Anmol wrote:Star Mind wrote:moHtaramaat-o-moHtarameen-e-meHfil, aadaab
Tasleemaat.
shukriyaa
aap log soch rahe hoNge k Zia SaaHib ko aaKhir ho kyaa gayaa hai k safar maiN bhi dhaRaa dhaR GhazleN keh rahe haiN
kyaa kareN ? aap hi bataayeN safar maiN tanhaaii ka aur kyaa i'laaj kareN ? .
Apne jese kisi aur tanha ko DhoonDiye, jab do tanha mil jayeNge to tanhayi kahiN door chali jayegi.
jee jee bajaa farmaaya aap ne ......talaash jaari hai
aaj jaise hi ustaad-e-moHtaram k deye gaye t^araHi misr'a par paRee , foran se paishtar hi Ghazal ka nuzool hogayaa , aur ham chaley aaye aap ki a'dalat maiN us gustaaKh ko paish karne !! :P . ab jo chaaheN aap us k saath sulook kareN !
to lejeye Ghazal Haazir hai !!
:: Roman Version ::
1.
aao hamdam aaj ik wa'daa kareN !
i'shq sey aaraai,sh-e-dunyaa kareN ! 8)
2.
ban k baadal, pyaar maiN barsaa kareN !
saath mil kar dasht ko daryaa kareN !!
3.
qarya qaryaa , koo-ba-koo ghomma kareN !
apne apney Husn kaa charchaa kareN !! 8)
4.
kyoN na aye dil koi haNgaamaa kareN ?
kuch nahiN to Hashr hii barpaa kareN !!
Bohot khoob. BaRe naik irade heN.
hai na ? wahi to ......wese naik log hamesha naik iraade hi karte haiN
5.
tum ko socheN yaa tumheN dekhaa kareN ?
"tum hi batlaao k ab ham kyaa kareN ?"
6.
kon samjheygaa nigaahoN kii zabaaN ?
kis ko dekheN aap gar pardah kareN ?
Bohot khoobsoorat sher hay, is per mujhe apna aik sher yaad aa gaya, ijazat ho to arz karooN?
Gar uTha dooN niqaab chehre se
Hosh meiN aap reh na payeNge
shukriya janaab ! waah bahut achcha aur qadre Khatarnaak shea'r i'naayat farmaayaa hai aap ne DheroN daad qabool kejeye !
7.
dushmanoN kaa bhi pataa chal jaaye gaa !
aao aapas maiN koii jhagRhaa kareN !
Very nice one.
shukriya
8.
aaj gulshan ka a'jab andaaz hai !
aaj sab madH-e-ruKh-e-zeebaa kareN ! 8)
Zahir hay madH to ruKh-e-zeba ki hi ho sakti hay.
to ham ne kab kahaa k ruKh-e-naa-zeeba ki karte haiN ?
9. aap kyaa jaaneN :Zia: kii be-basee !
aap to bas shikwa-e-be-jaa kareN !
chch...kauN heN woh jo aap jese masoom shaks se bejaa giley shikwe karte heN? Maqta bhi Khoob hay.
wahi to.......par ab nahiN karte !
................................................................................
Hasb-e-ma'mool aap ki raaye ka intezaar rahyega !!
shukriya
Hasb-e-mamool maiNe aap ko Dher sara intizaar karwane k baad apni anmol raye pesh kar hi di hay. Bohot khoobsoorat ghazal hay, aur mujhe behad pasand aayi.
Hasb-e-ma'mool aap ka tabSira nehaayat achcha lagaa ! dil baaGh baaGh howaa ! bahut bahut shukriya !
moKhliS : Zia Baloch 8)
:: Aao hamdam aaj ik w'adaa kareN :: Guz#5
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
Re: :: Aao hamdam aaj ik w'adaa kareN :: Guz#5
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
naheedv wrote:kyaa kehne Zia saahab,
aap tau ghazal pe ghazal likhte jaa rahe haiN aur voh bhee "kamaal" kee :)
Naheed jee, kyaa kareN ab aafat pooch kar to naazil nahiN hoti na !
aap ne kamaal kahaa aur janaab hamara dil baaGh baaGh howaa ! shukriya
mashaa'Allah ghazal buhat hee khoob hai aur pasaNd aayee,
aap yaqeenun daad ke mustahiq haiN so haazir.e.khidmat hai.
mukhlis
Naheed
Shukriya Huzoor ! aap ki zarra-nawaazi hai ! beHad mamnoon haiN aap k ! bahut bahut shukriya !
moKhliS : Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch