Page 9 of 65
Posted: Sun Mar 27, 2005 7:44 am
by Hashmat Usmani
Khaamosh tum bhii the aur Khaamosh maiN bhii thaa
phir vo kaun thaa jo itnii der boltaa rahaa
phir/rahaa
"phir"
Posted: Sun Mar 27, 2005 7:55 am
by Abdullah Nazir
Phir aaj chiRgaieeN tasveer-e-yaar kii baateN
sunaaooN kis ko dil-e-beqaraar kii baateN
(sunaaooN / baateN)
Nazir.
"ham"
Posted: Mon Mar 28, 2005 1:01 pm
by Abdullah Nazir
Ham ko apne dil pah ab qaaboo nahiN
phool kii khushboo nahiN aur tuu nahiN
(phool / nahiN)
Nazir.
Posted: Tue Mar 29, 2005 2:31 am
by Hashmat Usmani
nahiiN minnat_kash-e-daam-e-shuniidan daastaaN merii
Khamoshii guftugu hai, be_zubaanii hai zubaaN merii
'allaamah Iqbaal
Khamoshii/Khaamoshii/Khaamshii / merii
Posted: Tue Mar 29, 2005 5:52 am
by Hashmat Usmani
kia kia na sahe ham ne sitam, aapkii Khaatir!
yeh jaan bhii jaaayegii, sanam, aapkii Khaatir
yeh/Khaatir
"tum"
Posted: Tue Mar 29, 2005 5:26 pm
by Abdullah Nazir
Tum ne tou Taal diyaa bataoN hii baataoN meiN mujhe
chain kii neend moyassar nahiN raataoN meiN mujhe
(chaiN / mujhe)
Nazir.
Posted: Wed Mar 30, 2005 5:23 am
by Hashmat Usmani
muje ab dekh kar abr-e-shafaq_aaloodah, yaad aayaa
ki furqat meN tiri, aatish parastii thii gulsitaaN par
ki/par
Posted: Wed Mar 30, 2005 5:56 am
by Hashmat Usmani
haiN aur bhii dunyaa meN suKhan_war bahot achchhe
kahte haiN ki "Ghaalib" kaa hai andaaz-e-bayaaN aur
kahte/aur
Posted: Wed Mar 30, 2005 7:43 am
by Ibn-e-siddique
kehte ho na deN ge ham, dil agar paRaa paaya
dil kahaaN ke gum keeje, ham ne muda'aa paaya
dil / paaya
"dil"
Posted: Wed Mar 30, 2005 8:41 am
by Abdullah Nazir
dil dhaRaktaa rahaa, ummeed-e-mulaaqaat rahi
shaam-e-hijraaN thaa Ajab Haal saHar houne tak
(shaam / tak)
Nazir.
Posted: Thu Mar 31, 2005 12:07 pm
by Ibn-e-siddique
Hai mujhe pe taa'na zan khud mera aHsaas
tamanna apni qeemat kho rahi hai
khusha ye tarz-e-taa'zeem-e-moHabbat
ye taa'zeem-e-moHabbat ho rahi hai
gham-e-furqat ka shikva karne vaali
meri maujoodgi meiN so rahi hai
meri / hai
"merii"
Posted: Thu Mar 31, 2005 4:51 pm
by Abdullah Nazir
Meri her baat ko baataoN meiN uRaadete hou
kin gunaahaoN kii khudaa jaane sazaa dete hou
(kin / hou)
Nazir.
Posted: Fri Apr 01, 2005 12:14 pm
by Ibn-e-siddique
ho gayee phir kisi khayaal meiN gum
tum miree aadateN na apnaao
jaun eliya
tum / apnaao
"ab"
Posted: Sat Apr 02, 2005 2:35 pm
by Abdullah Nazir
ab tak heiN khush naseeb jo baaham heiN dousto
dunyaa meiN purkhuloos bahut kam heiN dousto
(dunyaa / dousto)
Nazir.
Posted: Sun Apr 03, 2005 4:20 am
by Hashmat Usmani
dunyaa kii maHfiloN se uktaa gayaa huuN, yaa Rabb!
kia lutf anjuman kaa? jab dil hii bujh gayaa ho!
kia/ho