Page 2 of 2

Posted: Tue May 24, 2005 2:04 am
by najma
naheedv wrote:Dear Najma jee,

aap kee ghazal paRhee aur pasaNd aayee.
aap ne buhat hee hassaas mozoo' par she'r nikaale heN jo ke dil ko choo' gaye.
iss umdah kaavish par daad qubool kijiye!

mukhliS
Naheed

naheedv sahiba
aadaab
aap ki is qadar pazeeraaee hamare sir aaN khoN par. :-)
hausla afzaaee ke liyebe-had mamnoon haiN ham.
nawazish
:-)

Posted: Tue May 24, 2005 2:08 am
by najma
zmufti wrote:Najma jee
Aap ki ghazal prhi aur is kay mazameen pasand aaye
masiwa matla kay sabhi sher achay hain matla kay pehlay misray kuch kami hai
mujh`e khaas tor per yeh sher pasand aaya

insaaN ke liye zehr liye phirta hay inaasN
kya is ke liye koee bhi ta,zeer naheeN hay?
regards
zarqa

zmufti sahiba!
aadaab
nawazish hay aapkii, keh apko meri kawish pasand aaee.
bohat bohatshukriya
khush rahiyye
:-)

Posted: Tue May 24, 2005 2:10 am
by najma
Mahtab Qadr wrote:Najma sahiba bahut khoob ghazal hazb e mamool saari ghazal bahut achi hai, magar

haq is pe hay kuch mere bhi mazloom lahuu ka
ye sheh,r faqat aap ki jaageer naheeN hay

ye sher khas taur par bahut pasand aaya.
shukria
Mahtab Qadr


bohat bohat shukriya m.qadr sahib!
nawazish
:-)

Posted: Tue May 24, 2005 2:13 am
by najma
waqar_masood wrote:
ye baat Ghalat, ehd-e-jahaaNgeer naheeN hay
sab kuch hay, magar adl ki zanjeer naheeN hay

haq is pe hay kuch mere bhi mazloom lahuu ka
ye sheh,r faqat aap ki jaageer naheeN hay

insaaniyat ab sirf kitaboN meiN hay NAJMA!
iblees ka koee bhi inaaN-geer naheeN hay
Assalam o alaikum

buhut khoob najma ji , hamesha ki terah phir ik khubsoorat kalam, parh ker maza a gia , meri janib say daad hazir hay

wassalam

niaz mand
waqar masood


waqar masood sahib!
be-had shukriya keh apko hamari kawish itnii pasand aaee.aapki is pazeeraaee se hamara hausla aur baland hua hay.
khush rahiye
:-)

Posted: Tue May 24, 2005 2:47 am
by najma
irfan abid wrote:najma sahiba, aadaab!

aap kii Ghazal Khuub hai. daad qubuul keejiye! matla kaa pahlaa misra kuchh mubham saa lagaa. aap shaayad kahnaa chaah rahii haiN ki ye daur koii ahd-e-jahaaN.geer :nahiiN hai:. lekin shuruu.a meN :ye baat Ghalat: kahne se matlab ulTaa nikal rahaa hai. yaa maiN Ghalatii par huuN?

niyaazmand,
Irfan :Abid:

janab Irfan :Abid: sahib!
aadaab
pazeeraaee ke liye mamnoon hooN.aur ghalatii ki nishaandahii ke liye bhii.najane, typo meiN ham kaise lafz ''alag'' ko ''ghalat'' likh gaey. jo ab ham ne durust kar liya hay.be-had mamnoon haiN ham.
khair andesh
najma
:-)

Re: EK GHAZAK: ye baat laga, ehd-e-jahaaN-geer naheeN hay

Posted: Wed Jun 08, 2005 4:03 pm
by najma
gurya wrote:Aslamu Alikum
kesi hai ap?
ap ki ye ghazal bhi baki sab ghazlon ki tarha bohot he achi thi bohot pasanad ai mughe isi tarha acha acha likhti rahe aur hum sab k sath share karti rahe

aiy dost! mubarak ho tujhaty tark-e-ta,alluq
shayad tujhe paana miree taqdeer naheeN hay




gurya!


ghazal pasand karne ke liye bohat shukriya.

sada khush raho

:-)

Re: EK GHAZAL: ye baat alag, ehd-e-jahaaN-geer naheeN hay

Posted: Sun Jun 12, 2005 8:58 pm
by Anmol
najma wrote: aiy dost! mubarak ho tujhaty tark-e-ta,alluq
shayad tujhe paana miree taqdeer naheeN hay

hay aaj bhi majboori-e-insaan, mohabbat
ye baat alag, is meiN wo taaseer naheeN hay

zinda ho, to phir zinda ujaaloN ko bhi samjho
dunya ye, faqat kaaGhazi tasweer naheeN hay

insaaniyat ab sirf kitaboN meiN hay NAJMA!
iblees ka koee bhi inaaN-geer naheeN hay
Muhabbat meiN ta'seer ho ya na ho, ,lekin aap ke kalaam meiN bohot ta'seer hay Najma ji. Daad aur behad daad qubool ho, khas kar in ashaar per. :-)

Re: EK GHAZAL: ye baat alag, ehd-e-jahaaN-geer naheeN hay

Posted: Thu Jun 16, 2005 8:41 am
by najma
Anmol wrote:
najma wrote: aiy dost! mubarak ho tujhaty tark-e-ta,alluq
shayad tujhe paana miree taqdeer naheeN hay

hay aaj bhi majboori-e-insaan, mohabbat
ye baat alag, is meiN wo taaseer naheeN hay

zinda ho, to phir zinda ujaaloN ko bhi samjho
dunya ye, faqat kaaGhazi tasweer naheeN hay

insaaniyat ab sirf kitaboN meiN hay NAJMA!
iblees ka koee bhi inaaN-geer naheeN hay
Muhabbat meiN ta'seer ho ya na ho, ,lekin aap ke kalaam meiN bohot ta'seer hay Najma ji. Daad aur behad daad qubool ho, khas kar in ashaar per. :-)



is pazeeraaee ka bohat shukriya anmol sahiba!

khush rahiyye

:-)
:-)