Page 2 of 6

Posted: Sun May 15, 2005 12:34 am
by Hashmat Usmani
nazar fareb-e-qazaa khaa gaii to kia hogaa?
Hayaat maut se Takraa gaii to kia hogaa?


Ai'Hsaan Daanish

Posted: Sun May 15, 2005 1:07 am
by najma
jo intizar-e-sahar meiN ujaR gaee aiy dost!
ab us nigaah meiN koee to khaab aeyga

Posted: Sun May 15, 2005 4:19 am
by Hashmat Usmani
nigaah e naaz kii kaifiiyateN haiN dil meN vohii
ki rooH tan meN ho, sheesha meN jis taraH ho parii


AsGhar GoNDvii

Posted: Sun May 15, 2005 10:41 am
by najma
nigaar-e-fikrpe rang-e-shabaab aaiga
dil-o-nigaah meiN ik inqilaab aeyga

bakhsh

Posted: Sun May 15, 2005 2:11 pm
by najma
poocha kisi ne jab miri barbaadiyoN ka haal
kitne khayaal meri nazar se guzar gaey
najma

Posted: Sun May 15, 2005 2:12 pm
by najma
poocha kisi ne jab miri barbaadiyoN ka haal
kuch dostoN ke naam nazar se guzar gaey
najma

Posted: Mon May 16, 2005 1:37 am
by Hashmat Usmani
nigaah-e-saaqii-e-naa_mahr_baaN yeh kia jaane
k TuuT jaate haiN Khud dil ke saath paimaane


MajrooH Sultanpuri

Posted: Mon May 16, 2005 3:03 am
by najma
pehle to apne dil ki raza jan jaeiyye
phir jo nigaah-e-yar kahay, maan jaiyye

Posted: Mon May 16, 2005 4:58 am
by Hashmat Usmani
nazar milaa na sake us se us nigaah ke ba'd
vohii hai Haal hamaaraa jo ho gunaah ke ba'd


Krishn Bihaarii "Noor"

Posted: Mon May 16, 2005 9:22 am
by najma
har-ek manzar-e-khooN-rang thaa nigahoN meiN
zabaaN khulii thii magar ham bayaan de na sake
bakhsh

Posted: Mon May 16, 2005 11:54 pm
by Hashmat Usmani
nazar nazar se milaa kar sharaab piite haiN
ham unko paas biThaa kar sharaab piite haiN


Tasneem Faarooquii

nazar

Posted: Tue May 17, 2005 2:56 am
by Abdullah Nazir



jitne ausaaf ginooN kam heiN vazaahat ke liye

Husn hei daayira-e-fikr o nazar se baahar.



Nazir.


Posted: Tue May 17, 2005 10:02 am
by syed bilal armaan
naya unwan 20 may 2005 ko diya jaye ga. (-BILAL)

teri nazroN maiN mere dard ki qeemat kya thi
mere daaman ne to AaNsoo ko guhar jana hai..

Posted: Tue May 17, 2005 8:17 pm
by najma
ya rab! nigaah-e-shauq hi kya kam azaab thii
dunya bhi dedii rooh ke aazaar ke liye
nafis ahmad siddiqui

Posted: Wed May 18, 2005 4:28 am
by Hashmat Usmani
nazar se justujuu be_kaar niklii
Khud apne aap se do-chaar niklii


Shan ul Haque "Haqqi"