Page 10 of 17
sabaq-aamouz
Posted: Fri Mar 31, 2006 2:41 am
by Abdullah Nazir
"nizaam-e-beHr meiN khoukar sanbhal jaa
taRap jaa pech kha khaakar badal jaa
nahiN saaHil tiri qismat meiN ai mauj
ubhar kar jis Taraf chaahe nikal jaa".
Shaayer: Allamah Iqbal
Nazir.
pasandeedah
Posted: Tue Apr 11, 2006 3:39 pm
by Abdullah Nazir
"binaaye kaAbah paRti hei jahaaN ham khisht-e-khum rakhdeN
jahaaN saagar paTak deN chashma-e-zam zam ubaltaa hei."
Nazir.
pasandeedah
Posted: Tue Apr 11, 2006 3:39 pm
by Abdullah Nazir
"binaaye kaAbah paRti hei jahaaN ham khisht-e-khum rakhdeN
jahaaN saagar paTak deN chashma-e-zam zam ubaltaa hei."
Nazir.
Posted: Sun Apr 16, 2006 11:24 am
by Daanish
sabz hi hoti nahiN yeh sar zameeN
tukhm-e-khwaahish, dil meiN tu bota hai kyaa?--Meer
sabaqaamouz
Posted: Mon Apr 17, 2006 1:39 am
by Abdullah Nazir
"HirS ke phailte heiN paauN baqadr-e-wusAat
tang hii rehte heiN dunyaa meiN faraaghat waale."
Shaayer: naa-maAloom
Nazir.
Posted: Mon Apr 17, 2006 2:54 am
by Daanish
kam fursati-e-gul jo kaheN, koi na maaneN
aise gaye ayyaam-e-bahaaraaN, ke na jaane---Meer
sabaq-aamouz
Posted: Mon Apr 17, 2006 10:40 pm
by Abdullah Nazir
"Sadaaqat aafreeni talkh houti hei magar hamdam
jo ahl-e-zarf houte heiN vohi bardaasht karte heiN."
Shaayer: MuSHafi.
Nazir.
sabaq-aamouz
Posted: Mon May 08, 2006 1:03 pm
by Abdullah Nazir
"hei do raahaa Adam o hast kaa dushwaar guzaar
nah idhar houti hei dunyaa nah udhar houti hei.".
Shaayer: Seemaab Akbaraabaadi.
Nazir.
sabaq-aamouz
Posted: Sat May 20, 2006 11:18 pm
by Abdullah Nazir
"seekh ab meri nazar se Husn ki zebaayisheN
saikRouN zebaayisheN bhardeeN tiri taSveer meiN".
Shaayer: Qamar Jalaalavi
Nazir.
Posted: Tue May 23, 2006 8:03 am
by hassan_bashir
baDe logoN se milne maiN humesha faasila rakhnaa,
jahaaN dariYa samaNdar se mile dariYa nahiN rehtaa!
sabaq-aamouz
Posted: Tue May 23, 2006 11:26 pm
by Abdullah Nazir
"dekhte kiyuN ho Shikeb itni bulaandi ki Taraf
nah uThaayaa karo sar ko keh yeh dastaar gire."
Shaayer: Shikeb Jalaali.
Nazir.
Posted: Wed May 31, 2006 7:20 am
by hassan_bashir
aap bhii aaiiYe hum ko bhii bulaate rahiYe,
dostii jurm nahiiN dost banaate rahiYe !!!!!
sabaq-aamouz
Posted: Thu Jun 01, 2006 11:56 am
by Abdullah Nazir
"Khud faramoush hooN maiN ishq faraamoush nahiN
Bhooltaa tujhko to kehtaa tiri yaad aayi hei."
Shaayer: Khwajah Shauq
Nazir.
pasandeedah
Posted: Thu Jun 08, 2006 8:43 pm
by Abdullah Nazir
"hawaa ke saath phire chaar samt aawaarah
qadam uThhaaye jo raftaar per zamaane ki."
Shaayer: Yaganah Changezi :Yaas:
Nazir.
Posted: Sat Jun 10, 2006 12:20 pm
by Zahid Jahangir
salwaTeN hain mere chehre pe to hairaaN kiyoN ho
zindagi ne mujhe kuch tujh se ziyada pehna
Ahmad Faraz