Page 10 of 29
Posted: Sun Feb 19, 2006 10:32 pm
by ummassad
naale bulbul ke sunoun aor hamatun goosh rahoon
humnawa main bhi koi gul houn ki khamoosh rahoon
???
Posted: Mon Feb 20, 2006 3:15 am
by Abdullah Nazir
ishrat-e-saaya-e-gul yaad dilaate kiyuN hou
khwaab meiN aate hou kiyuN neend uRaate kiyuN hou.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
???
Posted: Tue Feb 21, 2006 12:11 pm
by Abdullah Nazir
kiyuN maangte hou mujh se tabassum ik jhalak
kyaa reh gayaa TabeeAat-e-aashuftah-Haal meiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
???
Posted: Wed Feb 22, 2006 1:46 am
by Abdullah Nazir
sitamgar teghzun pehchaan legaa apne :Nazir: ko
bhalaa kaise rahegi sakht jaani aankh se aujhal?
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
???
Posted: Wed Feb 22, 2006 2:14 am
by Abdullah Nazir
kyaa wo be-dard hei jo dil se nikaalegaa mujhe
yeh agar sach hei tou phir kaun sanbhaalegaa mujhe.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
???
Posted: Wed Feb 22, 2006 3:56 am
by Abdullah Nazir
falak per chaand ke maanand tum kiyuN doo hou mujh se
chale aaou keh saavan ki ghaTaa kuch aur kehti hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
???
Posted: Thu Feb 23, 2006 8:50 pm
by Abdullah Nazir
kitnaa naadaan hooN kaisi hei yeh Hasrat meri
paabajaulaaN rahooN aur paauN meiN zanjeer nah hou.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
???
Posted: Mon Feb 27, 2006 12:06 am
by Abdullah Nazir
meri her baat ko baataoN meiN uRaadete hou
kin gunaahaoN ki khudaa jaane sazaa dete hou.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Feb 27, 2006 2:55 am
by ummassad
hum hain mushtaq aor vo bezaar
ya ilahi yh magira kya hy?
???
Posted: Mon Feb 27, 2006 7:32 pm
by Abdullah Nazir
zindagi bhar kii tag o dau kaa nateejah kyaa houaa
chund tinke bhi nahiN heiN aashyaane ke liye.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
???
Posted: Fri Mar 03, 2006 1:16 am
by Abdullah Nazir
umr bhar ulfat-e-baaham kii qasam TooT gayi
kyaa houaa tujhko tiri baat ne badli karvaT?.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Fri Mar 03, 2006 4:26 pm
by ummassad
jamma kerte ho kyun raqiboun ko
ak tamasha hua gila na hua
???
Posted: Fri Mar 03, 2006 4:49 pm
by Abdullah Nazir
shamA kiyuN shoAla-e-jaankaah se ghabraati hei
maiN isi aag meiN jal jal ke tou parvaanah banaa.
shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Mar 05, 2006 7:04 pm
by ummassad
tumhare pyami ne sub raaz khoola
khata isme bande ki sirkar ky thy?
???
Posted: Sun Mar 05, 2006 7:24 pm
by Abdullah Nazir
mubtalaay-e-ranj o gham ke rouz o shab kaa zikr kyaa
be iraadah shehr-e-naapursaaN meiN aakar dekhiye.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.