shiaar hoo'n, khair main bevafaa sahee
meraa yaqeen bhee nisaar aap ke ishtibaah par
"ray" se
Posted: Tue Dec 26, 2006 1:59 am
by Abdullah Nazir
raat kee zulf kaTne nah paayi magar
jagmagaate houe meh-jabeeN aagaye.
Shaayer:Abdullah Nazir.
Nazir.