yaaraan-e-meHfil: aadaab!
maiN yeh dilchasp guftgoo shauq se paRh`taa rahaah hooN. chooN.k mas,alah pecheedah naheeN th`aa is liYe meraa Khayaal th`aa keh aasaanee se Hal ho jaaYe gaa. lekin aisaa naheeN huwaa. ab jab.k RK SaaHeb bh`ee shareek-e-meHfil haiN maiN ne munaasib samjh`aa keh apnee raaYe pesh kar dooN. lekin is se qabl apne mauqif kee th`oRee see waZ^aaHat kee ijaazat chaahataa hooN.
Naheed SaaHebah kee Ghazal ko Nazir SaaHeb ne " bahut khoobsoorat" kahaa th`aa aur us par mazeed koyee tabSirah naheeN kiyaa th`aa. maiN ne apne Khat^ meN likh`aa th`aa keh "chooN.k Nazir SaaHeb jaise SaaHeb-e-i'lm ne is par muhr-e-teHseen cabt kar dee hai is liYe kuch` keh bh`ee naheeN saktaa hooN." maiN ne kabh`ee yeh naheeN kahaa keh Nazir SaaHeb ne Ghazal ko "b.ilkul SaHeeH" kahaa hai (Nazir SaaHeb: "MuHtaram Sarwar Saahib ne yeh kehkar ke maiN ne aapki ghazal ke bilkul saheeh houne per apni muhr cabt kardii hei"). unhoN ne Ghazal ko "bahut khoobsoorat" kahaa aur maiN ne is ko :muhr-e-teHseen: se mansoob kiyaa!
Nazir SaaHeb is Ghazal par apnee :muhr-e-taSdeeq: cabt kar bh`ee naheeN sakte th`e. unhoN ne apne Khat^oN meN aage chal kar likh`aa hai keh " MaiN Sarwar Saahib se poori TaraH muttafiq hooN ke aapki is ghazal meiN sirf beHr kii hii khaamii nahiN hei balkeh alfaaz ke isteAmaal meiN bhii ghuloo kiyaa gayaa hei. IstiAaroN ko ziyaadah pur acar banaane kii koushish meiN bahut sii ghalaTiyaaN hougaii heiN.-- Behtar hougaa ke aap is ghazal ko shurooA se aakhir tak dobaarah kaheN aur maujoodah shakl ko miTaadeN."
mas,alah dar-aSl yeh naheeN hai keh Ghazal par maiN ne yaa Nazir SaaHeb ne kyaa raaYe dee. baat aTak gayee hai is par keh is Ghazal kaa wazn kyaa hai? Naheed SaaHebah kaa Khayaal hai keh wazn :faa-i'-lun: (paaNch martabah) hai jab.k Nazir SaaHeb ne tajziyah kar ke yeh farmaayaa hai keh:
"Aapka kehnaa hei ke aap ne jo vazn isteAmaal kiyaa hei wo hei faa'i'lun 5 martabah. Chaliye aapka maTlaA dekhte heiN:
waqt kii reit se guzre pal chaanti rehti hooN
waqt kii re = muf'ta'ilun = =/0///0 =2112
Ab aap hii bataayiye ke faa'i'lun kaa vazn kahaaN se aagayaa."
is ke ba'd Naheed SaaHebah apnee mushkil ko yooN bayaan kartee haiN: "dar asl ye saare behc jo hum ne behr ke hawaale se kee hai, iss meN hum be :kee: ke vazn ko tau saamne rakh liyaa magar aik baat jo maiN ne shuroo meN jaanne kee koshish kee thee voh ye thee ke kyaa hum faa.i.lun/212 ke 5 arkaan aik misre' meN baaNdh sakte haiN yaa naheeN."
mere Zehn meN is sawaal kaa jawaab seedh`aa-saadah hai aur isee kee Z^aroorat bh`ee hai. a'rooZ^ kee jo kitaabeN mere paas haiN aur shaa,i'ree kaa jo sarmaayah mere ista'maal meN hai us meN aisee koyee beHr mujh` ko naheeN mil sakee jis kaa wazn :faa-i'-lun: (paaNch martabah) ho. z^aahir hai keh is Soorat meN beHr ke naam aur arkaan-o-ziHaafaat kaa sawaal hee paidaa naheeN hotaa. agar kisee aur ke paas is se muKhtalif ma'loomaat haiN to i'naayat farmaaYeN aur hamaare i'lm meN iZ^aafah kareN.
beHr meN rawaanee ek bunyaadee Z^aroorat hai. arkaan kaa woh majmooa'h jo rawaanee meN naaqiS hai beHr kee ta'reef se Khaarij hotaa hai. Naheed SaaHebah kee mujawwizah shakl yeh hai:
faa-i'-lun faa-i'-lun faa-i'-lun faa-i'-lun faa-i'-lun
chooN.k :faa-i'-lun: ba-Zaat-e-Khud rawaaN hai aur :sur-taal: meN hai, is liYe is kee takraar bh`ee :sur-taal: meN ho gee. is nukteh ke pesh-e-naz^ar yeh shakl ista'maal ho saktee hai. agar Naheed SaaHebah woh micaal i'naayat kar sakteeN jis kaa unhoN ne Zikr kiyaa hai to bohat behtar hotaa. asaatiZah ne is shakl ko kyoN ista'maal naheeN kiyaa hai? is kaa jawaab mere paas naheeN hai.
ab ek Harf-e-aaKhir! janaab RK SaaHeb se darKhwaast hai keh woh is baat par mazeed raushanee DaaleN jaisaa keh unhoN ne apnee teHreer meN likh`aa hai.
ummeed hai keh us ke ba'd ham sab aaraam se so sakeN ge!
Sarwar A. Raz "Sarwar"