Page 10 of 18
Posted: Thu Dec 28, 2006 9:51 am
by balvinder
tere aage kahte hain gul kholkar vaazuoo-e-barg
gulshan-e-aalam se hain tayyaar, urh jaane ko ham
meem
Posted: Sat Dec 30, 2006 6:10 pm
by Abdullah Nazir
MaiN gurezaaN nahiN izhaar-e-Haqeeqat se magar
Darrahaa hooN keh nah houjaaye pashemaaN koiee.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
[/color[
"ye"
Posted: Wed Jan 03, 2007 5:03 am
by Abdullah Nazir
yaad aajaate heiN jab waAda o paimaaN tere
ungliyaaN DhoonDti heiN gaisoo-e-paichaaN tere. .
Shaayer: Abdullah Nazir.
"ye"
Nazir.
Posted: Fri Jan 05, 2007 6:56 am
by ROSE
ye khamoshee hai habs ka baa'is
anjuman mein dur-e-sukhan kholo
NEXT bolo--------------------
"wawo"
Posted: Sat Jan 06, 2007 6:10 am
by Abdullah Nazir
Wo meraa ZabT-e-shauq-e-dil wo uskaa moNh chupaalenaa
bhulaadooN kis TaraH se Hasrat-e-deedaar kee baateN.
"noon"
Nazir.
Posted: Sat Jan 06, 2007 3:33 pm
by Zee
voh mera saamne aane se ghabrana voh sharmana
voh tera shauq se parday ko waa kardena mehfil mein
"noon"
Posted: Sun Jan 07, 2007 2:05 am
by Abdullah Nazir
naazish-e-khud-aagahi hou yaa ghuroor-e-Husn hou
yuN bhee kyaa miltaa hei koyee bhool jaane ke liye.
"ye"
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Jan 07, 2007 2:15 am
by Zee
yeh meri zulf ke saaye suhnere
tere shaane pe uljhay hain bikhre
"ye"
Posted: Sun Jan 07, 2007 2:31 am
by Abdullah Nazir
yeh bhee kyaa kam hei keh hooN Aihd-e-wafaa per aayim
LuT gayaa hei tou balaa se sar o saamaaN apnaa.
"alif"
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Jan 07, 2007 2:42 am
by Zee
ajee rehne do chhoro jaane bhi do
karo bas pyar ki baaten tum hamse
"noon"
Posted: Sun Jan 07, 2007 2:53 am
by Abdullah Nazir
nah dunyaa nah amwaal o zar chaahiye
tumhaare karam kee nazar chaahiye.
"ye"
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Jan 07, 2007 2:55 am
by Zee
yehi dilki sadaa hai
ke tu ho paas mere
"ye"
Posted: Sun Jan 07, 2007 3:04 am
by Abdullah Nazir
yeh bhee mumkin hei ke tum paas bulaalo mujhko
dil meiN hei pyaar tou seene se lagaalo mujhko.
"wawo"
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Jan 07, 2007 3:07 am
by Zee
vohi din yaad aate hain ab mujko
pehle pehel jab ham milay they
Posted: Wed Jan 10, 2007 11:34 am
by ahm4me
yaadoN ki jaReN phooT hi paRti haiN kaheeN se
dil sookh bhi jata hay to banjar naheeN hota