Page 2 of 6

Posted: Mon May 16, 2005 9:19 am
by najma
pukaartii hay unheN manzil-e-talab kab tak
paRe haiN raah meiN jolog ba-sasab kab tak
bakhsh

Posted: Tue May 17, 2005 11:08 am
by najma
puraane saathiyoN meiN phir ke jaaooN maiN kyuNkar
keh un se tark-e-ta,alluq kiya thaa tere liye

Posted: Wed May 18, 2005 4:33 am
by Hashmat Usmani
parde parde meN 'etaab achchhe nahiiN
aise andaaz-e-Hijaab achchhe nahiiN


DaaGh Dehlavii

Posted: Wed May 18, 2005 12:38 pm
by najma
past hotii hay zehnoyyat unki
wo, jo oonche makaan rakhte haiN
najma

Posted: Thu May 19, 2005 3:28 am
by Hashmat Usmani
pas-e-marg mere mazaar par jo chiraaGh kisii ne jalaa diyaa
use, aah! daaman-e-baad ne sar-e-shaam hii se bujhaa diyaa


Bahaadur Shaah "Zafar"

Posted: Thu May 19, 2005 4:27 am
by Hashmat Usmani
payaam aaye haiN us yaar-e-be_vafaa ke mujhe
jise qaraar na aayaa kahiiN bhulaa ke mujhe


AHmad Faraaz

Posted: Thu May 19, 2005 12:46 pm
by najma
paak sir-zameen, shaad baad
kishwar-e-haseen shaad baad
:grin:

Posted: Thu May 19, 2005 5:28 pm
by Hashmat Usmani
phir bhii hai tum ko masiiHaaii kaa da'va, dekho!
mujh ko dekho! mere marne kii tamannaa dekho!!


Hasrat Mohaanii

Posted: Thu May 19, 2005 5:38 pm
by najma
pukaarta hay zamana bhi mujhko mard-e-safar
kabhi Daraa na sakegii mujhe ye gard-e-safar
khawar

Posted: Thu May 19, 2005 6:14 pm
by Hashmat Usmani
phir chhiRii raat, baat phuuloN kii
raat hai yaa baraat phuuloN kii


MaKhdoom MoHiiuddiin

Posted: Thu May 19, 2005 9:39 pm
by najma
phir aaj mujhe tum ko bas itnaa bataanaa hay
haNsnaa hii jiivan hai haNsate hii jaanaa hay

Posted: Fri May 20, 2005 12:41 am
by Hashmat Usmani
pyaare lamHe aayeNge aur majbuurii miT jaayegii
ham donoN mil jaayeNge aur sab duurii miT jaayegii
har_dam bahne_waalii aaNkhoN kii maalaa bhii TuuTegii
teri, merii hastii is bai'rii bandhan se chhuTegii



Meerajii

Posted: Fri May 20, 2005 12:45 am
by najma
Pareshan baal, aansoo ankh main, utri hooi soorat
Naseeb-e-dushmanan aaye ho aisay main kahan hoker

Posted: Fri May 20, 2005 12:48 am
by Hashmat Usmani
phir saawan rut kii pavan chalii, tum yaad aaye
phir pattoN kii paazeb bajii, tum yaad aaye


ek gaanaa yaad aayaa isii mauz'oo par:

jab chalii ThanDi hawaa, jab chalii kaalii ghaTaa
mujhko, ai jaan-e-vafaa! tum yaad aaye


Nasiir Kaazmii

Posted: Fri May 20, 2005 12:51 am
by najma
phool sa mukhRa kahaaN se laaooN maiN
dhuul se raahoN ka chehra att gaya
khawar