Page 9 of 43

Posted: Sun May 01, 2005 4:07 am
by Hashmat Usmani
baat niklegii to phir duur talak jaayegii

log be_vajh udaasii kaa sabab puuchheNge
yeh bhii puuchheNge k tum itnii pariishaaN kiuN ho
uNgliyaaN uTheNgii suukhe huye baaloN kii taraf
ik nazar dekheNge guzre huye saaloN kii taraf
chuuRiiyoN par bhii kaii tanz kiye jaayeNge
kaaNpte haathoN pe bhii fiqre kase jaayeNge


Kafeel "Aazar"

Posted: Sun May 01, 2005 1:53 pm
by najma
eid aeygii har baras, lekin
chooRiyaaN kaun le ke aeyga
najma

Posted: Mon May 02, 2005 5:40 am
by Hashmat Usmani
tere haathoN meN nau_nau chooRiiyaaN haiN
zaraa Thehro, sajan! majbooriiyaaN hai


Anand BaKhshii

Posted: Tue May 03, 2005 12:19 am
by najma
ham baa-wafaa thay, is liye nazroN se gir gaey
shayad tumheN talaash kisi be-wafa ki ho

Posted: Tue May 03, 2005 4:40 am
by Hashmat Usmani
agar be-vafaa tujhko pahchaan jaate
Khuda kii qasam! ham moHabbat na karte
jo ma'loom hotaa, yeh anjaam-e-ulfat!
to dil ko lagaane kii jurrat na karte


Hasrat Jaipuri

Posted: Tue May 03, 2005 12:53 pm
by najma
jab se ye khulaa us zalim par, such kehta hay aaina
khauf aane laga hay khud usko mehfil meiN aainoN se
khawar qureshi

Posted: Tue May 03, 2005 12:57 pm
by Hashmat Usmani
dostoN kii buraaii, jab kiyaa kijiiye
aaiinaa saamne rakh liyaa kijiiye


[naa_ma'loom]

Posted: Tue May 03, 2005 7:45 pm
by najma
is tarha zamana mira dam-saz hua tha
acha na laga main, to bura kehne lage log
khawar qureshi

Posted: Tue May 03, 2005 9:51 pm
by Hashmat Usmani
in nauHa_garoN kaa jis ne hameN Khud qatl kiyaa, Khud rote haiN
aise bhii kahiiN dam_saaz huye, aise jallaad bhii hote haiN


AHmad Faraaz

Posted: Tue May 03, 2005 10:58 pm
by najma
rehm ki bheek tah-e-teiGh na maangii ham ne :-)
jaan apni sahii :roll: , jallaad to sarkaarii hay :twisted:
najma

Posted: Wed May 04, 2005 1:25 am
by Hashmat Usmani
khiNch ke, qaatil!, jab tirii shamsheer aadhii rah gaii
Gham se jaan-e-'aashiq-e-dil_geer aadhii rah gaii


Bahaadur Shaah "Zafar"

Posted: Wed May 04, 2005 1:32 am
by najma
jab mirii jaaN ko laga rog Gham-e-hastii ka
phir masiihaa hi koee chara-garii ko na mila
khawar qureshi

Posted: Wed May 04, 2005 2:40 am
by Hashmat Usmani
raatoN ko uTh uTh rote haiN
ro ro kar duaayeN karte haiN
aaNkhoN meN tasavvur, dil meN Khalish
sar dhunte haiN, aaheN bharte haiN
ai 'ishq! yeh kaisaa rog lagaa
jiite haiN na zaalim marte haiN
yeh zulm to, ai jallaad! na kar
ai 'ishq! hameN barbaad na kar

Posted: Wed May 04, 2005 10:23 am
by najma
sara_j wrote:raaton ko uth ke chaand mein tasweer dekhna

hum ho chale hain Meer Taqi Meer dekhnaa

:lol:

tasweer teri dil mira behlaa na sake gii
ye teri tarah mujh se to sharma na sake gii

Posted: Wed May 04, 2005 10:33 am
by Hashmat Usmani
raateN thiiN chaandnii, joban pe thii bahaar
dil jhoom jhoom ke kahtaa thaa baar baar


[naa_ma'loom]