Page 10 of 44
Posted: Fri Feb 10, 2006 3:53 am
by ummassad
khulta kisi pe kyun mere dil ka mamila
shairoun ke intikab ne ruswa kiya mujhe
pasandeedah
Posted: Fri Feb 10, 2006 4:40 am
by Abdullah Nazir
"wo kyaa badal gaye ke zamaanah badal gayaa.
yaksaaN mizaaj-e-shoAlah o shabnam hei in dinoN"
Shayer: Khumaar Barabankwi.
Nazir.
Posted: Fri Feb 10, 2006 1:57 pm
by Daanish
be ishq umr kat nahiN sakti hai, aur yaaN
taaqat, ba qadr-e-lazzat-e-aazaar bhi nahiN--Ghalib
pasandeedah
Posted: Sat Feb 11, 2006 2:19 pm
by Abdullah Nazir
"muHabbat meiN ik aisaa waqt bhii aataa hei insaaN per
sitaaraoN ki chamak se chouT lagti hei rag-e-jaaN per."
Shayer: Seemaab Akbaraabaadi.
Nazir.
Posted: Sun Feb 12, 2006 1:45 am
by ummassad
omr bher likhte rehe phir bhi warq sada raha
jane kye lafz thy hum se jo tahrrer na huay
Posted: Sun Feb 12, 2006 4:46 am
by Daanish
DhoonDoge agar mulkoN mulkoN, milne ko nahiN naayaab haiN hum
ta'abiir hai jis ki hasrat-o-gham, ai hamnafaso! woh khwaab haiN hum--Shaad Azeemabadi
Posted: Mon Feb 13, 2006 7:45 pm
by ummassad
fana ke baad parwane ki maiyat bhi nahi uthti
yahi anjam hota hy mohabat karne waloun ka
Posted: Tue Feb 14, 2006 12:12 pm
by Daanish
aawaargaan-e-ishq ka poochha jo maiN nishaaN
musht-e-ghubaar leke sabaa ne uRa diya--Meer
pasandeedah
Posted: Fri Feb 17, 2006 2:33 am
by Abdullah Nazir
"aankheN baRi baRi heiN magar dil baRaa nahiN
us bewafaa ko kaam kisi se paRaa nahiN."
Shayer: naamaAloom.
Nazir.
Posted: Fri Feb 17, 2006 4:10 am
by Daanish
hai kahaaN tamanna ka doosra qadam ya rab
hum ne dasht-e-imkaaN ko ek naqsh-e-paa paaya--Ghalib
Posted: Sat Feb 18, 2006 6:16 am
by ummassad
her gaam pe hukra ke gira jata houn .manind.e.naqs kafe pe ban ke mita jata houn
tu bhi tu sambhal ay mere dene wale .main baar amanat se daba jata houn
Posted: Sun Feb 19, 2006 10:41 pm
by ummassad
na kahin jahan main amaan mili jo amaan mili tu kahan mali
mere jurm haaye siyaah ko tere aafu.e.bandanawaz main
pasandeedah
Posted: Mon Feb 20, 2006 3:01 am
by Abdullah Nazir
"mere ibhaam pah houti hei taSadduq tauZeeH
mere ijmaal se karti hei taraavish tafSeel."
Shaayer: Ghalib.
Nazir.
pasandeedah
Posted: Wed Feb 22, 2006 1:41 am
by Abdullah Nazir
Chain kab mujhko hei khooN-gashtah tamannaoN se
mujhko seene se lagaalo miraa saaHil houjaao.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
pasandeedah
Posted: Wed Feb 22, 2006 2:09 am
by Abdullah Nazir
"pilaa her aek ko her aek per navaazish kar
magar yeh sharT hei pahle mujhe pilaa ke pilaa."
Shaayer: SaaHibzaadah Maikash Hyderabadi
Nazir.