Page 9 of 9
Posted: Sun May 01, 2005 2:28 am
by najma
udaas kaaGazii mausam me.n rang-o-buu rakh de
har ek phuul ke lab pe meraa lahuu rakh de
Posted: Sun May 01, 2005 3:50 am
by Hashmat Usmani
kah gayaa maiN saamne us ke jo dil kaa mudd'a
kuchh to mausam bhii 'ajab thaa, kuchh merii himmat bhii thii
Muniir Niaazii
Posted: Sun May 01, 2005 2:02 pm
by najma
koi badal naye mausim ka phir elaan karta hai
khizaaN ke baaGh main jab ek pa tta bhi nahi reh,ta
Posted: Sun Feb 19, 2006 11:01 pm
by ummassad
rang pyrahen ka khushbu zulf lehrane ka naam
MOUSAM.e.gul hy tumhare baam per aane ka naam
"mausam"
Posted: Thu Feb 23, 2006 2:36 am
by Abdullah Nazir
mausamaoN ki tabdeeli hei mizaaj meiN tere
aur mere dil meiN hei Sirf pyaar kaa mausam.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir,